Sama SMS Messages573 messages

From Saawariya Movie
Teri baat hi sunane aaye
Dost bhi dil dukhane aaye
Phool khilte hain to hum sochte hain
Tere aane ke zamane aaye
Dil dhadkta hain safar ke Samay
Kaash phir koi bulane aaye …….
Samajhte the magar phir bhi na rakhin doorian humne
charagon ko jalane mein jalali unglian humne
koi titli hamare paas aati bhi to kya aati
sajaye umar bhar kagaz k phool aur pattian hamne
charagon ko.............
yuhin ghutt ghut k mar jana hame manjoor tha lekin
kisi kamzarf par jaahir na ki majburian hamne
charagon ko...........
hum us mehfil mein bus ek bar sach bole the ae baali.
zabaan par umr bhar mehsus ki chingarian humne charagon
Ye dunya hai yahan pey ye tamasha ho bhi sakta hai,
Abhi jo ghum hamara hai tumhara ho bhi sakta hai
.
na ye samjho k tum hi aakhri meri muhabbat ho,
muhabbat jurm hai hum sey dobara ho bhi sakta hai
.
Samandar sey jo nisbat dy rahey hain meri chahat ko,
wo itna zehan main rakhain kinara ho bhi sakta hai
.
tera milna,bichar jana,bichar k pher sey mil jana,
hamesha ki judai ka ishara ho bhi sakta hai
.
tum apney aap ko hargiz koi ilzam mat dena,
ye souda hai muhabbat ka khasara ho bhi sakta hai
Wo Mujh se Meri Udasiyon ki Waja puchti hai

Kitni Pagal hai Raat k Sannate ki Waja puchti hai

Wo Mujh se Mere Aanso''on ki Waja puchti hai

Kitni Pagal hai Barish k barasne ki Waja puchti hai

Wo Mujh se Meri Pasand puchti hai

Kitni Pagal hai Khud apne hi barey mai puchti hai

Wo Mujh se Meri Wafa ki intihaa puchti hai

Kitni Pagal hai Sahil per Khara Samandar ki Gehrai puchti hia.....;->
Kaash wado ka matlab woh Samajte,

kaash khamoshi ka matlab woh samjhte,

nazar milti hai nazar se,

kaaaash meri nazron ka matlab woh Samajte.....;->
kis ko qaatil main kahunn kis ko masiihaa Samajhoon
sab yahaan dost hii baithe hain kise kyaa Samajhoon

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa Samajhoon

dil jo tootaa to kaii haath duaa ko uthe
aise maahaul main ab kis ko paraayaa Samajhoon

zulm yeh hai kay hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai kay main ab tak tujhe apanaa Samajhoon..
Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna

Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa Chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna

Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi Chamake,Taqadir Mohabbat Ki
Aey Chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna
Samandar Mein Otar Ta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Teri Aankhon Ko Parta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Tera Naam Likhne Ki Ijazat Cheen Gai Hai Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Na Jane Ho Gaya Hoon Is Qadar Hasas Main Kab Se
Kisi Se Baat KartaHoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Hazaroon Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par
Lekin Jab Bhi HanstaHoon Tou Aankhein Bheeg Jati Hain
Terey Jaisi Aankhon Waley, Sahil Per Jab Aatey Hain
To Lehrain Shoor Machati Hai, Loo Aaj Samandar Dhob Gea
Raat bhar aankhon main raha jashan ka Sama
tum samne mere they kisi khuaab ki tarah,

Charon taraf phoolon main ek raqs tha bapa
saba bhi ker rahe they gulon sey utkhelean,

Thein titlian fiza main sabhi tairte hue
phoolon ka rang churate thein magar ghare ghare,

Rangon amin ek rang bara shaandaar tha
us amin bhi apne khuaab ke jaisa khumaar tha,

Qadmon main mere phool they aur sar per saibaan
hathon main tera haath tha khush tha yeh kul jahan,

Tha qos-o-qaza rehguzar apney pyar ke
jannat ka ek baagh tha sapno ki raat thi,

foren hi aankh khul gayi khushboo ke lehar thi
phir neend main kho jaaon mein koshish yehi rahi..!
Fraib tha unki hansi main,Ashqi samjh bathay


Maut ko hum apni zindagi Samaj baithe,


ye wAQat ka mazaQ Tha ya hamari bAdnaseebi,


unki do baton ko mohAbAt Samajh bathay
Chupaana Raaz Iss Dil Ke
Agar Tum Choorh Do Jana
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Ager Tum Bol Do Jana
Tu Jeevan K Safar Main
Raasta Asaan Ho Jaye
Humare Paas Bhi Jeene Ka Kuch Saman Ho Jai
Warna Hum, Tumhare Dil Ke Darwaaze K Bahir
Aass Main Baithe Rahainge
Ke Kabhi Tu Band Darwaaze Ko Kholo Gi
Mere Shaane Par Sar Rakh Kar
Kabhi Dheere Se Bolo Gi
Mujhe Tum Se Muhabbat Hai...!!!