Zindagi SMS Messages861 messages

Aaj ke daur mein aye dost yeh manzar kyun hai
Zakhm har ser pe har haath mein patthar kyun hai


Jab haqeeqat hai ke har zarrey mein Tu rehta hai
Phir zameen par kahin masjid kahin mandir kyun hai


Apna anjaam to maalum hai sab ko phir bhi
Apni nazaron mein har insaan sikandar kyun hai


Zindagi jeeney ke qaabil hi nahin abb zakhmi
Werna har aankh mein ashkon ka samandar kyun hai
Beykali beykhudi beybasi deygaya
Kuch naye tajrubey ajnabi deygaya

Us ki saudagari main bhi insaaf tha
Zindagi deygaya Zindagi leygaya

Us key aajaney say har kami mitgai
jatey jatey wo apni kami deygaya

Sochney key liye pal ki mouhlat na di
Jaagney key liye ek sadi deygaya

Leygaya jism sey jaan-o- Dil kheinch ker
Haan magar rooh ki taazgi deyga
WO JA RAHA THA
ISSE ROKTY BHI TU KIS LIYE ?
WO JO SHEIHER-E-DIL THA UJJERD GAYA
WO JO KHAWAB THA WO BIKHER GAYA
KABHI MOSUMOO KI NAZER LAGI
KABHI WAHHUMOO NE DURRA DIYA
KABHI MUNZILLOON K SARAAB NE
HUMEIN RAASTEY MEI DAGHA DIYA
KABHI Zindagi KI KITAAB SE HUMEIN JIS NE
CHAHA MITTA DIYA
BUS ISSI LIYE !
WO..........
JA RAHA THA DOR TUK
ISSE DEIKHTEY HI RAHAY MAGER :)
NHI DI SUDDA
ISSE ROKTEY BHI TU KIS LIYE?
janay kis liay pal main,
log bhool jatay hain!!
Zindagi ki yadoon ko,
bay shumar wadoon ko,
khushguwaar batoon ko,
sath guzri shamoon ko,
an ginat iradoon ko,
Janay kis tarah pal main
log bhool jatay hain!!
pyar ki haqeeqat ko,
umar bhar ki chahat ko,
rishtoon ki nazakat ko,
jazaboon ki sadaat ko,
lams ki hararat ko,
dil sye dil ki rahat ko,
KAISAY BHOOL JATAY HAIN?
KAISAY BHOOL JATAY HAIN??
woh barsaat
jis ke intizar main bara maah guzre
kaali ghataa chaane ke baad
poora samaa jhal thal ho gya
pattay bheege
phoolon ne bhi ghusal kia
per mere honton ko
us aek katray ki pyas rahi
jo teri zulf se ho kar
tere rukhsar pe bahay
aur jab wohi aek katra
teri ghulab ki pankharion
se labon per aa ke thehray
apni barson ki pyas bhuja loon
teri aankhon ko choom loon
tere sapno main ashiyana bana loon
tere labon ko choo loon
teri har baat ammar kar doon
tere ghulabi rukhsaron per chehra laga ke
kisi dhoop main chaon ki manind
umer guzar doon
tera wajood orh loon
kahe to Zindagi tere naam kar doon
Kabhi jo maazi main jhankoge
tumhain hum yaad aayenge,

kisi lamhe kuch jo sochoge
tumhain hum yaad aayenge ,

kabhi yun hi akele main
beet-e-dino ko soch ker

koi geet jo gungunaoge
tumhain hum yaad aayenge,

sab doston ki mehfil main
kisi shokh si baat per

zer-e-lab jo muskuraoge
tumhain hum yaad aayenge,
,
Zindagi ke kisi morr per
apne dil ki baat ko

kisi se keh na paoge
tumhain hum yaad aayenge. ...!!!
chiraagoon say agar andherey door hoty to chand ki chahat kise hoti,,,,,

akeley Zindagi agar cut jaati to pyaar sirf naam ki cheez hoti.............
Zindagi bharr ki Ulffat lay lo..
Meri ulffat ki saadgi lay lo..

Ik pal ki muhey khushi day kar..
Mujh say Zinddagi lay lo..

Meray jeevan ki har khushi lay lo..
Chandd saansein mera assasa hain..

lena chahoo tu unhein bhi le lo..
Meri Qissmat main qehar rehnay do...

Meray Damman ki har kali lay lo..
Main Khizaaon main zindda reh loongii.
.
Tum baharoon ki taazgii lay lo..
Bass ik pal ki khushi day do...
mujh se mat pooch kyun aankhen jhookali maine
teri tasveer thi jo tujh se chupali maine
mere muqaddar main jo likha tha ke tu mere naseeb main nahi
apne mathe ki woh tehreer mitaali maine
Zindagi main yahan har kisi ko sacha pyar kahan milta hai
kisi ki wafaanon par likhi ek nazm uthali maine
gheri rehti hain din raat teri yaadein
in yaadon ke sahare Zindagi saajali maine
jin ke sheron ko sun kar bahut roya karta tha
bas wohi ek baat sab se chupali maine
Zindagi KE DARIYA ME MAUJO KO SAHIL NAHIN MILTA, MANJIL KA PATA HAMEN SAARE MANZIL NAHIN MILTA, AUR KIS SE PYAAR KARE HUM, KOI IS KAABIL NAHI MILTA, PATHAR TO BAHUT MILTE HAI, MAGAR KOI DIL NAHI MILTA
Zindagi ka safar maine jaana abhi
poora ho sakta yeh tere bina nahi
teri yaadein satayee,
din raat humko jalayee
pyaar ki shamma mere gulistaan mai jal sakti nai

guzra hua pal laut ke aasakta nai
tumko kho diya waapis paa sakta nai
kaise bhulaao wo manzar
kaanto bhara wo bistar
sukooon se koi raat mai so sakta nai

dil ko to mere aisa lagne laga abhi
kab se thay tanha, tha tumhara nishaan kahi nahi
bikhri huee daastan
is aasman talay hum zinda
kis dar pe jayee hum, milta kahee koi saaya nahi
Jana kaha tha or kaha aa gaya!
duniya me bankar mehman aa gaye!
Abhi to Zindagi ki kitab thori b nai padhi aur na jane kitne imtihan aa gaye.