Mohabat SMS Messages159 messages

Kisi na kisipe aitbar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,

Khubiyo se nhi hoti Mohabat hamesha,
Khamiyo se b aksar pyarho jata hai
dil zakham zakham hai toh ankhein be ashqbaar hein
kitna fareb khaye Mohabat o pyar mein

ankhein dasht dasht hein dil bi dukha houa
guzra tha aj wo be humein dekhta houa

hontoon pe muskurahat ankhoon mein hai nami si
wo samney hai phir be hai kuch kami si

tum moonh se na bolo ankhein toh batati hein
kya jee mein tumarey hai hum khoob samajtey hein

ankhein hazar sabar ki koshish ke bawjood
ruk ruk ke baar baar barasti hein ajj bi

khushk ankhoon ki lakeerein pata deti hein
karwan_e_gham ka isi rah se guzr hoga!!.
Mohabat rog hoti hai kaha bhi tha
Rula k kud bhi roti hai kaha bhi tha
Isay tum dil ki dharti ka pata mat do
Yeh us mai dard boti hai kaha bhi tha
Marhala-e-Mohabat mai khushi k bad
Ghamon ki rut bahut nazdeek hoti hai kaha bhi tha
Luta kar dil ko ronay say hai kia hasil
Tmhara Ahshk bahut nayab moti hai kaha bhi tha
yeh tum ko sir say paon tak bus rakh kar daygi
bahut bay dard hoti hai kaha bhi tha
yaad aya tah bicharna tera
phir nhin yaad ke kya yaad aya

jub koi zakham bhara dagh bana
jub koi bhool gaya yaad aya

ye Mohabat be hai kya rog faraz
jiss ko booley wo sada yaad aya!!!
kya toota kya bikhar gaya ye mein janta hoon
andhiyoon mein chiraag jalaney ki saza mein janta hoon

janey wo kon log the jin ko mila sila mohabtoon ka
zakham_e_Mohabat ki tarap ka maza mein janta hoon

door se dekho iss ko pass jaogey toh pachtaogey
zindagi ke chehrey pe hai kya likha mein janta hoon

un ke koochey se uthey jo mera janaza toh kya baat hai
un ki bahoon mein marney ka maza mein janta hoon

kyun bewaja mujhe zindagi se milatey ho yaro
zindagi aur maut ke beech ka khala mein janta hoon

wo khafa se hein ye be janta hoon mein
un ki narazgi mein be hai ik ada mein janta hoon !!
Likho asi kahani jo
hemesha yad reh jaye
Marey anso bahey itney
k sab koch sath bah jaye


Sono kooch tarz asi do
K jis sey dil bhi bhar aye
Agar tafseer parkho to
Mohabat Afsana Kahlaye

Koi Oonwan eysa do
K jis sey ilm zahir ho
Or jab oon lafzo ko Palto
Tumhara naam ban jaye
Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Ye raaz-E-mohabbat har ek ko bataya nahi jata

Agar ehsaas ho to, Mohabat ko kar lo mehsoos
Ye wo jazba hai jo lafzon mein samjhaya nahi jata

Dosti k liye Mohabat or khuloos hai lazim
Har haath milane walay ko dost samjha nahi jata

Bohat kam hain log jo dil mein utar jhate hain
Har rah chaltey ko apna banaya nahi jata

Koshish se badal jaati hai Taqdeerein
De kar ilzaam Qismat ko or dil ko behlaya nahi jata .
Pyar kiya to unki Mohabat nazar ayi,

dard hua hume to palke unki bhar ayi.

Do dilo ki dhadkan me ek bat nazar ayi,

dil to unka dhadka par awaz is dil se ayi.
Kabhi milay tu usay yeh kehna
K tanha sawan bita chuka hoon
Saray armann jala chuka hoön
Jo sholay bharkay thay khawhishon k woh ansuaon
se bujha chuka hoon
Kahin milay to usay yeh kehna k Baghair us k udas
hoon main
Badalti rut ka qiyas hoön main
Bujha de apni Mohabaton se, Sulagti sadiyon ki piyas
hoon main, Kahin milay tu usay yeh kehna
Na dil main koi malal rakhe, Hamesha apna khayal rakhe
Apne sare ghum mujh ko dai de
Or sari khushian sambhal rakhay.
Mein sochta hoon kuch uss se kahon
koi baat Mohabat, ulfat ki
koi baat sunehrey khwaboun ki
koi baat ke jis k harf harf se
be-naam si khushbu poothi ho
phir sochta hon kya hasil hai
gar uss ko sab kuch keh bhi diya
ye lafz be-kaar jayengey
mai sochta hoon aik geet likoon
unn komal pyare hathon par
uss phoolon waley aanchal par
jisey audh ke wo ek pari lage
kabhi sochta hoon koi nazam kahoon
bas jis main uss ki baatain hon
un gehri gehri aankhon par
jin aankhuon main kai sadiyon k
kai qissay hain, afsanay hain
phir aksar yun bhi sochta hoon
main kuch na kahoon ye behtar hai
har zakhm chupa kar seenay main
bas dukh hii sahoon ye behtar hai
jab unko aitbaar nahi hai
jahan lafz yaqeen se khali hon
wahan chup hii rahon ye behter hai.
Kisi aesy hi mosam men k jab barish bhari raten hamen sony na deti

theen koi masoom si yaden hamen rony na deti theen kisi k anbereen gasoo hamara jab sahara thy

kisi ki chashm e purnam ka kabhi ham bhi sitara thy kisi ki narm o nazuk si hansi k wasty yaro hamen dukh bhi gawara thy kisi aesy hi alam men

kisi aesy hi mosam men shab e hijran chali ai mery dil ko Mohabat ki tapish se ashna kar k mujhy mujh se juda kar k shab e hijran ye kehti

hy kisi aesy hi mosam men koi bhi ajnabi dekho usi se dil laga lena khalish dard e Mohabat ki galy mil kar mita lena kisi aesy hi mosam men,
ajeeb shaks tha kaisa mizaj rakhta tha
sath rah kar bhi ikhtilaf rakhta tha

mai kiu na dad du us kay fun ki
mre hr swal ka phly hi jwab rakhta tha

wo to roshnio ka basi tha mgr
meri andher nagri ka bara hi khyal rkta tha

Mohabat to thi ussy ksi or se shyd
hum se to u hi hansi mazak rakhta tha!!!