chand SMS Messages455 messages

tu nay mujh say poocha hay, kay mein kesay rehta hon
yeh jo jalta dard sa hay, kesay usko sehta hon
sham dhalay dehleez pay bethay, kya tujhko ab bhi sochta hon
jab yad bikharnay lagti hay
aur sans attuknay lagti hay
jab sooraj gumm ho jata hay
aur chand bhi jalnay lagta hay
tu khud say poochnay lagta hon
yeh mein kesay rehta hon, dard ko kesay sehta hon.
mein kuch easay rehta hon
is raat ki tanhaiyo k
sb rang badal gye hain,
chand nikla hai waise hi
andhere badal gye hain,
jin k bharosey thi khushiyan
vo loog badal gye hain,
manzelein tu ab bhi vohi hai
kuch rasety badal gye hain,
jis pey kya tha bharosa hum ne
vo dost bichar gya hai,
dekhey thay jo kbhi hum ne
vo khwab badal gye hain,
jo baney thay kabhi humsafar
aj wo he mukar gye hain,
is totey hoye dil k sarey
jazbat badl gye hain,
na badley kabhi HUm
na badley kabhi humhare khyalat
BUS
rona hai yahi
KUCH LOOG BADAL GYE HAIn
Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,

Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain,
Jina saha ch sajna tu vasda ae
das kiven rokan ohna saha nu
mukki nai udeek tere aan de
kive takkno hat ja rahan nu
rokan bathere par nahi rukde
hanju hauke hawawan nu
pata nahi kihdi chandri nazar laggi
mere sohne sajjre chawan nu
rab kare kiyamat howe te tu awe
Kal halki halki barish thi,
kal sard hawa ka raqs bhi tha,
Kal phool bhi nikhray nikhray the,
Kal un main app ka aqs bhi tha,
kal badal gehray kaale the,
Kal chand pe laakhon pehre the..
Kuch tukry app ki yaadon ke,
Bari dair se dil main thehre the..
Kal yaadien uljhi uljhi thien,
Aur kal tak yeh na suljhi thien..
Kal yaad buhat tum aye the…..
Kal yaad buhat tum aye the…..
Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho
Ham Na Jayen To Kya Tamasha Ho

Ye Kinaron Se Khelne Wale
Dub Jayen To Kya Tamasha Ho

Bandaparwar Jo Ham Pe Guzri Hai
Ham Batayen To Kya Tamasha Ho

Aj Ham Bhi Teri Wafaon Par
Muskurayen To Kya Tamasha Ho

Teri Surat Jo Ittefaq Se Ham
Bhul Jayen To Kya Tamasha Ho

Waqt Ki chand Satein ‘Sagar’
Laut Ayen To Kya Tamasha Ho.
Hum to england me chanda
jama ker rahay they
Faraz
unhon nay to match fixing
ka ilzaam laga dia:)

Na who farishta ho na farishtey jaisa ho
Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho

Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho

Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to

Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey

Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho

Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho

Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho

Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho
Kash tumhare chere pe chicken-pox ke daag hote,
.
.
.
chand to tum ho hi,
sitaray bhi saath hote!!
Ajj Halki Halki Barish hai
Ajj Sard Hawa ka Raqs bhi hai..
Ajj Phol bhi Nikhry hain
Ajj un main tera Aks bhi hai
Ajj Badal Kally Gahry hain
Ajj chand pe lakhon pahry hain
Khush tukre tare yadoon k
Bari dair say dil main thary hain
Ajj Yadain uljhi uljhi hain
Ajj taar yeh dil k sulge hain
Ajj yaad bohat tum aye ho...

"AJJ YAAD BOHAT TUM AYE HO"
dukh dard k maron say mera zikr mat karna
ghar jao tu yaro se mera zikar mat karna
wo zabt na kar payengay ankhon k samndur
tum rah guzaron say mera zikar mat karna
pholon k nasheman mein raha hun sada say
dekho kabhi khazaroon say mera zikar mat karna
shayed yeh andheray he mujhay rah dikhein
ab chand sitaron say mera zikar mat karna
wo meri kahani ko ghalat rang na dey dein
afsana nigaron say mera zikar mat karna
shaid wo meray haal pey besakhta rodein
is bar baharon say mera zikar mat karna
lay jayngay gehrai mein tum ko baha kar
darya k kinaron say mera zikar mat karna
who shaks milay tu ussay har bat bata dena
tum sirf esharon say mera zikar mat karna
aik hathi nay chand chuntiyon ko chaltay chaltay kuchal k mar dya ghalti say.ab chyuntion n us hathi say badla lyne ka plan bnaya.plan.jab hathi ither say guzray ga to us ko tree k uper say jump laga k mar day gay."sab chyuntiyan tree p char hi rahi the k hathi uther say guzarnay laga.1 kamzor si chunti charhatay hue us p pehlay hi gir gaye.peechay say us ki sathi chuntion nay awaz lagaye."PHEY DAY SU PHAY DAY SU