gham SMS Messages369 messages

Na Milta gham to barbadi k afsanay kahan jaty
Agar dunya chaman hoti to veeranay kahan jaty
Chalo acha huwa Apno main koi ghair to nikla
Sabhi hoty agar Apny to begany kahan jaty
Tumhi ne gham ki DoLat di bara ehsan farmaya
Warna HuM zamany bhar k aagay hath phelany kahan jaty... ;->
sambhal sakty nahi hum ye gham ki jageerain..

WASI

Utar lejiye sar se ye taaj kanton ka...
mUjhey Har Kaam Sey Pehley
Sehar Sey Shaam Sey Pehley
Yahii Eik Kaam Karna hAi
tUmhara Naam Laina hAi
tUmhii Ko Yaad Karna hAi
K Jab Bhi dArd Peena hAi
K jAb Bhe Zakham SeeNa hAi
gham e dUnya Sey Ghabra Kar
mUjhey jAb Jaam Laina hAi
tUmhara Naam Laina hAi
tUmhii Ko Yaad Karna hAi
tUmhari Yaad hAi Dil Mein
K Eik Syaad hAi Dil Mein
kOii BarBaad hAi Dil Mein
Usay Aabaad Karna hAi

tUmhii Ko Yaad Karna hAi
uski yadon me doob jata hun.
khud ko tanha kbi jo pata hun.

qatra qatra wajood se le kr.
khwahishon ko lahu piktata hun.

log khushiyan tajash karte hyn.
main to gham b khareed lata hun.

aj kal hy mizaj e dil barham.
rona chahun to muskrata hun.

roz kehta hun bhool jaon usay.
roz ye baat bhool jata hun!
mojein tarap rhe hein osi gham mein aj bhi...

kis ko babo diya hai kinaro jawab do...
sham-e-gham jab bikhr gai ho gi!

jany kis,kis k ghar gai ho gi.

dair tak wo khafa raha mujh se!

door tak ye khabr gai ho gi.

jis traf wo safar pe nikla tha!

sari rounaq udhr gai ho gi.

ya taluq na nibha saka us se,

ya tabiyat hi bhurr gai ho gi.

teri pal bhur ki dil lagi mohsin!

us ko barbad kr gai ho gi....!
ye teri judai ka gham nhi,ye silsaley tou hain roz k,

teri zaat iska sabab nhi,kaei din se yunhi udas hoon,
Khud Apni Pehchaan Se Anjaan Hoon Main,
Apna Tarruf Aapse Karwaoon Kaise..

Kuch Simti Hui Chhoti Si Duniya Hai Meri,
Iss Dil Ki Gehraiyon Mein Aapko Le Jaoon Kaise..

Aasman Ki Uchaiyon Tak Mere Khwab Bikhre Hain,
Apne Armaano Ki Hadd Main Dikhaoon Kaise..

Muskurana Meri Aadat Hai Aansuon Ko Chhupa Kar,
Par Har gham Ko Apni Hassi Se Behlaoon Kaise..

Dosti Hi Meri Chahat Hai Aur Dost Meri Zindagi,
Ishq Se Apni Berukhi Ka Sabab Bataoon Kaise..

Hokar Meri Sarhadon Mein Shamil
Aap Hi Jaan Lo Mujhe,
Kisi Aur Tarha Aapko ShaiL Se Milwaoon Kaise
Mujhe Har Kaam Se Pehle
Sehar Se Shaam Se Pehle
Yahi Aik Kaam Karna Hai
Tumara Naam Lena Hai,
Tumhe Ko Yaad Karna Hai

Ke Jab Bhe Dard Pena Hai
Ke Jab Bhe Zakham Sehna Hai
gham -e-Duniya Se ghabra Kar
Mujhe Jab Jaam Lena Hai

Tumara Naam Lena Hai
Tum He Ko Yaad Karna Hai
Tumari Yaad Hai Dil Mein,
Aik Sayaad Hai Dil Mein
Khoi Barbad Hai Dil Mein,
issay Abad Karna Hai
Tumara Naam Lena Hai
Tumai Ko Yaad Karna Hai....
Us Ne Kaha Kon Hai Tumhay Bohat Aziz

Main Ne Kaha DIl Pay Jis Ka Ikhtiyar Hai

Us Ne Kaha Kon Sa Tofha Do Main Tumhay

Main Ne Kaha Wahi Sham Jo Abhi Tak Udhar Hai

Us Ne Kaha Khizan Main Milnay Ka Jawaz

Main Ne Kaha Qarb Ka Mutlab Bahar hai

Us Ne Kaha Sekron gham Zindagi Main Hain

Main Ne Kaha Ghum Nahi Jub Sath Ghum Guzar Hai

Us Ne Kaha Sath Kahan Tak Nibhao Gay

Main Ne Kaha Jub Tak Yah Sanson Ki Taar hai
Mujh ko ik hamdam mila tha,ik safar ki raat main
Main bohat baykhud hoa tha,ik safar ki raat main
jany kis ki yaad thi k ik manzar dekh kar
toot kar main roo para tha!ik safar ki raat main
Woh k jis sayy umar bhar ki Doryian mansoob hain
Mery seenay sy laga tha ik safar ki raat main
Har taraf phaily hoye thy yaad-e-gham k silsilay
Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat main
ghar sy bahar paon rakhty hi Laraz uth-ta hai Dil
Hadsa aisa hoa tha Ik safar ki raat main
Aaj bhi Gungunata hon usy tanhai main
Geet jo humny suna tha Ik safar ki raat main
JAhaan Phoolon ko khilna thaa
WAhin Khiltay toh acha tha
Tum He Ko Hum ne Chaha Thaa
Tum He Miltay Toh ACha Thaa
Tumhe KAise BAtain hum
ke tumhe kaise bhulayaa hai
tumhe gham ko ashkoon se shab e gham main jalaya hai
hazaroon zakhm aesay thay
agar siltay toh achaa thaa
tumhe ko hum ne chaha thaa
tumhe miltay toh achaa thaa