Kash Hum Bezubaan Hote
Naa Fir Gham Yun Bayaan Hote
Kash Naa Hoti Zindagi Ki Samajh
Naa Fir Yun Afsaane Jawaan Hote
Kash Naa Khwahish Hoti Kuch Paane Ki
Naa Fir Kuch Khone K Gham Yahan Hote
Gar Tod Jaata Koi Ashiyaan Humara
Fir Bhi Khoobsurat Saare Samaan Hote
Lut Jaati Gar Roshni-E-Zindagi
Fir Bhi Andhere Naa Yahan Hote
Toot-Te Hue Bhi Be-Shubhaah Hote
Kash Hum Bezubaan Hote !!
Ek khoobsoorat dhokha hai ishq yaaro,
Hai har mohobbat ek jhoot yaaro,
Jitni khoobsoorat ho sajan utni gehri hai wo bewafaai yaaro,
Na yakin ho, to mere mehboob ki tasveer hi dekhlo yaaro..."
Dil Lagi Thi Usey Hum Se Mohabbat Kab Thi
Mehfil-e-Gair Se Un Ko Fursat Kab Thi
Hum Thay Mohabbat Main Lot Jane K Qabil
Us K Wadoon Main Wo Haqiqat Kab Thi…
Ye dosti chirag hai isey jalaye rakhna,
Ye dosti gul hai isey khilaye rakhna,
Hum rahey na rahey is jahan mein,
Bas hamari yaad dil me basaye rakhna.....