c SMS Messages19427 messages

mohsin us ki hansi main chupy dard ko mehsos tou kr
wo tou unhi hans hans k khud ko sza daita hai
kirchiyan hi chubhti hoon jab kreeb any se...............
dooriyan hi bahter hain yun gally lgany se
Qadmon mai bhi takaan thi, gher bhi qareeb thaa
per kiya karain keh ab kay safar he ajib thaa

niklay agar to chaand dereechay mai ruk bhi jaaey
iss shehar bay-charaagh mai kis ka naseeb thaa

Aandhi nay un ruton ko bhi bay-taaj ker diya
jin ka kabhi huma saa parinda naqeeb thaa

kuchh apnay aap say he usay kash-makash naa thi
mujh mai bhi koi shakhs ussi ka raqeeb thaa

poochha kisi nay mol to hairaan reh gaya
apni nigaah mai koi kitna ghareeb thaa

maqtal say aanay wali hawa ko bhi kab mila
aisa koi dereecha keh jo bay-saleeb thaa...
Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi chahatay,
Ghum Say Fursat Milay, Hum Nahi chahatay…..

Phir Naya Waar Sehne Ko taiyyar Hain,
Tu Parayshan Rahay, Hum Nahi chahate…..

Aaj Aansoo Bahanay say, Mut Roko,
Aaj Barish Thumay, Hum Nahi chahatay…..

Hum Teray Baad Ujray Hon, To bhi Theek Hai,
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi chahate….. .

Teray Pekar Ko Ham Dekhte Hi Rahein,
Tu Nazar Say Hatay, Ham Nahi chahate…..

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,
Ghum Ka Dariya Ruke, Ham Nahi chahate…..

Iss Qadar Piyar say Tu Pukara na Kar,
Aag Dil Ko Lagay, Hum Nahi chahate….
Khobsurat Hai Ankhain Tere Raat Ko Jaagna chorday..

Khub Ba Khud Neend Aa Jai Gi Tu, Mujhay Soochna choorday..!
jis ki AnkhAin mujhy AndAr se B Parh SaktI Hon.




Koi chehrA To mere ShehAr mAin AisA La Dy.
guzarish hai aaj kuch kah lyny do,,
mujhy mairi dunia main jee lyny do,,
brra hi kathen hai ye rasta,,,,,
mujhy mairi rahoon pe chal lyny do,,
brri purfraib hain nigahain ye sari,,
zrra khud ko en se bcha lyny do,,
mairy lafz lafz main zehar bhrra hai,,

brri tallakh dastan hai suna lyny do,,
jo taana bani hai mairi zindagi tou,,
esy b dharknoon main bssa lyny do,,
kabi rakh ban k na bikhron gi hergiz,,
zrra shama ban k tou jal lyny do,,
mairi nazer main khab hain na manzil,,
tanveer chunaaoo kisi ka tou kr lyny do,,
lakhon main chant k dey dey wo log yarrab
kanton ki rahguzr main b jo sath chalain humaisha
Phir Aaj Koi Ghazal Usk Naam Na Ho Jaye
Aaj Kahin Likhte Likhte Sham Na Ho Jaye

Kar Rahe Hain Intezar Usk Izhar-e-Mohabbat Ka
Isi Intezar Mien Kahin Sham Na Ho Jaye

Nahi Laite Hain Uska Naam Sar’e Aam Is Darr Se
Kahin Naam Uska Badnamam Na Ho Jaye

Mangtay Hain Dua Jab Wo Yaad Atay Hain
K Judai Mere Pyar Ka Anjam Na Ho Jaye

Sochte Hain Aksar Darte Hain Tanhai Mien
Usk Dil Mie Kisi Aur Ka Mukam Na Ho Jaye
Jissay Tum Zindagii Jano
Tumhain WO Rog Kahta Ho
Kay Jis Nay Khud Hi chahat Say Tumhara Haath Thama Ho
Wo Apnay Dil Kay Darwaze
Tum Hi Per Band Kar Day To Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Tumhain Sangsar Kar Nay KO Jo Sang Bantay Loogon Mein
Saba KO Roknay KO Qafal Dalay Dareechon Mein
Kar Kay Band Ghar Kay
Saans Per Pehray Lagay To…
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Ye Kis Nay Kah Diya Tum Say
Mohabbat Mar Nahi Sakti
Kay Jab Koi Tumhain Jaan Say Guzar Janay KO Kahta Ho
Aadhi Raah Mein Khud Hi Mur Janay KO Kahta Ho
Wo Apni Bewafai Ka Khud Hi Aitraf Kar Lay To…
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Kabhi saaya hai kabhi dhoop muqaddar mera
hota rehta hai yoon hi qarz baraabar mera

toot jaate hain kabhi mere kinaare mujh mein
doob jaata hai kabhi mujh mein samandar mera

kisi sehra mein bichhad jaayenge sab yaar mere
kisi jangal mein bhatak jaayega lashkar mera

bewafa tha to mujhe poochhne waale bhi na the
bewafa hoon to hua naam bhi ghar-ghar mera

kitne hanste hue mausam abhi aate lekin
ek hi dhoop ne kumhla diya manzar mera

aakhiri jur''a-e-pur kaif ho shaayad baaqi
ab jo chhalka to chhalak jaayega saagar mera
chand Ko Dekh Khayal Aaya

Din Bhar Yeh Khush Mizaz Rahta

Hai Auro Ke Sath..

Aur Raat Hote Hi chand Tanha

Ho Jata Hai In

Lakhon Sitaron Ke Sath....