Mara SMS Messages422 messages

chalo khawab ankhon main saja kar dekhtay hian
chalo hum kisi ko apna bana kar dekhtay hian
khon k rishton say aitebar uth gaya
chalo benam rishtay bana kar dekhtay hian
zindagi asan ho jaye shayad hamari
chalo hath ki lakiren mita ka r dekhtay hian
andheri shab tu kisi surat kat,ti nahi
chalo ghar apn a jala kar dekhtay hian
hamain maloom hay k tum nay haMara hona nahi
chalo tum per ye zindagi luta kar dekhtay hian....
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi HaMaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain

Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Ha
"tum jo pal pal jore ke dil tore dete ho
ye tumhari adat hai ya hamare saath hi aisa karte ho

tumhare ye adat bar bar dil tore daite hai haMara
aisa na ho ke jorne ke like na rahe dil haMara
Khushbu teri Dosti ki muje mehka jati hai.
Teri har baat mujhe behka jaati hai,
Saas to bohut dair leti hai aane me…
har saas se pehle Teri yaad aa jati hai
Lehron se milkar na woh beh sake na hum,
ek duje ke Dil me na woh reh sake na hum,
jeet lete Aasma ek din lekin, palkon ke khamoshi ko
hoto se na woh keh sake na hum
Hum jee rahe the unka naam lekar,
wo guzarte the haMara salaam lekar,
ek din wo keh gaye bhula de humko,
humne pucha kaise?
wo chale gaye hath mein jaam dekar
Tumhain abb bhool hi jain to acha hai
Yeh faslay or bhi barh jain to acha hai


Tumhari chahatain hum ko nahi hasil
Too abb ghair hi bun jai to acha hai


Hummari to umer guzri hai teri chahat mein
Too iss aag mai na jalay to acha hai


Barsoon say thi duaa keh too meray sath ho
Kehta hoon kay abb samna na ho tera to acha hai


Rehta tha teri muhabbat ka saya humMaray sath
Abb to apni perchai bhi na ho to acha hai


Raiza raiza hoo chukki hai rooh meri
Keh baddan say abb nikkal hi jaiy to acha hai
tum apni khudi ke pehre main
aur daam e guroor mai jakre huai
hum apne zou''m ke narghe mai
anaa haath haMara pakre huai
chein kar Dil Mara woh chall diyeah hain aur kay sath,
humari zindagi say door, huMaray dass say dooor....
Rishta haMara is jahan mein sabse pyara ho,

jaise zindagi ko sanso ka sahara ho.

Yaad karna hamein us pal mein,

jab tum akele ho or koi na tumhara ho
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan haMara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rstay hamary mein wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat hairat hai ab baaghon mein jab kaliyan chatakti hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakti hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weraan jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata
Din Raat Sulagne Lagte Hain Jab Yaad Tumhari Aati Hai

Hum Aap Bikherne Lagte Hain Jab Yaad Tumhari Aati Hai

Kuch Apni Tum Ko Batlayen Kia Haal HuMara Hota Hai

Hum Tanha Rone Lagte Hain Jab Yaad Tumhaari Aati Hai

Ye Saansain Bhi Tham Jati Hain Ye Dhadkan Bhi Ruk Jati Hai

Hum Jeene Marne Lagte Hai Jab Yaad Tumhari Aati Hai

Jab Bhool Tumhain Hum Jate Hain Tou Khud Ko Murda Paate Hain

Hum Phir Se Jeene Lagte Hain Jab Yaad Tumhari Aati Hai
Lagzisho’n Se Mara Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Dono Insaan Hain Khuda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Tu Mujhe Aur Main Tujhe Ilzaam Dete Hain Magar
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi Main BHi Nahi

Maslihat Ne Ker Dia Dono Main Paida Ikhtilaaf
Werna Fitrat Ka Bur Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Mukhtalif Simto’n Main Dono Ka Safar Jari Raha
Ek Lamhe Ko Ruka Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Chahate Dono Bohat Hain Ek Doosre Ko Magar
Ye Haqeeqat Maanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte

Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte

Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai

Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sakte

Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko

Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi sakte

Kaha to tha chorr denge yeh nagar phir ruk gaye lekin

Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte

HaMara ek hona bhi nahi mumkin raha ab tooooo

Jeeyen kaise ke tum se door reh bhi nahi sakte