tum apni khudi ke

tum apni khudi ke
tum apni khudi ke pehre main
aur daam e guroor mai jakre huai
hum apne zou''m ke narghe mai
anaa haath hamara pakre huai
  

Jun, 04 2010     124 chars (1 sms)     2626 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ek Ajnabi Hy Magar
Rooh-Shanas Lgta Hy

Meri Trha Mujhy
Wo b Udaas Lgta Hy

Karon Talash Tou Ho
Shak Wajood Pe Us k

Jo Aankhai''n Band Karo''n
Aas Paas Lgta Hy
Dil Chahey Wo Koi baat Karey

Jab Dil K taar Tuutay Hon

Jab Saary Mujh Sy Roothey Hon

Jab Aankhai''n Meri Bheegi Hon

Dil Chahy Wo Koi Baat Karey

Wo Kahey ...

Mere Di Pe Nahi Hy Zor Koi

Mere Dil Nahi Hy Aur Koi

Wo Kahey Main Sirf Tera Hon

Bas Itni Si Baat Karey

Dil ChahtaWo Koi Baat Karey ..
tum dubara anay ka taqlaf mat kerna
hum aik muhabat ko do bar nahee kertay
tery hansny se jalta ha zamana

ta aur zoor se hans muj ko be jala day
December jab b lot''ta hai,
Mere Khamosh Kamre Mein,
Mere bister pe bikhri Hui Kitabian Bheg jati hain_!i!
USKA HI ZIKR HAI AUR MAIN HUN
ISHQ BE KHABAR HAI AUR MAIN HUN

ZYADA KEHNA BHI KYA LAFZ HANSTE SE HAIN
USKA HI ASAR HAI AUR MAIN HUN

FASLE NA RAHE DOORIYAN MIT CHUKIN
PYAR KA IK SHAHAR HAI AUR MAIN HUN

EK GUMNAAM PYAR EK KHAAMOSH ISHQ
HASRATON KA NAGAR HAI AUR MAIN HUN
Pyar ki khamosh surat ho tum,

Kaise kahun kitne aache ho tum,

Zamane ke liye kya ho men nahi jaanti,

Lekin meri har saans ki zarurat ho tum...;->
Mein Ne Tujhe Chaha Kya Meri Yehi Khata Hai
Meri Chahat Ki Kia Yehi Saza Hai
Ek Lamhe Mein Badal Dali Nigahain Tumne
Bas Itni Si Mohabat Teri Itni Si Wafa Hai
Ek jurm hay mohabbat
Jo main ne kya hay
Ek ghalti hay mohabbat
Jo mujh se hooi hay
Ek dard hay mohabbat
Jo mujhay hooa hay
Ek ehsaas hay mohabbat
Jo main ne mehsoos kia hay
Ek jazba hay mohabbat
Jo meray andar hay
Ek bhool hay mohabbat
Jo main ne ki hay
Ek phool hay mohabbat
Jo main ne khilaya hay
Aur iss ki khushboo main
Charon taraf bakhair doon ga...!!!
Khatayen Yad Rkhta hai
Wafaen Bhol Jata Hai

Wo Meri Chahton Ki Intehaen Bhol Jata Hai

Jo Pichly Jurm Hain Mery
Wo Unko Yad Rkhta Hai

Jo Main Nay Kaat li Hain Wo Sazaaen Bhool Jata Hai...!


Jany Kyon
Wo Mujh Ko Bhool Jata Hai,,?
jab bahaar aei tuu sehra ki tarf chal nekla
sehn_e_gul chor gaya dil mera pagal nekla
hum sakon dhundny nekly thy pareshaan rahy
shehr tuu shehr ha jungal b na jungal nekla
hum usy dhundny nekly tuu neshaan tak na mela
dil main mojud raha ankh say ojhal nekla
wo jo afsana_e_ghum sun k hansa karty thy
etna roay hain k sab ankh ka kajal nekla
ek mulakat thi jo dil ko sada yad rahi
hum jesy umar samjhy thy eo ek pal nekla..!!
Teri khushboo har saans me sama lenge,

Ashk jo nikle tumhare apne hothon se pee lenge,

Hame dhadkan ki kya zaroorat hai,

Tere dil me pyar bankar har lamha dhadak lenge...........;->