Zindagi SMS Messages861 messages

Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai

Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai

Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai
Aye mahobbat tere har khushi ke liye zamaane se lad jaaonga,
teri Zindagi ko mahkaane ke liye main agarbatti ki tarah mahkaaonga
Ghum Nahi Bholta Bhulanay Say“
Num Hoe Ankhayen Muskurany Say
Aaj Woh Ajnabi Say Lagty Hain
Jante Houn Jisay Zamany Say
Doston Ki Parakh Nahi Kerna
Maan Totay Gaa Azmany Say
Jab Say Apno Say Chaut Khaye Hai
Koi Shikwah Nahi Zamanay Say
Zindagi Ki Haqeqaton Ki Kasam
“Dil Ki Batyen Hain Bas Fasanay Say “
Meri Zindagi ki zarurat ho tum.chaha hai dil ney jisko wo chahat ho tum.Manga hai dil ney jisko wo khawahish ho tum.Mehkaya hai jis ney Zindagi ko.wo khushboo ho tum.ankhon main jo basa hai wo haseen khawab ho tum.Dil main dharakney wali wo dharkan ho tum.Mera dil bhi ho tum, meri jaan bhi ho tum, mera pyar bhi ho tum.
Nadiyon Se Kinare Chhut Jaate Hai,
Aasman Se Tare Toot Jaate Hai,
Zindagi Ki Raah Me Aksar Aisa Hota Hai
Jinhe Hum Dilse Chahte Hai Wahi Humse Rooth Jaate Hai..
Kaise wo laut aaye k fursat ussey nahi
Dunya samajh rahi hai mohabbat ussey nahi

Lagta hai aa chuki hai kami uss ki chah main
Kaafi dino''n se mujh se shikayat ussey nahi

Dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
Jazbo''n ki barishon ki jo aadat ussey nahi

Har cheez ikhtiar main rakhta hai wo magar
Dil se rihayi paney pe qudrat ussey nahi..!

Zindagi! ab tou ta''aluq ki ye hi surat hai
Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
Abhi Jo Tum Laut Ker Phir Tum
Humare Dar pe Aaye Ho
Ye Tum Se Keh Dia Kis Ne
K Tum Bin Reh Nahi Sakte
Ye Dukh Hum seh Nahi Sakte
Kaha Tum Se Kis Ne k
Hum Tum Bin Bohat Roye
Kai Raato''n Ko Na Soye
Suno. . ! ! !
Tum Sun Lo Gaur Se
Agar
Beetay Huey Lamho''n Ko
Tumne Wapis Lana Hai
Humari Zindagi ain Humain
Wapis Bulana Hai
Mujhe Afsos Hai Jana''n
K Tum Mayoos Lauto Ge
Agar Tum Jan''na Chaho K Aisa
Kion Kia Hum Ne
Ye Gham Seh Lia Hum Ne
TOU SUNO GAU SE JANA''N
Puraani Ehad-e-Rafta Ki Riwayat
Tor Di Hum Ne

"MOHABBAT CHORH DI HUM NE" . . .
Zindagi Yun Bhi Bohat Kam Hai Mohabbat K lIye
Rooth Ker Waqt Ganwane Ki Zarurat Kia Hai . . . ! ! !
Ishq kar deta hai bekrar, bhar deta hai pathar k dil mein pyaar, har 1
ko nahi milti Zindagi ki ye bahar, kyunki ishq ka dusra naam hai
intezar..... ....
Barson k baad Dekah ek Shakhs Dil-Ruba sa,
Ab Zehn mai nahi hai per Naam tha Bhala sa

Ubroo khinche khinche se, Aankhein Jhuki Jhuki si,
Baatein ruki ruki si, Lehja thaka thaka sa

Alfaaz they k, Jugnoo Awaaz k safar mai,
Ban jaye Jangalon mai jis tarah Rasta sa

Khuwabon mia Khuwab us k, Yaadon mai Yaad uski,
Neendon mai ghull gaya ho, jese k Rat-jaga sa

Pehley b Log aaye kitne hi Zindagi mai,
Wo her tarah se lekin Auron se tha Juda sa

Agli Mohabbaton ne wo Na-Muraadiyan di,
Taza Rafaqaton se Dil tha Dara Dara sa

Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa
Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justajoo Na Ki

Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein Chaalkh Parein
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki

Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki

Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki

Karta Raha Biyaan Woh Gheroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo Na Ki

KyuN Dil Mein Chuppaey Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki

Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki
Na inkaar na tha ikraar
Par hum karne lage tum se pyaar
Jaane kyun aur kab laga humein
Tum hi to ho mere dildaar




Rah pe chal rahe the hum saath saath
Tha hamare haathon mein aap ka haath
Humein kya pata tha ke Zindagi mein
Yuhin saath chalne se nahi banti baat




Kitna pyaar hai hum ko aap se
Kitni zarurat hai hume aap ki
Batayen ge aap ko, karenge hum bayaan
Agar hui aap se, phir kabhi mulakat