Khobsurat Hai Ankhain

Khobsurat Hai Ankhain
Khobsurat Hai Ankhain Tere Raat Ko Jaagna Chorday..

Khub Ba Khud Neend Aa Jai Gi Tu, Mujhay Soochna Choorday..!
  

Jun, 02 2010     115 chars (1 sms)     3384 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

yehi taarey tumhaari aankh ki chilman mein rehtey thay
yehi sooraj nikalta tha tumhaarey baam se pehley


yay saarey rang murda thay tumhari shakl banney tak
yay saarey lafz mohmal thay tumhaarey naam se pehley
Sath rahte rahte youn hi waqt guzar jae ga

Door hone k bad kon kise yaad aae ga

Je lo ye pal jab hum tumhare sath hain.

Kal ka kia pta waqt kahan ley jae ga,
Thi Is Qadar Ajeeb Musafat K Kuch Na Pooch

Aankhai''n Abhi Safar Main Theen Aur Khwab Thak Gaye
Halat-e-dil bhi kia ajab ho gi,
Bat meri jo zeir-e-lab ho gi,

Tm aty ho to phool khilty hain ,
Or is dil ki kia talab ho gi ,

Wada pyar ka jb wafa hoga,
Or kitni taveel wo shab hogi,
main is bebasi ki duniya men kaise jiyoon

dost

yahan sakoon to milta hai magr sab kuch lut jaane k baad.
Aansu aankhon se girnay ka takaza na karo,
Ru''Ba''Ru un k mujhe itna bhi ruswa na karo,
Zakhm sehnay ki sakat bhi nahi ab to dil mei,
Dard barhta hai mujhe pyar se dekha na karo,

Charah sazo ye mera dard nahi qismat hai,
Jhuti taskeen se mere gham ka madawa na karo,

Pyar to de na sakay yadain hi dete jao,
Chornay wale mujhe itna bhi tanha na karo,

Nazah k waqt "SaaMer" to na lo naam unka,
Aakhri waqt mei to pyar ko ruswa na karo.
MERY ashkon ko palkon peh machalna bhi nahin aata...
hasar-e-zabt say to mujh ko nikaln bhi nahin aata...
mujhy lagta hai jaisy main wo koi gham ka sooraj hoon...
keh jisy sham ho jany peh dhalna bhi nahin aata...
kisi ko batana hai mai ne yehi
meray sang sara zamana sahi
tmhari alag hai jagah jan-e-jaa''n
her aahat pe hota hai tera gumaa''n
dua k liye haath jab bhi uthay
zuba''n sab se pehlay tera naam le
khushi ho adhuri to ghum ho siva
lagay dil nah mera tmharay bina
kabhi khud bhi merai paas aa
meri baat sun mera sath de
jo khalish hai dil sai nikaal ker
mujhai uljhanon sai nijaat de
tujhai sochna mera mashghala
tujhai dekhna meri aarzoo
mujhai din dai apnai khayal k
mujhai apnai qurb ki raat de
main akela bhatkon kahan kahan
ye safer bauhat taweel hai
meri zindagi merai saath chal
merai hath main apna hath de!!
yeh rakh rakhao muhabt sikha gayi hai use..

kah wo roth k bhi mujh se muskura k milta hai..
shahr k sabhi logon ne thaam lye hain apne apne dil.

wo phr se aa rahy hain aik shakhs ka intakhab krne.
akele jeene ki adat to pehle say thi...

jane q tanhai mehsos ho rahi hy us k jane k baad..