Waqt ki rahon me aap

Waqt ki rahon me aap
Waqt ki rahon me aap bhula de chahe hume per hum aapko bhula nahi payenge pyar se awaz dena sapne me hum haqiqat main chale ayenge.
  

Jun, 07 2010     131 chars (1 sms)     2520 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kabhi Zindgi ka naam ha Muhabbat.
Kabhi moat ka pegham ha Muhabbat.
Kabhi Muhabbat se milti ha khushi.
Kabhi Gham ki sham ha Muhabbat.
Kabhi Muhabbat aansoun ki barish ha.
Kabhi hansi ka jaam ha Muhabbat.
Kabhi hai Muhabbat Dil ki jalan.
Kabhi Dil ka arman hai Muhabbat.
Ashq Ankhoon Main Meri Dekh Kay Rotay Kiyon Ho
Dil Bar Aata Hai To Pher Mujh Ko Rolatay Kiyon Ho
hamen pyar ka hisab nahin ata.

unka palatkar jawab nahin ata.

hum hain k unki yad me sote tak nahi,

aur unko sokar bhi hamara khwab nahi ata.
Do hi Lafzo''n Ka Tha
Wo Afsana ...

Jo Suna Ker Khamosh
Ho Bethey ...

Ibtida Ye K Tum Ko
Chaha Tha ...

Intiha Ye K Khud Ko
Kho Bethey ...
qasam un mast ankhoon ki main wo lub-raiz-sagar hoon..

jo masti main chalk jaoun,tu mehkhano ko lay dooboon...
her ik mausam main roshni si bekhairtey hain sagar

tumharey ghum ke charagh meri udasiyon main.
suna hoga bohat tum nay
kahin aankhon ki rim jhim ka
kahin palkon ki shabnam ka
parha hoga bohat tum nay
kahin lahjay ki baarish ka
kahin sagar k ansu ka
magar tum nay kabhi ham dam
kahin dekhay? kahin parhay?
kisi TAHREER k ansu?
mujhay teri JUDAAI nay
yah mairaaj bakhshee hai
k main jo lafz likhta hun
wo saray lafz routay hain
k main jo hurf bunta hun
wo saaray batain kartay hain
meray sang is judaai mein
MERAY ALFAAZ martay hain!
Har Kisi Ko Dunya Main
Shohrate''n Nahi Milti''n

Zindagi K Lamho''n Ki
Qeematai''nNahi Milti''n

Fatah Ki Khwaish Main
Amal Bhi Tou Lazim Hy

Sirf Kuch Irado''n Se
Mazilai''n Nahi Milti''n

Faisley Ye Chahat k
Aasman Pe Hoty Hyn

2 Dilo''n k Milne Se
Qismatai''n Nahi Milti''n

Deen Aur Dunya Ko
Saath Rakhna

Masjido''n Main Bethne Se
Jannatai''n Nhi Milti''n

Maan Lo Is Zamane Main
Aur Bhi Hyn Hum Jese

K Hasb-e-Aarzu Jinko
Chahatai''n Nhi Milti''n ...
Tujhe Pyar Mera Satayega Aksar.

Yaado ke toofa uthayega aksar.

Zikar mera karne se pehle.

tu Kuch soch ke muskrayega aksar.

Mera Naam likh kar Kitabo main apni.

tu Logon ke dar se Mitayega Aksar.

Baatein Meri Yaad ayengi itni.

Jitna tu unhain Bhulayega Aksar.
thaka huwa hai wajood saara ye manta hon "mohsin"

magar khayalon se koi jaye to neend aaye...
ae saqi tu jo ruswai ka dard mahsos kar k aaj marna chahta hai..

ase kayi dard hain jo hum mahsos ka r k jeete hain..
Keroungi Kia Jo Hogaye Mohabbat Mein Nakaaam??





Mujhe To Koi Aur Kaam Bhi Nahiii Ata