Waqt SMS Messages515 messages

Wajah koi nahi lekin .....
Woh mujh se har Waqt naraz rehti hai ....
Kahin raste mein mil jaye .....
To nazren pher leti hai .....
Koi us se mera haal poochey.....
To us se rooth jati hai ....
Kabhi baaton baaton mein ....
Jo mera zikr aa jaye ....
Chali jati hai uth ker woh ....
Woh mujh se itna chidhti hai....
Ke ab to sochta hoon main ....
Kaheen mujh se ....
"Mohabbat to nahi us ko"
Sondhee Mittee Kee Khushboo Mien Liptee Huyee Kucch Yaadien
Phoolon Kee Pankhuriyon Mien Sahejay Huye Kucch Lamhaat
Uss Aksmaat Mulaaqaat Kee Goonjtee Huyee Dharkhan
Ek Ghazal Mien Gholee Huee, Kisikay Lafzon Kee Misree
Zehen Mien, Be-Khauf Failtaa Hua Ek Tassavvur Ka Jaadoo
Waqt Kee Aankhon Say Giree Huyee Ek Ashq Kee Boond
Shabnam Say Churayee Huyee, Thorhee See Numee
Ek Ajnabee Say Milee, Be-Takalluf Hansee
Unkee Jhalak Ka Muskurata Hua Khumaar
Ek Chashm Mien Tairtee Huyee Jheel Kee Gehraayee
Zehan Kay Aangan Mien Kheltay Huey Khayaalon Kay Kehkahay
Ek Manzil Pay Baithay Huey Intezaar Kee Kashish
Unse Haal-E-Dil Kahoon Na Kahoon
Hai Bahut Mushkil Kahoon Na Kahoon

Jo Mere Waqt-E-Dafan Roya Hai Zar-Zar
Wahi Hai Mera Kaatil Kahon Na Kahon

Poochon Na Poochon Tera Maazi Gard-E-Dasht
Tujhse Tera Mustaqbil Kahoon Na Kahoon

Tere Khilaaf Kya Hai Saajish-E-Toofaan
Tujhse Ae Yara ! Kahoon Na Kahoon
Teri Khawish Us Waqt Bahut Tarpati Hai
Sawan Me Koi Boond Jab Bikhar Jati Hai
Meri Ruh Bhi Tarapne Lagti Hai Us Pal
Jab Thandi Hawa Teri Gali Se Guzar Kar Aati Hai
Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq parta hai?Waqt ka seel rawan,chahton ko bahata howa,sapnon ko dabota howa,ankhon ko bhigota howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi daikha nhi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?Waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye chalta hai aur chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.
Barishon k mosam main.Waqt k andhairon main,mene us say pocha tha.Chor to na jao gay?Hath thaam kar usne ye bola tha??kaise chor sakta hon?Tum to jan ho apni?aur aaj aisa hai k Waqt ki tamazat main..Vehshaton k mosam main..main nay uss say pocha .. chor k hi jana tha muskrati galion main to aas kyun jagai thi..?mere in sawalon par na wo chonka,na thehra..chaltay chaltay itna hi kaha bus..Mosam k khail hain.sab Waqt ka tagayur hai.
kehta hi raha tujhse k piyary nahi achay
her Waqt yeh palkon pe sitare nahi achay

us roz se mosam bhi bohat talkh huwa hai
jis roz se taiwar yeh tumaray nahi achay

un hi se tu abad hai yeh shahar-e-mohbat
kehte ho jinhain dard k maray nahi achay

es shaher mein tera bhi koi jurm tu hoga
ilzaam meri zaat pe saray nahi achay

aise tu parindon ki yeh hijrat nahi hai
lagta hai k mosam k ishaaray nahi achay
Mujhe khabar thi
zamana chahay bura hi samjhe
bhalay se ghar main mukhalfat ho
tumharay logoN ko na-pasand ho
tumhaiN to mujh per yaqeen ho ga
magar mujhay kuch khabar nahi thi
tumhari aaNkhoN ki unsiat bhi
ik ajanabiat se dekhti hai
ye Waqt mushkil tareen hai na
suno!
main majboor ho gaya hooN
ye sochne per......... ye poochne per
tumhain to mujh per yaqeen hai na??...
Agar awaz dainy say
Agar wapas bulany say
Agar magmum huny say
Agar ansu bahany say
Bichar kar jany waly lout aaty ,to
Phir hum awaz dy laity
Bohat ansu baha laity
Inhein jany nahi daity
Inhein dil mein basa laity
Samy ko rok laity
Waqt ko qaid kar laity
Magar aaty howay logon ko jana hy
Inhein jitna bhi rooko,inhein ahkir ko jana hy
So hum ny souch rahka hy
K in ko naik bahkti ki duaein dein
Humary pass guzaray mosamon ki chand yaadein hein
So unki nazar karty hein
Humary pass chand ikhlas mein mehki duaein hein
So unk naam karty hein
Baarishon ke mausam main Waqt ke andheron main
Maine us se poocha tha Chorr to na jaoge

Haath tham ker us ne Kaan main yeh bola tha
Kaise chorr sakta hoon Tum to Jaan ho meri

Aur aaj aisa hai Waqt ki tamazat main
Wehshaton ke Mausam main Maine us se poocha hai

Chorr kar hi jaana tha Muskurati galiyon main
Aas kyun dilayi thi Pyaas kyun jagayi thi

Mere in sawalon per Na woh chonka na woh thehra
Chalte chalte itna kaha Mausamon ke khel hain sab
March April k din bhi
Kitny ajeeb hoty hain
Jab jab phool khilty hain
Dil murjhany lagty hain
Kuch bichre loog yaad anaye lagty hain
Yuun to bhari bahaar main her tarf khushbu hoti hai
Dil ko na jany kiss ki justajuu hoti hai
Jab bhi yah mahkii fizaain ati hain
Guzra Waqt yaad dilaati hain
Yeh jo her tarf gull khily hoty hain
Dil main yadoon k nishter chabooty hain
Koon kahta hai
Baharain khushyaan latiin hian
Yah to Udasioon se daman bher jati hain............
Aisa Nahi Ke Hum Ko Mohabbat Nahi Mili
Jaisi Chahtey The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili,

Milney Ko Zindgi Main Kahin Hum-Safar Miley
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,

Chehroon Main Doosroo Ke Tumhain Doondtey Rahey
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili,

Bohat Dair Se Aaya Tu Mere Paas Kiya Kahoon
Alfaaz Doondney Ki Bhi Mohalat Nahi Mili,

Tujh Ko Gilla Raha Ke Tawajja Na Di Tujhey
Laikin Humain Khud Apni Rafaqat Nahi Mili,

Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili........ ..!