Zindagi SMS Messages861 messages

Agar Zindagi mein judai na hoti,
To kabhi kisi ki yaad aayi na hoti,
Saath hi gujarte har lamhe to shayad,
Rishton mein ye gehrayi aayi na hoti...
tere bgair Zindagi mei koi kami to nahi
bus ye kambhat dil udas raha karta hai.......
Zindagi ki raah mein aage chalte jana har pal,

Mur ke na dekh beete hue pal
Jo nahin tha tera tujhe nahin mila,

Jo milgaya uske sath guzaar apna har pal
Ajnabi si rahoon ka,
Ajnabi musafir aik,
Mujh se pooch betha hai
rasta bata do gay?
Ajnabi si rahoon ke ajnabi musafir sun
Rasta koi b ho,
Wasta koi b ho
Manzilain nahi miltein
Manzilain to dhoka hain,
Manzilain ager mill jaien,
To
Justajoo nahi rehti
Zindagi ko jenay ki arzooo nahi rehti.
ek pal ki yeh baat nahi 2 pal ka yeh saath nahi,
waise to Zindagi 1 safar si ban gai hai mere liye,
par woh safar hi kya jisme aap saath nahi
Lay Gea Wo Sab Kuch Magr Hosla Rehne Dia


Yani Meri Zindagi Ka Silsila rehne dia


Hum gay Thay Us k pass us ko Mananay k Liye


Wo Khafa Acha Laga Hum Ne Khafa Rehne Diya
Iss jahan mein mohabbat kaash na hoti
Toh safar-e-Zindagi mein mithaas na hoti
Agar milti BEWAFA ko sazaaye maut
Toh deewano ki kabre yun udhas na hoti
dard kafi hai Zindagi ke liye
maut zaroori hai Zindagi ke liye
kaun marta hai kiske liye
hum toh zinda hai sirf app jaise dost ke liye
Apno se juda ho kar, kaun zinda rahta hai,
Sanse chalti hain magar dil,
Hamesha Zindagi se khafa rahta hai,
Jo dil mein ho wo dost,
Durr ho kar bhi kareeb hote hain,
Mere yaar insaan umeedon par hi zinda rahta hai.
Jo khayal thay na qayas thay wohi log hum se bichar gay
Meri Zindagi ki jo aas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein manta he nahi yeh dil wohi log hain mere humsafar
Mujhay har tarah say jo raas thay wohi log hum se bichar gay
Mujhay lamha bhar ki rafaqaton k azab or sataen gay
Jo meri umar bhar ki payas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh khayal saray hain arazi yeh gulab saray hain kaghazi
Gul-e-arzoo ki jo baas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein kar saka na qabool mein wohi shareek-e-rah-e-safar huway
Jo meri talab meri aas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh raat din meray sath hain wohi ajnabi k ajnabi
Who jo dharkano ki assas thay wohi log hum se bichar gay
............BHULAYA NA JAA SAKA............
Palkon pe aanso''on ko sajaya na jaa saka../
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka../
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera../
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka../
jab teri yaad aayi to koshish ke bawajood../
aankhon main aanso''on ko chupaya na jaa saka../
kuch log Zindagi main aise bhi aaye hain../
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka../
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho../
hum se to haal-e-gum bhi sunaya na jaa saka../
woh muskura raha tha mere ru-ba-ru magar../
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka../
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye../
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka../
Wo silsily wo shoq wo nisbat nahi rahi...
Ab Zindagi main hijr ki vehshat nahi rahi...
Tota hai jab se us ki masihai ka talisam...
Dil ko kisi maseeha ki hajt nahi rahi...
Phir yon hua k koi shnasa nahi raha...
Phir yon hua k dard main shidt nahi rahi...
Phir yon hua k ho gaya masroof wo buhat...
Or hum ko yaad kerne ki fursat nahi rahi...
Ab kya kisi ko chahain k hum ko tu in dino...
Khud apne ap se b mohabbat nahi rahi...