gham SMS Messages369 messages

Sirf aik shakhs k gham mein muje barbad na kr,
Roz rotay huwe kehti hai jawani mujh se
''",.''.UDAAS RAAT''",."''
Badan Thakan se Choor hai,
Par Neend Hum se Door hai,
Tera Kheyal sath hai,
Bari Udaas Raat hai,
Hawa-e-gham ka zoor hai,
Samandron ka Shor hai,
Judaiyon ki baat hai,
Bari Udas Raat hai,
Har Nazar Sharab hai,
Tere Milne ka Khuab hai,

Bari Udaas Raat Hai.
Ya Rab gham-e-Hijraan Mein
Itna Tou Kia Hota

Jo Haath Jigar Par Hy
Wo Dast-e-Dua Hota

Umeed Tou Ban Jati
Taskeen Tou Ho Jati

Wada Na Wafa Karty
Wada Tou Kia Hota
Tere Khuabon ki Duniya or mein Tanha!
Raat Sumandar Chand Hawa or mein Tanha!
Koi to kash mera Bhi gham saaz bane !
Mujh se sare loog khafa or mein tanha!
Kiya gham hai kia KHUSHI
malum nahi..

w0h APNA hai k AJNABi
malum nahi..


Jis k Baghair ek PAL nahi
guzarta..


Kaise guzre gi ZindaGi
malUm nahi...
Mujhay sab kuch Qabool ha aye Falaq,
gham-e-Yaar Mujhe Talab na kar,
Mein use kaisay dil se juda karon,
Jo meri Umer Bhar ki Talash ha,
Tabiyat in Dinon,

Begana gham ho jati ha,

Mere hisay ki goya har khushi kam ho jati ha,

Wahi ha Shahid-o-Saqi,

Magar dil bujhta jata ha,

Ke mehfil to wahi ha,

Dil kashi kam hoti jati ha,

Wahai ha Shama,

Laken Roshni kam hoti jati ha.
Mohsin khushi ki Bheek mAin kis kis Se maanGta


AchA huA k gham Se Tabiat Behal Gai
Ya jo shafaf sa ik aks us jheel me tha

Koi chehra tha magar chand ki tamseel me tha

Yaad karta hon kahan bhool k aya hon usay

Aisa he aks meri soch ki zambeel me tha

Baat kya thi ye mujhe achi tarha yaad nahi

Haan tera zikr b tha aur bari tafseel me tha

Koi pegham tha ankhon me, so ankhon me raha

Masla asal to pegham ki tarseel me tha

Is naye nusKhy me tehreef hui hai warna Darwaish

Zikr mera b kahin pyar ki InJeel mein tha.../
Na ghamon k geet suna karo,

Na kisi ki yaad mein jala karo,

Ab chor do ye udasian,

khush khush raha karo,

Khuda na karay kisi ko juda,


Haath uthao to ye Dua kia karo,

Nahi bhata Tera udas chehra,

Na preshan hua karo,

suna hy k mantay ho Hamein apna dost,

Hamari khatir hi hanstay raha karo
Qasid paygham-e-shoq ko itna na kar taweel
Bas itna keh dena k aankhein taras gai hein.
ek nazar daikh mere zarf-e-muhabat ki taraf,

hum ne dil de k khareeda gham-e-tanhai ko...