Qareeb SMS Messages75 messages

What is DUA ?
"D"
Dil se Nikli Hui Awaz jo Ap Ko Din Bhar Sachi Khushi De.

"U"
Udasi Ap K Qareeb Se Bhe Na Guzre.

"A"
Allah Ap Ko Hamesha Khush Rakhe.
NAZAR KA CHAIN DIL KA SUROOR HOTAY HAIN,
KUCH AISE LOG JAHAN MAIN ZAROOR HOTAY HAIN,
SADA CHAMAKTA RAHAY UNKI EID KA TEHWAAR,
Qareeb REH KAY BHI HUM SE JO DOR HOTAY HAIN.
WHAT is "DUA"?

"D"- DIL se nikli hui awaz jo aap ko har din sachi KHUSHI de.

"U"- UDASI aap ke Qareeb se bhi na guzre.

"A"- Aap hamesha khush Rahe.
Aankho''n k Sahilo''n
Pe Hy Askho''n Ka
Ek Hujoom

Shayad
GHAM-E-HUSSAIN
Ka Mausam Qareeb Hy ...
Dushmanaane Haider Ko Jo Qareeb Rakhte Hain
Mera Aisay Logon Se Faasla Zaroori Hai

Ahlubayt ke Haq Baat Jab Bhi Aaye gi
Har Ghadeer Wale Ka Bolna Zaroori Hai
Parwardigar
Suna Hy k Tu Rehta Hy Sheh-Ragg k Qareeb

Jab Khanjar Gardana-e-HUSSAIN Pe Chala Tou Tujh Pe Kia Guzri ???

Allama Iqbal
Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay
kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay

Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they Qareeb
kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay

Kaash aisi koi rut koi moosam aaye
khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay

Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia
aik roz to aayein ** wo hum ko mananay

Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay
khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay

Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay
aatay nahi loat k beetay howe zamanay
Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay he afsanay
kuch qisse naye thay aur kuch berson puranay

Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se they Qareeb
kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay

Kaash aisi koi rut koi moosam aaye
khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay

Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hia
aik roz to aayein wo hum ko mananay

Safha-e-dil ko koi humare perh ker dekhay
khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay

Guzra howa zamana bhula do zehen se apnay
aatay nahi loat k beetay howe zamanay
Qareeb maut khari hai zaraa thahar jao
qazaa se aankh lari hai zaraa thahar jao

thaki thaki si fazaayen bujhe bujhe taare
bari udaas ghari hai zaraa thahar jao

nahin ummeed ki ham aaj ki sahar dekhen
ye raat ham pe kari hai zaraa thahar jao

abhi na jao ke taaron kaa dil dharaktaa hai
tamaam raat pari hai zaraa thahar jao

phir is ke baad kabhi ham na tum ko rokenge
labon pe saans ari hai zaraa thahar jao

dam-e-firaaq mein ji bhar ke tum ko dekh to luun
ye faisale kii ghari hai zaraa thahar jao X
"D" .. Dil se nikli hui
awaaz jo aap ko pura
din sachi khushi de

"U" ... Udaasi aap k
Qareeb sy na guzry

"A" .. Aap hamesha
khush rahe''n

Aamin

G o_O d
A.M :)
Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Uusay Jeenay Ki Too Duaa Na Day,

Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day,

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,

Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day.
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aagosh Main K Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe ek Raat Nawaz De K Us k baad Seher Na Ho

Wo Bara Raheem-O-Kareem Hai, Mujhe Sift Ye Ataa Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon Aur Meri Dua Main asar Na ho

Kabhi Din Ki Dhoop Main Jhoom K Kabhi Shab K Phool Choom K
Yunhi Saath Saath Chalain Sada, Kabhi Khatam Apna Safar Na ho

Mere Paas Mere Mehboob ZAra Aur Dil K Qareeb Aa
Tujhe Dharkano''n Main basa Loon k Bicherne Ka Kabhi Darr na Ho

Kabhi Yun Milain Koi Maslihat Koi Khauf Dil Main Zara Na ho
Mujhe Apni Khabbar Na Ho Tujhe Apna Koi Pata Na ho

Tere Ikhtiyaar Main Kia Nahi, Mujhe Is Terha Nawaaz De
Yun Duaain Meri qubool Hoon k Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho