ek nazar daikh mere zarf-e-muhabat ki taraf,

ek nazar daikh mere zarf-e-muhabat ki taraf,
ek nazar daikh mere zarf-e-muhabat ki taraf,

hum ne dil de k khareeda gham-e-tanhai ko...
  

May, 29 2010     92 chars (1 sms)     5302 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tujhe bhulne ko ek pal chahaye.
wo pal kh jase mout kahte hain log.
Koi dukh na ho...


Koi gham na ho...


Koi aankh kabhi pur-nam na ho...


Koi dil kisi ka torray na...


Koi saath kisi ka chhorray na...


Bas pyaar ki nadya behti ho...


Kaash k dunya aisi ho...!
Jis Shakhs K Liye Hum Ne Saari Hadain Tor Deen,

Us Shakhs Ne Humain Aaj Kaha Hai K Apni Had Mein Reh Kar Baat Karo.
jitna b usko sochoon utna hi door paoon,
jitna b usko chahoon khud hi bikharti jaoon,
may aam c musaafir be aas be sahara,
wo door kahin basta ek aasman ka tara,
may rait se ulajhti sehraon ki hawa hun,
wo sahilon pe chalti baad-e-saba ka jhonka,
han farq to bohat hai, pr baat ye faqt hai,
may lakh toot jaoon,khud se hi rooth jaoon,
pr ye na hoga mujh se, k may usko bhool jaoon...!
Dukh fasana nahi k tujh se kahen,
aur dil b mana nahi k tujh se kahen,

ab FARAZ apna bhi us gali mein,
aana jana nahi k tujh se kahen.
Nazar Milaakai Kabhi Muskura kai loot liya
Us Bevafa ne Mughe Muh Chupaa kai loot liya.

Qarib Ah Kai Kabhi Door jakai loot liya
Fareb say Kabhi Mugh ko bataa kai loot liya.

Yoo Tou Dil Chehrah Dikha Kai loota jata hai
Hamein Tou us ne magar sir jhuka kai loot liya.

Shikvah ye nahin ke loot liya kisee ne hamein
Malal ye ke sata sata kai loot liya.

Qasam Khuda Ki, NAAZ,unki bandage kar loo
Agar kisi ne hamein paas ah kai loot liya.
wo charagh-e-jaan k jis ki low,,,na kisi toofan se kam hui...

teri bewafai k wasvasay usay chupkay chupkay bhuja gae...!
aan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !
Lab kuch bhi kahe is se hakiqat nahi milti.
Insan ke such jhoot ki pehchan hain aankhain.
Jheel Mein Chaand Nazar Aye Thi Hasarat Usaki
Kab Se Ankhon Mein Liye Baitha Huun Surat Usaki

Ek Din Mere Kinaron Mein Simat Jayegi
Tehare Paani Si Yeh Khamosh Muhabaat Usaki

Bandh Mutii Ki Tarah Woh Kabhi Khulata Hi Nahin
Faasale Aur Badaa Deti Hai Kurbat Usaki

Kisne Jaana Hai Badalate Hua Mausam Ka Mizaaz
Usko Chaho Toh Samaj Paaoge Fitrat Usaki
nazar se door hota ja raha hai
k woh majboor hota ja raha hai

ussey hum sey taghafal ka gilla hai
jo khud maghroor hota ja raha hai
bus ik han k intazar main raat yunhi guzar jaey gi
ab to uljhan hai saath meray neend kaha ayey gi
subah ki kiran na janay kon sa sandais layey gi
rim jim si gungunayey gi ya phir pyas adhori reh jaey gi