chand SMS Messages455 messages

Gali se ek ladki guzra karti thi
Uske chehre par nakab hua karta tha
Phir bhi us par ek ladka marta tha
Shyad vo use dilo jan se chahata tha
Woh use baar baar kehta “Muh se naquab hata do apna chand sa mukhada dekha do”.
Par ladki ne muh se naquab na hataya Ladke ko apna chehra na dikhaya
Kai din beet gaye ladki ko woh ladka nazar na aaya
Ladki kuch pareshan se rehne lagi
Kisi terha puchte puchte woh uke ghar pahochi.
Padosiyon ne kaha “ Mahotarma aap ko aane main thodi der ho gaye us deewane ke to saat roz pehle he mot ho gaye”.
Padosi ne apna farz nibhaya ladki ko ladke ke kabar tak pahuchaya
Ladki zor zor se rone lagi apne aansuon se kabar ko dhone lagi
Tabhi kabar se ek aawaz aaye
“Waqt waqt ke baat hai pehle tumhare chehre par naquab tha aur aaj humare chehre par hai”
Suno mein laut aya hoon
Meri batein
Meray waday
Mein apne saath laya hoon,
Suno meri dharkan mein
Wohi ik saaz bajta hai
Andaz meri baton ka
Tera andaz lagta hai
Khazaan k zard patton ko
Barf se sard mosam ko
Hijar ki garm aahon ko
Tanhai ki bahon ko
Suno
Main chor aya hoon
Abhi jo sakt baaqi hai
Mera jo wqat baaqi hai
Sameto mujh ko bahoon mein
Mujhay chand khushiyan de dalo
Meray sab gham sameto tum
chand lamhay mujh ko de dalo
Mein sab rishtay
Sabhi natay
Sabhi bandhan
Sabhi dhage
Suno
Mein tor aya hoon
Suno mein laut aya hoon
Wo to AMBER hai,Isay apnay anchal pay chand sajany ka haq hai,
Me tu fakat khushbo ho,Khushbo ka mokadar tu'' azal se bikhar jana he likha hai.

Ay dost
Meray ikhtiyaar mein hota agar
Tu mein chand ka noor sara saba ki sari thandak
Phulon Ki khusho sari titliyon k saray rung
“TERAY NAM KAR DETA”
apni mohabat ki sari
pakieezgi apni duaaon k saray
rukh apni khushyon k
saray lamhay apni kismat
k saray sukh
TERAY DIL MEIN BHAR DETA
kabhi chanda ki nagri say koi pegham aye to
kabhi taroon ka honton per kisi ka naam aye to
kabhi tareek shab main koi jugno jagmagata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi jab saans say uthta dhuan mehsoos hota ho
ajab si aanch pe haar karuan mehsoos hota ho
to uss ki pyar ki barish main tan man bheg jata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi raaton ko uth uth kar bohat bechain hoti hoon
agar jo letna chahon to bas takiye bhigoti hoon
koi ruthi hui shab neend ki pariyan bulata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi jab titliyon k pankh bhi be rang ho jayen
meri saari baharain bhi khizan k sang ho jayen
tabhi ek aas ka panchi dar e dil khatkatata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
Ek ajab c paheli hai jiNdgi,
sab k sath fir bhi akeli hai jiNdgi.
Kbhi pyara sa ek armaaN hai jiNdgi,
to kbhi dard se bhara tufaN hai jiNdgi.
Kbhi pholo se bhara ek guldasta hai,
to kbhi kaaNto se bhara ek rasta.
Kbhi bacho c masoom ho jati hai,
to kbhi guNaho ka bhoj baN jati hai.
Koi to bata de mujhe kya hai jiNdgi,
suNa hai chand roz ki mehmaN hai jiNdgi.
JiNdgi ko chor ek diN jaNa prega,
jiNdgi se jitNa pyar tum krlo,
hoti to akhir bewafa hai jiNdgi
Kaise intehaan yeh zindagi ne liya hai
Badla kaisa yeh meri aashiqi ne liya hai
Yeh jo range udasi hai, mere aangan main yaaron
Yeh taufa maine yaadon ko chandni se liya hai
Ye ulfat - Ye uljhan - Ye kasmkas - Ye diwangi
Jane kyo isi me simat jati hai ek aasiq ki jindgi

Na sukh se ji pate hau- Na chein se mar pate hai
Bhatkate hai yaha waha karte huye apne yaar ki bandgi

Kabhi wafa ki khusiya - Kabhi bewafai ke badal barste hai
Par har dil me chahat ek- Foolo si mahke mere pyar ki jindgi

Har pal mahakna- Sawarna Pal - Pal aahen bharna
Kabhi chand se - Kabhi gulaab se apne yaar ki tulna karna

Kbhi chot khaakar bhi na sambhalna
Khi jaane anjaane me pagal sa bhatkna

Aakhir bachta hai bus pagalpan - Jhalkati hai viraniya
Or har aasiq ke paas bachti hai ,,,,,,,,,,sirf yaden,,
Phir chand khila phir raat thami,

Phir Dil ne kaha hai teri kami,

Phor yaad k jhonkey Mehak gaey,

Phir pagal Arman Behak gaey,

Phir jannat c Lagti hai zamein,

Phir Guzrey lamhon ki batein,

Phir jaagi jaagi c raatain,

Phir thehar gai palkon pe Nami,

Phir Dil ne kaha hai teri kami,
chand lamho ki zindgani he,
nafarato se jiya nahi karte,
lagta hai dushmano se gujarish karni padegi,
kyuki dost to yaad kiya nahi karte.
GILA

mujhay gila to
us chand
se hai
jo hr roz
mujhay us ki yad me
be sakhta
ho kar
aansoo bahate daikhta
hai or us ko khabar bhi nahi karta
"M I S S Y O U"

Mujh Say Khush Naseeb Hain

Meray Ye chand Haroof

Jin Pey Kuch Dair Tak Paray Gi Nigaah Teri...