jaan SMS Messages703 messages

Hum mai or tum mai
kab yeh teh huwa tha???
k phir milege zindagi k kisi mord par
kab yeh kaha tha k bin tumhare
na jee sakhainge hum
buhat tarpaye ga yeh hijar ka mosam
yeh sawan aur pat jhar ka mosam
kab yeh teh huwa tha
k sar shaam hi
tumhari yaad utar aayegi
is dil k aangan mai
AGAR! yeh sab teh nahi huwa tha tu
barso bad guzar jaane k bad bhi
meri wehshoton meri yaadon meri tanhiyon mai
sirf TUM hi TUM kyun hon?
Wafa jab maslehat ki shawl orhey
Sard raat ka roop dharey
Dil ke aangan main utarti hey
To palkon par sitaaron ki dhanak muskaaney lagti hey
Kabhi khwabon ke an-chuey heowlon sey bhi
An-dekhi si anjaani si khushboo aaney lagti hey
Kisi ke sang beetey, an-ginat lamhon ki zangeerain
Achanak zehan main jab gungunaati hain
Nafas ke taar main sannata sa yakdam cheekh uthta hey
To yun mehsoos hota hey
Hawayen aa ker sargoshi karti hain
"Mohabbat ka tumhain idraak ab to ho gaya ho ga?"
Ye jo bhi zakhm deti hey, kabhi seeney naheen deti
Mohabbat rooth jaaye to, kabhi jeeney naheen deti..
Shaame dhal to jaati hai teri yaado k sahaare
Guzra kal tha peeche, aaj samne hamare
Hum kabhi to kharay thay
jaane kis kinaray
Khafa huay tum, zindigaani se hum haaray ..

Is mukhtasir kahani ka wo pal ajab tha
Waqt ne jis taraf chora wo manzar ajab tha
Bheegi baarish main kharay thay
Kaali raat ke thay nazaare....
itanaa TuuTaa huun ki chhune se bikhar jaongaa
ab agar aur duaa doge to mar jaauungaa

lekar meraa pataa vaqt raayagaa na karo
main to banjaaraa huun kyaa jaane kidhar jaauungaa

is taraf dhundh hai jugnuu hai na chiraaG koii
kaun pahachaanegaa bastii mein agar jaauungaa

zindagii main bhii musaafir huun terii kashtii kaa
tuu jahaan mujh se kahegii main utar jaauungaa

yahaan rah jaayenge guldaano mein yaadon kii nazar
main to Khushbuu huun fizaaon mein bikahr jaauungaa
Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein,
Main Taaq Mein Rakh Aaya Hoon Jalti Hui Aankhein,

Ek Pal Bhi Kisi Mod Pe Rukne Nahi Deti,
Kaanto Ki Tarah Jism Mein Chubhti Hui Aankhein,

Raste Mein Kadam Phoonk Ke Rakhna Mere Pyaaron,
Hain Chaaron Taraf Shahar Mein Bikhri Hui Aankhein,

Yun Us Ke Bichhad Jane Pe Aansu Na Bahao,
Manzar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Aankhein,

Qaatil Ke Siwa Koi Samajh Hi Nahi Sakta,
Kya Dekhti Hai Tasht Mein Rakhi Hui Aankhein,

Kya jaaniye Kis Khwab Ki Taabir Mein Gum Hai,
Zulfon Ki Ghani Chhanv Mein Uljhi Hui Aankhein,

''Talha'' Shab-E-Tira Mein Ujalon Ki Amin Hai,
Nafrat Ke Samundar Mein Ye Behti Hui Aankhein...
Aaina Hoon Main Mere Samne Aakar To Deakho
Khud Nazar Aaogi Zara Aankh Mila Kar To
Deakho

Mere Gham Mein Meri Takdeer Nazar AatiHain
Dagmaga Jaogi Mera Dard Utha Kar To Deakho

Yu To Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushkil Hai Meri Raaha Se Jaakar To Deakho

Dil Tumhara Hai Main Yeh jaan Bhe Dedon Tum Par
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Kar To Deakho

