Musafir to bichadte hain , rafaqat kab badalti hai
Mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hai
Tumhi ko chahte hain hum ,tumhi se pyar karte hain
Yehi barson ki aadat hai aur aadat kab badalti hai
Tumhe jo yaad rakha hai yehi apni
ibadat hai
Jo paththar par likhi jaaye ,ibarat kab badalti hai
Kali ka phool banna aur bhikhar jaana
Yehi qaanoon -e- fitrat hai to fitrat kab badalti hai
Jo dil pe naqsh kar jaaye aur aankhon mein simat aaye
Alaamat hai yeh chaahat ki to chaahat kab badalti hai
Use chaaha use pooja yehi tauqeer hai apni
Hamein gumrah mat samjho ibaadat kab badalti hai
Purane zakhm ko ab Bhula dein yahi achcha hai
Na chaahe aap hi koi to qismat kab badalti hai