Khata SMS Messages252 messages

na suno gar buraa kahe koii
na kaho gar buraa kare koii

rok lo gar Galat chale koii
baKhsh do gar Khata kare koii

bak rahaa huu’N junuu’N me’n kyaa kyaa kuchh
kuchh na samajhe Khudaa kare koii
TUMHARI RAH GUZER KO SAJA DIA MAIN NE
JALA K KHUD KO ANDHAIRA MITA DIA MAIN NE
TAIRI Khata HA NA SHIKVA MUJE ZAMANE SE
YEH DIL TO APNE HI HATHOON LUTA LIYA MAIN NE
Main Lafzon main kuch asar nahin kerta.Iss ka matlab yeh nahin key main tujhey pyar nahin kerta.Chahta hon main tujhey aaj bhi.Mager teri soch main apna waqt bekaar nahin kerta.Tamasha na ban jaey kahin mohobat meri.Iss liey apney dard ko namoodar nahin kerta.jo kuch mila hai usi main khush hon.Main tere liey Khuda say takraar nahin kerta.Par kuch to baat hai teri aankhon main.Werna main tujhey chahney ki Khata baar baar nahin kerta.
Hum ney khushboo ki terha gam bhi akathey dekhey hain.Safa zeast ko palto gi to yaad aaon ga.Isi andaaz main muKhatab hoey they mujsay.Khat kisi aour ko likho gi to yaad aon ga.Sard raton k mehaktey hoey sannaton main jab kisi phoool ko choomo gi to yaad aon ga.haadsey aaeyn gey jeewan main to tum ho k nidhaal.kisi dewaar ko thamo gi to yaad aaon ga.Shaaal pehnaey ga kon december main.Baarishon main kabhi bheego gi to yaad aaonga.iss main shamil hai mere bakht ki bhi tariiiki maqsoood.Tum syaah rung jo pehno gi to yaad aonga.
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein,
Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Nawaz De ,
Magar Uske Baad Saher Na Ho

Woh Bara Raheem-o-Kareem Hai,
Mujhe Yeh Sifat Bhi Ata Karein
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon,
To Dua Mein Meri Asar Na Ho

Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke,
Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom Ke
Yun Hi Saath Saath Chalein sada,
Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho

Mere Paas Mere Habeeb Aaah,
Zara Aur Dil Ke Qareeb AaAh,
Tujhe Dhadkano Mein Basalon Main,
Ke Bichhadne Ka Kabhie Dar Na Ho
ahal-e-dil aur bhi hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hii nahi duniya se Khafa aur bhi hain

kya hua ger merey yaaron ki zabaanein chup hain
mere shahid mere yaaron ke sivaa aur bhi hain

hum pe hi Khatam nahi maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhi hai chaak-e-qabaa aur bhii hain

sar salaamat hai to kya sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain

munsif-e-shahar ki vahadat pay na harf aa jaaye
log kahate hain ke arabaab-e-jafaa aur bhi hain
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur Khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa kiss ki thi
AGar HuM DosT HoTaY To
KaRaM Ki InTehA KarTaY
TumhaiN PaLkoN PaY RakhTaY HuM
TumhaiN DiL MaiN BaSaTaY HuM

AGar TuM RooTh JaTaY To
TuMhain KiTna ManaTaY HuM
Jo MiLnaY TuM Nahi AaTaY
To Aa Kar KhuD TumhaiN MilTaY


TumhaRi LaghZishoN Ko Bhi
HanSi MaiN HuM Ura DaiTaY
AGar Apni Khata HoTi
To KhuD Ko Bhi Saza DaiTaY


MaGar Yeh Sab Jabhi HoTa
AGar HuM DosT HoTaY
MaGar ITna Hi Jana HaI
K TuM NaY Aaj Tak HuM Ko


ParaYa Keh Kar Jana HaI
KaBhi HumDuM Naa Mana HaI
AGar HuM DosT HoTaY To.....
Ajeeb Tarahse Socha Hai Zindagi Ke Liye,
Ke Zakhm Zakhm Main Khulta Hoon Har Khushi Ke Liye,

Wo Mujhko Chhod Gaya To Mujhe Yaqeen Aaya,
Koi Bhi Shakhs Zaroori Nahi Kisi Ke Liye,

Sawal Ye Hai Ke Usne Kabhi Nahi Puchha,
Ke Aap Sochte Kaise Hai Shayri Ke Liye,

Use Khabar Hai Ke Uska Koi Nahi Apna,
Ek Aashnayi Bhi Kafi Hai Ajnabi Ke Ilye,

Khata Kisiki Ho Lekin Saza Kisiko Mile,
Ye Baat Jabar Ne Chhodi Hai Har Sadi Ke Liye,

Ye Saadgi Thi Meri Ya Ke Saad Chahat Thi,
Ke Maine Khud Ko Kiya Pesh Dillagi Ke Liye
Teri Tasweer meri Ankhon main Basee kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai

Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin
Tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai

Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai

Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai

Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai

Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai
Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain
Apny Asool Youn B Kbi Torny Pry, Uski Khata Thi Hath Hmain Jorny Pry, Aya Na Jb Qaraar Dil-e-Beqarar Ko, Yadon K Rukh UsKi Traf Morny Pry.