Waqt SMS Messages515 messages

Ais Zamanay Se Bohat Alag Ho App

Woh Khush-Qismat Hai Jiss k Pass ho Ap

Hamaray Liye Woh Waqt Hi HAseen Hy

Jub Hamain Yaad Kar k Dil Se Sms Kar Lete ho aap
Tumhare baghair jena kia,
jeene ka khawab bhi nahi dekh sakta..
saanso k baghair tu shayad kuch pal jee sakta ho,
laikin tumhare bina nahi..
tum wo pehle larki ho jise jaan se barh ker pyar kerne laga ho..
mera aaj mere kal,
mere din mere pal,mere duaon mein mere sadao mein..
sirf tum or sirf tum ho.
tare toot jaen ge,
chand bujh jae ga,
laikin Waqt yunhi ther jae ga..
umeed ki akhiri kiran nikalne tuk akhiri saans chalne tuk,
mein tumhara intezar karo ga..
Sishe Chube To Nisaan Reh Jata He,
Dil Tute ToArmaan Reh Jata he,
Laga To Deta He Waqt MarhamIs Dil Par
Fir Bhi Umra Bhar ZakhmReh Jata he..
Dil ne jab bhii fareb khaaya hai
Tera andaaz yaad aaya hai


Yeh bhii khuch manzilon se kam to nahin
Raasto mein jo khoya paaya hai


Tum numaaish liye ho daagon kii
Hamne zakhmon ko bhii chuppaayaa hai


Koii marta nahin kisi ke liye
Hamne duniya ko aazmaayaa hai


Waqt-e-hizraan ya vasl ho ''barham''
Hamne dono mein tujhko paaya hai.../
mana ki koi sath nahi
tanha hu is Waqt

tuti hu par bikhari nahi
na hua hausla hai pastt

sach hai ki dagar kathin hai
aasan nahi safar

na hi koi rahnuma hai
jo bane mera humsafar

achcha hi hua tune mujhe daga de diya

soye hue junoon ko phir se jaga diya

nadaN thi tere ishq main khud ko fanna kiya

ho bhala teri bewafai ka jisne fir humeN zinda kiya

fir se wahi junoon hai

bulandion par hai hausla

tere har gunah ka mai khud karungi faisla!
Waqt ki rahon me aap bhula de chahe hume per hum aapko bhula nahi payenge pyar se awaz dena sapne me hum haqiqat main chale ayenge.
USEY APNE FARDA KE FEQAR THEE, WHO MERA WAQIFE HAL NA THA, JO US KE SOBHE UROOJ THEE, WOH MERA WaqtE ZWAL THA, SADYON BAD MELA BHEE TO MEREY LAB PAY KOI GELA NA HA, USEY MEREE CHUP NEY RULA DEYA, JESEY GUFTGO PAY KAMAL THA
Aaj rothay huway sajan ko bohat yaad kiya
Apnay ujray huway gulshan ko bohat yaad kiya
Jab kabhi gardish-e-taqdeer nay ghera hai hamein
Gaisuay yaar ki uljhan ko bohat yaad kiya
Shama ki joot pey jaltay huway parwano nay
Ek teray shula-e-daman ko bohat yaad kiya
Jis k mathay pey nae subah ka jhoomar ho ga
Hum nay us Waqt ki dulhan ko bohat yaad kiya
Aaj totay huway seeno ki bohat yaad aei
Aaj beetay huway sawan ko bohat yaad kiya
Aaj sar-e-toor bhi mayoos-e-tajali hi rahi
Aaj daar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kiya
Mutmaen ho he gay dam-o-qafas mein sagar
Hum asseron nay nasheman ko bohat yaad kiya
Usay apnay dard ki fikar thi
Wo jo mera wakf-e-hal tha
Wo jo us ki subh-e-urooj thi
Wohi mera Waqt-e-zawal tha
Mera dard kaisay wo janta
Meri bat kaisay wo manta
Wo to khud fana k safar mein tha
Usay rokna hi muhal tha
Kahan jao gay mujhay chor kar
Mein yeh pooch pooch kar thak gaya
Wo jawab mujh ko na de saka
Who to khud srapa-e-sawal tha
Wo mila to sadion k bad bhi meray lab per koi gila na tha
Usay meri chup nay rula dia jisay guftagu main kamal tha
Saath rehte rehte yuhin Waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, Waqt kahan le jayega
Waqt ke dayare se hum nikal na jaye..
aapke dil se kahin hum utar na jaye..
hum roz aapko yaad dilaya karenge..
warna kahin aap hume bhul na jaye
Waqt ki aanch main pather bhi pigel jaty hain
qeh qehhy loat ker ashkon main badel jaty hain
koun kerta hai yaad kisi ko umer bher
Waqt kay sath insan bhi badel jaty hain