Sama SMS Messages573 messages

Kaise wo laut aaye k fursat ussey nahi
Dunya Samajh rahi hai mohabbat ussey nahi

Lagta hai aa chuki hai kami uss ki chah main
Kaafi dino''n se mujh se shikayat ussey nahi

Dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
Jazbo''n ki barishon ki jo aadat ussey nahi

Har cheez ikhtiar main rakhta hai wo magar
Dil se rihayi paney pe qudrat ussey nahi..!

Zindagi! ab tou ta''aluq ki ye hi surat hai
Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain,
meri har aah har dard Samajhti hain.
Pata hai majbur hai tu bhi aur main bhi,
phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.
Kaash hame bhi koi samjhane vaala hota to aaj hum naSamajh naa hote kaash koi prem ki pyali pilane waala hota to aaj hum sharaabi naa hote kaash koi hum par jaan fida karne waala hota to aaj hum kaatil naa hote kaash koi hamare saath ghar basane waala hota to aaj hum beghar naa hote kaash koi hamare saath doosti karna wala hotatoo ajj beghar dooost ka na hota kaash Kuch hamaree bhi maqsad hote too ajj hmm beghar maqsad ka na hota shaayad accha hi hua ke koi bhi nahi hai nahi to aaj hum shaayar naa hote
Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justajoo Na Ki

Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein Chaalkh Parein
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki

Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki

Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki

Karta Raha Biyaan Woh Gheroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo Na Ki

KyuN Dil Mein Chuppaey Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki

Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki
Ek Hum Hain Jo Unhein Bhool Hee Paate Nahin,
Ek Wo Hain Jinhein Hamaari Yaad Tak Aati Nahin,
Ishq Ki Daastaan Ajeeb Daastaan Hai Jo,
Samajh To Aati Hai Lekin Samajhai Jaati Nahin
jo us kay chehray pe rang-e-heya thehar jay
to saans, saqt, Samandur, hawa thehar jay

wo muskrai to hans hans parhain kai mosam
wo gungunay to bad-e-saba thehar jay

subak khram saba chaal chal parhe jub bhi
hazar phool sar-e-raah aa thehar jay

wo hont, hont par rakh de agar dam-e-akhar
mujhe gumaan hay kay aai qaza thehar jay

main uski aankh main jhankoon to jesay jam jaon
woh aankh jhapke to chahoon zara thehar jay
Hain Ghar Ki Muhafiz Meri Dehki Hui Aankhein,
Main Taaq Mein Rakh Aaya Hoon Jalti Hui Aankhein,

Ek Pal Bhi Kisi Mod Pe Rukne Nahi Deti,
Kaanto Ki Tarah Jism Mein Chubhti Hui Aankhein,

Raste Mein Kadam Phoonk Ke Rakhna Mere Pyaaron,
Hain Chaaron Taraf Shahar Mein Bikhri Hui Aankhein,

Yun Us Ke Bichhad Jane Pe Aansu Na Bahao,
Manzar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Aankhein,

Qaatil Ke Siwa Koi Samajh Hi Nahi Sakta,
Kya Dekhti Hai Tasht Mein Rakhi Hui Aankhein,

Kya Jaaniye Kis Khwab Ki Taabir Mein Gum Hai,
Zulfon Ki Ghani Chhanv Mein Uljhi Hui Aankhein,

''Talha'' Shab-E-Tira Mein Ujalon Ki Amin Hai,
Nafrat Ke Samundar Mein Ye Behti Hui Aankhein...
dil zakham zakham hai toh ankhein be ashqbaar hein
kitna fareb khaye mohabat o pyar mein

ankhein dasht dasht hein dil bi dukha houa
guzra tha aj wo be humein dekhta houa

hontoon pe muskurahat ankhoon mein hai nami si
wo samney hai phir be hai kuch kami si

tum moonh se na bolo ankhein toh batati hein
kya jee mein tumarey hai hum khoob Samajtey hein

ankhein hazar sabar ki koshish ke bawjood
ruk ruk ke baar baar barasti hein ajj bi

khushk ankhoon ki lakeerein pata deti hein
karwan_e_gham ka isi rah se guzr hoga!!.
muttafaavatein hein merey Khuda ki ye tu nahi koi aur hai
ki tou aSamaan pey ho tuo ho pisar-e-zami koi aur hai

woh jo raastey thay wafa ke thay yeh jo manzilein hein saza ki hein
mera humsafar koi aur tha mera humnashi koi aur hai

mere jism-o-jaaN mein terey siwa aur koi bhi dusara
mujhe phir bhi lagta hai ess tarah k kahi kahi koi aur hai

mei aaseer apane gazal ka mein faqir dasht-e-wisaal ka
jo hiren ko baaNdh ke le gayaa wo subuk_tagin koi aur hai
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein Samana na aaya.
Mumkin nahi shab-o-rooz ka aik hona

chahat teri meri deewangi apni jagah
Mumkin nahi shab-o-rooz ka aik hona

Goo kafi nahi pyarr mai lamhoon ka milan
Hota hai ajaam-e-ulfat roohon ka aik hona

Bikhrey hathon ko Samait kyon nahi letey
Mushkil buhat hai Urooj-o-zawaal ka aik hona

Aab bhi yaad atey hain beetey hoye pal
Wo zulfon ka bikhrana or nazron ka aik hona

Aik hi hotey hain aksar rastey humarey
ZAROORI NAHIN MAGER, MANZIL KA IK HONA
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi Samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa kiss ki thi