khoon SMS Messages202 messages

Kisi Ne Sir Kataya tha,
Najane Kitno Ne Ghar
Lutaya Tha,
Ye Din Mushkil Se Ata Hi,
Ye Din Mushkil Se Aaya Tha,
SALAM Beshumar AZADI K Un SAHIDON Per,
Jinho Ne RAH-E-AZADI Min
Apna khoon Bahaya Tha,
SALAAM Un MAAON BEHNO, BETIYON Per,
Jinho Ne Apney MUQADDAS ANCHAL Se Ye AZEEM PARCHAM Bnaya Tha,
Hum jo kehte thay zindagi kuch nahin hai tere bina...

Lekin yeh kia ke zindagi sub kuch hai tere bina...

Ab to raat bhi kaat jati hai din bi guzar jata hai...

Sab waisa hi hai kuch bhi to nahin badla tere bina...

Tere jane pe jo rim jhim si thi ankhoon main ab...

Thehar gaya hai ankhoon ka woh samander tere bina...

Waqt ne bohat kuch sikhla dia hai mujhe...

Ab tu waqt bhi guzar jata hai tere bina...

Shayad mohabbat karne ke adaab hi na thay...

Ab zindagi ne woh bhi sikhla dia tere bina...

Jo guzar gaya hai waqt .,, So guzar gaya dost...

Jo reh gaya hai guzar jayega TERE BINA...
Meri Ankhoon Sai Kabhi Utroo Dil Main,
Kai Main Dhadkan Main Basa Lon Tum Ko,
Jaan Sai Barh Kar Chahon Tumhain,
Apni Zindagi Hi Banna Loon Tum Ko,
Maray Khabon Main Sirf Tum Hi Baso,
Apni Neendon Main Saja Loon Tum Ko,
Loogon Ki Bhir Main Kho Na Jao Kahin,
Zamanay Sai Chalo Main Chura Lon Tum Ko,
Meri Tanhai Ko Zaroorat Hai Tumhari,
Gar Ijazat Ho Tu Yadon Main Bula Lon Tum Ko
wo chand chup gia mujhe raat sonp kar,
Aankhoon ko intezar k lamhat sonp kar,
Aik shaihas tha jo mujhy se bichar gia,
Aankhoon ko meri mosam barsaat sonp kar.
Basher Key Roop Main Ek Dilruba Talasm Baney
Shafaq Main Dhoop Milayen Tu Us Ka Jism Baney
Woh Mojzaat Ki Had Tak Pohunch Gaya Hey Qateel
Hurf Koi Bhi Likhoon Usi Ka Ism Baney
zindagi ke din kaise bhi hoon guzar jayein ge,,,,ek din hum bhi chupke se mer jayein ge,,,,aaj rehte hain aap ke dil mein yaad ban ker,,,,kal ansoo ban ker ankhoon se nikal jayein ge...
Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka rawa bhi tha
Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un me aap ka aks bhi tha
Kal badal kaalay gehray thay
Kal chaand pay laakhoon pehray thay
Kuch tukray aap ki yaadoon k
Bari der tak dil mei thehray thay
Kal yaadein uljhi uljhi theen
Or kal tak yeh na suljhi theen
Kal yaad bohat tum ay thay
Kal yaad bohat tum ay thay
Ankhoon may kayi sapnay saja kar roye bohot hai hum.
dil ko nayi dunya dikha kar kar roye bohot hai hum.

woh badal gaya to pher li hum nay bhi nazar apni.
par us kay khatoon ko jala kar kar roye bohot hai hum.

laut aye to ahin us ki mehfil say bacha kar ana apni.
par us ki bazm say a kar kar roye bohot hai hum.

jisay kia tha roshan tamanhaon say hum nay apni.
us shamy wafa ka bhuja kar kar roye bohot hai hum.

jin kay saye mai ki thin hum nay kayin batain.
un baghoon mai tanha ja kar kar roye bohot hai hum.

kis qadar khoshi say kia hum dum ko rukhsat hum nay.
magar sab say nazar bacha kay kar roye bohot hai hum.
Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay
kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay

Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb
kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay

Kaash aisi koi rut koi moosam aaye
khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay

Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia
aik roz to aayein ** wo hum ko mananay

Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay
khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay

Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay
aatay nahi loat k beetay howe zamanay
Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay
kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay

Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they qareeb
kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay

Kaash aisi koi rut koi moosam aaye
khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay

Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia
aik roz to aayein wo hum ko mananay

Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay
khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay

Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay
aatay nahi loat k beetay howe zamanay
Yeh Bhazi khoon ki Bhazi hai
Yeh Bhazi tum hi haro ga
Har ghar se Bhutto nikla ga
Tum kitna Bhutto maro ga

Jiye PPP
Jiye BHUTTO
Jiye BENAZIR
Zardari ki zamin shad bad
Bijli aay 8 ghantay baad ...

Tu nishanay corruption aalishan
Arz e zardaristan,shaad baad sindh abaad ....

Zardari ki zamin ka nizam
Aaatay, gas, bijli ka bohran...

Quam, mulk, sub-gharak Nawaz, wakil paainda bad...
Benazir dunya say farar...

Parchamay sitara-o-Hilal ...
khoon main ranga sara saal...

Bhool apna maazi Shan-e-haal, jaan ne istaqlal..
Saya-e-America sar pe sawar