Mouth Barhaq Hai Magar Tum Se Waada Hai Mera
Lout Aaoga Tum Ek Bar Bula Kar To Deakho
muttafaavatein hein merey Khuda ki ye tu nahi koi aur hai
ki tou asamaan pey ho tuo ho pisar-e-zami koi aur hai

woh jo raastey thay wafa ke thay yeh jo manzilein hein saza ki hein
mera humsafar koi aur tha mera humnashi koi aur hai

mere jism-o-jaan mein terey siwa aur koi bhi dusara
mujhe phir bhi lagta hai ess tarah k kahi kahi koi aur hai

mei aaseer apane gazal ka mein faqir dasht-e-wisaal ka
jo hiren ko baaNdh ke le gayaa wo subuk_tagin koi aur hai
ahal-e-dil aur bhi hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hii nahi duniya se Khafa aur bhi hain

kya hua ger merey yaaron ki zabaanein chup hain
mere shahid mere yaaron ke sivaa aur bhi hain

hum pe hi Khatam nahi maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhi hai chaak-e-qabaa aur bhii hain

sar salaamat hai to kya sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain

munsif-e-shahar ki vahadat pay na harf aa jaaye
log kahate hain ke arabaab-e-jafaa aur bhi hain
Zikr-e-shab-e-firaq se wehshat usay bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thi

Mujh ko bhi shauq tha naye chehroon k deed ka
Rasta badal k chalne ki adat usay bhi thi

Us raat dair tak wo rahaa mahv-e-guftagu
Masruf main bhi kam tha faraaghat usay bhi thi

Sunata tha wo bhi sab se puraani kahaniya
Taza rafaqaton ki zarorat usay bhi thi

Mujh se bichhar ke sheher main ghul mil gaya wo shakhs
Halan k sheher bhar se raqabat usay bhi thi

Wo mujh se barh k zabt ka aadi tha, jee gaya
Warna har ek saans qayamat usay bhi thi

Asrar na jaan khud ko nakam k bad-zauq
Wo mana nahi par tujh se muhabat usay bhi t
Dhuwan Banake Fiza Mein Uda Diya Mujhko,
Main Jal Raha Tha Kisine Bujha Diya Mujhko,

Tariqeeyon Ka Fasana Suna Diya Mujhko,
Abhi Hansa Bhi Tha Aur Rula Diya Mujhko,

Main Ek Zara Bulandi Ko Chhune Nikla Tha,
Hawa Ne Thaam Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko,

Safed Saang Ki Chaadar Lapet Kar Mujhpar,
Faseel-E-Sheher Pe Kisne Saja Diya Mujhko,

Khara Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye,
Sawal Ye Hai Kitabnon Ne Kya Diya Mujhko,

Na jaane Kaunsa Jazba Tha Jisne Khud Hi,
Meri Hi Zaat Ka Dushman Bana Diya Mujhko...
Ub Kya Sooche Kya Hona Hai Jo Hoga Acha Hoga
Pehle Socha Hota Pagal Ub Say Kya Hoga

Yaar Say Gham Keh Ker To Khush Ho Laikin Tum Yeh Kya jaano
Tum Dil Ka Rona Rote Thay Woh Dil Mein Hasta Hoga

Aaj Kisi Nai Dil Tora To Hum Ko Jaisay Dheyaan Aaya
Jiska Dil Hum Nai Tora Tha Woh jaane Kaisa Hoga

Mere Kuch Pal Mujh Ko Day Do Baaqi Saray Din Logo
Tum Jaisa Jaisa Kehtay Ho Sub Waisa Waisa Hoga

Ub Kya Sooche Kya Hona Hai Jo Hoga Acha Hoga
Pehle Socha Hota Pagal Ub Say Kya Hoga
kia zaroori hey key jo hum chahtey hen wo hi ho?
jo safer kertey hen hum uski koi manzil bhi ho?

qurbatoon aur faslon key dermiyan jo lamha hey
us lamhey per her chahney waley ko kuch qudrat bhi ho?

hum raat bher jiskey liey jagtey bhi hen rotey bhi hen
wo bhi hamen kuch yaad kerta, sochta, rota bhi ho?

kia zaroori hey key her dukh ka miley koi hisaab?
aur hamarey dukh ka koi bantney wala bhi ho

hum jisey apna nahi kehtey hen apna jaan ker
wo humen apna samajhta ho mager kehta bhi ho?

kia zaroori hey key jo hum chahtey hen wohi ho?
jo safer kertey hen hum uski koi manzil bhi ho?