sham-e-gham jab bikhr gai ho gi!

sham-e-gham jab bikhr gai ho gi!
sham-e-gham jab bikhr gai ho gi!

jany kis,kis k ghar gai ho gi.

dair tak wo khafa raha mujh se!

door tak ye khabr gai ho gi.

jis traf wo safar pe nikla tha!

sari rounaq udhr gai ho gi.

ya taluq na nibha saka us se,

ya tabiyat hi bhurr gai ho gi.

teri pal bhur ki dil lagi mohsin!

us ko barbad kr gai ho gi....!
  

May, 27 2010     338 chars (3 sms)     3047 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo Ek Shab Jali Tou Usay SHAMMA Keh Dia

Hum Barson Se Jal Rahe Hyn Koi Tou Khitaab Do ?
Ajeeb hy ishq ka meya''ar aadmi k liye

K apne aap se bezaar hy kisi k liye

Tamam umr diye zakhm jis ne

Tarap raha hy Mohabbat mein dil Usi k liye...
Bhuli Huwi Sada Hun Mujhe ad Kijiye,
Tum Se Kahin Mila Hun Mujhe Yad Kijiye,
Meri Nigah Shok Se Har Gul Hai Diyota,
Main Ishq Ka Khuda Hun Mujhe Yad Kijiye,
Naghmon Ki Ibtida Thi Kabhi Mere Naam Se,
Ashkoon ki Intiha Hun Mujhe Yad Kijiye,
Gum Sum Khari Hain Dono Jahan Ki Haqeqatein,
Main Un Se Kheh Raha Hun Mujhe Yad Kijiye..........!
Kahin tum bhi na ban jana mazmiin kisi kitaab ka

....."Qanwal".....

LOg baray shoq say parthay hain kahaniyan be'wafaon ki
Apnay ashko se b khud ko chupa k rona,
jb b rona to chiragho ko bhuja k rona,

Log parh laite ha chehray pe likhe tehreero ko,
kitna mushkil ha logo se chupa kar rona,

Hath jatay howay wo b to na mila kr gae
mein ne chaha tha jisay senay se lga kr rona...
Aik Aisa Shakhs Hy Meri Zeest Mein WASI...

Jo Meri Zindgi Hy Awr Main Us Ka Lamha Bi Nhi...
=/// Soch Raha Hoon ///=

Tumhain
Kya Bhejoo . . . ?

Barish Ki
Pehli Boond . . .

Aasman Ka
Sab Say Roshan Tara . . .

Shaakh Par Khila
Surkh Gulaab . . .

Muthi Main
Qaid |k Jugnoo . . .

Honto Pay Saji
|k Khawahish . . .

Aankho Ka |k Khawab . . .

Ya . . .


Dil Ki MAASOOM See DUA . .
sunte hai har chij mil jati hai dua se,
ek din tujhe mang ke dekhenge khuda se.
Nazar Khamosh
Zubaan Chup
Sada-e-Dil Marham

Kisi Ka Zikr
Na Nikla Tumhari
Baat k Baad
meri afsurdagi se pareshan na ho
tu meri talkhioon ka sabab to nahi
teri aankhian to meri hi damsaaz hian
thin kabhi ajnabi lekin ab to nahi
tujh ko meri musarat muqadam sahi
tera ghum mujhe ko waja e tarb to nahi

tera ahsan hai tu ne mere liye
apni palkoo se rahoon k kante chune
khud kari dhoop main reh kar mere liye
tu ne zulfoo k shadab saaye bune
meri khatir zamane ko pagal kaha
meri khatir zamane k tane sune

tu meri zindahi hia magar jaane man!
ab wo ishq o muhabat ki rasmain nahi
mere dil main kai ghaoo aese b hian
jin ka darmaa teri dastaras main nahi
ik ghum jis ki shidat hamagir hia
tere bas main nahi mere bas main nahi
wo khaak hum hain faraz jiska arsh pe hai muqaam.
chaman k phool nahi hain keh hum bikher jayein.
Dil-E-Nadan barish Ki Tarh Barasna Chor De
Aise Hee Tere barasnay Se Koi Pigle Ga Nahi