Waqt SMS Messages515 messages

KHUD KO MUJH SE JUDA KIA US NE.
JO NA KARNA THA WO KIA US NE.


YAD KARNE SE BHI NA YAAD AAOON.
AISAY MUJH KO BHULA DIA US NE.


TUM TO BAS Waqt KI ZARRORAT HO.
MUJH KO AAKHIR BATA DIA US NE.


KHUD SE NAZREEN NAHEE MILA SAKTA
ITNA NEECHE GIRA DIA US NE.


APNE HAATHOON SE KHUD HI LIKH KE MUJHEY.
JANE PHIR KIOON MITA DIA US NE . . .
Maine kaha ke mere liye kuch DUA kiya karo
Us ne kaha ke DUA pe na takiya kiya karo
Maine kaha ke zahen pe rehta hai bojh sa
Us ne kaha ke chhup ke kahin roya karo

Maine kaha ke tere khuwaab jaga dete hain
Us ne kaha ke raat ko socha na karo
Maine kaha ke raat ko neend nahi aati
Us ne kaha ke sone ki koshish kiya karo

Maine kaha ke dost nahi denge saath mera
Us ne kaha ke Waqt pe yeh tajarba kiya karo
Maine kaha ke Dil main teri yaadein hain
Us ne kaha ke Dil ko samjhaya karo

Maine kaha ke tere milne ki umeed hai
Us ne kaha ke umeed na umeed bhi hoti hai
Maine kaha ke tumhari Ankhen meri Ankhen hongi
Us ne kaha ke chalo phir meri Ankhon main raha karo...
Jahan Bhi Rahain Aik Hi Baat Hai
Tum Pass Nahin Aik Hi Baat Hai
Kabhi Bin Tumhare Roya Karte They
Ab Tum Dhur Ho Aik Hi Baat Hai
Dil Main Pehle wali Baat Nahin
Sou Jathan Karo Aik Hi Baat Hai
Dil Ke Aaine Main Tumain Dekh Liya
Ab Jo Bhi Roop Dharo Aik Hi Baat Hai
Bharam Sare Ab Tum Ne Kho Diye
Baher Ho Ya Khizaan Aik Hi Baat Hai
Woh Waqt Tha Jab Hum Mila Karte They
Wade Sare Wafa Ke Kiya Karte They
Rishta Chah Ka Tha Jho Tum Ne Mita Diya
Ab Subha Ho Ya Shaam Aik Hi Baat Hai
Ab Na Hi Woh Dil Hai Na Hi Tum
Jaisi Bhi Ruth Ho Aik Hi Baat Hai
Bin Tumhare Jeena Bhi Kiya Jeena Hai
Zindagi Ho Ya Mout Ho Aik Hi Baat Hai . . .
Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..

Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.

Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.

Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.

Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
main kehta hon k mairi ankhon ko har Waqt ki phoowar achi lagti hai.
Unhei to fursat nai milne ki humse-Aur humara Waqt guzarta hai unki faryad kr k-

Agr aye vo mri maut pe to keh dena-''abi soya hai tume yad kr k''.
Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta

chahata hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna Waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta
Sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-heeran main
mulaqatain jo hoti hain
jamal-e- abr-o-baraan main
yeh na abaad Waqtoon main
dil-e-nashaad main ho gee
muhabbat ab nahi ho gee
yeh kuch din baa''d main ho gee
guzar jain ge jab yeh din
yeh unki yaad main ho gee ...
Eik sawal zindagi se kiya karte hain

K hum iss duniya mein kyun jiya karte hain,

Jab kisi k liye kisi k paas Waqt nahin to

loug kyu rishtay bana liya karte hain
Sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-heeran main
mulaqatain jo hoti hain
jamal-e- abr-o-baraan main
yeh na abaad Waqtoon main
dil-e-nashaad main ho gee
muhabbat ab nahi ho gee
yeh kuch din baa''d main ho gee
guzar jain ge jab yeh din
yeh unki yaad main ho gee
Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha

Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha


Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed

Usi Waqt Is Tufaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha
Pyar ka pehla khat likhna mai Waqt toh laghta hai

naye pariendo ko udne main Waqt toh lagta hai

jism ki baat nahi thi unke dil tak jana tha

lambi dori tayen karne mein Waqt toh laght hai
Tinko s bane pal, pal se bane lamhe,
Aur lamho ne Waqt ko buna,
Har pal koi kissi ke saath nahi reh sakta,
Iss liye khuda ne yaadon ko chuna.