Khata SMS Messages252 messages

Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aagosh Main K Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe ek Raat Nawaz De K Us k baad Seher Na Ho

Wo Bara Raheem-O-Kareem Hai, Mujhe Sift Ye Ataa Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon Aur Meri Dua Main asar Na ho

Kabhi Din Ki Dhoop Main Jhoom K Kabhi Shab K Phool Choom K
Yunhi Saath Saath Chalain Sada, Kabhi Khatam Apna Safar Na ho

Mere Paas Mere Mehboob ZAra Aur Dil K Qareeb Aa
Tujhe Dharkano''n Main basa Loon k Bicherne Ka Kabhi Darr na Ho

Kabhi Yun Milain Koi Maslihat Koi Khauf Dil Main Zara Na ho
Mujhe Apni Khabbar Na Ho Tujhe Apna Koi Pata Na ho

Tere Ikhtiyaar Main Kia Nahi, Mujhe Is Terha Nawaaz De
Yun Duaain Meri qubool Hoon k Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho
DUKH ANMOOL HOTAY HAIN
Qudrat ki wadiyat hotay hain
Kabhi kuch day kar jatay hian
Kabhi sub kuch cheen laitay hain
Kabhi bechain kartay hain
Kabhi jeena siKhatay hain
Kabhi bantay hain jab aansoo
Umer bhar yeh roolatay hian
Kabhi lab ki hansi ban kar..
Naie duniya sajatay hian.....
Kabhi meethi kasak ban kar....
Anjani khalish ban kar
Makeen-e-dil yeh bantay hain
Kisi sourat nahin mittay
Jo in say door bhago tou
Nahin janay nahin daitay
Na zindah rehnay daitay hain
Na yeh aazad kartay hian
Nahin jis ki dawa koi
Yeh aisa dard hotay hain
Magar yeh bhi haqeeqat hai
Har ik ko tou nhain miltay
Baray nayaab hotay hain,
Yeh dukh anmool hotay hian..!
DUKH ANMOOL HOTAY HIAN !......
Dil tordna humari aadat nahi

Dil hum kisi ka duKhatay nahi

Barosa rakhna merri wafaoon pe

Dil main basa ker hum kisi ko buhlatay nahi
Kaise Batau Use,


Nahi Isme Koi Meri Khata,


Khel Hai Ye Sitaron Ka,


Ye Chand Tu Use Bata;


Bandish Hai Ye Fizao Ki,


Aa Maangle Khuda se Ek Umar Duao ki
jo kuch bhi mila hai usi mein khush hu
mein tere liye khuda se taqrar nahi karta,
par kuch to baat hai teri fitrat mein
zalim warna tujhe chahne ki Khata baar baar nahi karta
bhool gaya hai yeh dil .. khushiyon ke mehfil sajaana..
jaise bhool gaye hai hum ke.. ek waada tha nibhaana..
ek waada dosti ka.. ek waada bandagi ka.. ek waada zindagi ka ....
kaash woh karde hamaari is Khata - e - muhabbat ko....
yaa phir jal jaaye hum is bewafa dil ke angaaron mein ....
kaash yeh tanhaayiya nahin laati yaadein un ki....
tho na likhte hum unke yaadon mein .....
na is dil mein un ke liye pyaar hota ...
na hamein yeh shab-e-gham ka intzaar hota .......
TAIRE HOTE HOWE MAHFEL MAIN JALATAY HAIN CHARAGH....
LOOG KIA SAADA HAIN SOORAJ KO DEKhataY HAIN CHARAGH
Yeh pal pal ka chalna,
fasila Khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe woh kal na milega!
Yeh koi gaata hai,
ya namaaz padta hai,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe alag khuda na milega!

Yeh guzarti huwi raat hai,
ya nikalti huwi sehar,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe humsafar na milega!
Yeh Baarish ki boondein hain,
ya aankhon ke aansoon,
Tum kitna bhi chaho,
inhe thaamne wala na milega!

Yeh dil ke tukde hain,
ya aap ki yaadein,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe marham na milega!

Yeh dil mein armaan hain,
ya sulagte huwe sholey,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sehra mein paani na milega!
yeh kaisi uljhan ban gayi hai
dil ki dhadkan,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sukoon na milega!
Agar Ham Dost Hotey
To Karam Ki Inteha Kartey
Tumhen Palkon Pey Rakhtey Ham
Tumhen Dil Men Basatey Ham
Agar Tum Rooth Jaatey To
Tumhen Kitna Manatey Ham
Jo Milney Tum Nahi Aatey To
Aa kar Khud Tumhen Miltey
Tumhari Larhzishon Ko Bhi
Hansi Main Ham Ura Detey
Agar Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detey
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Agar Ham Dost Hotey To
ay kaash kabi esa hota
tujh ko sirf mujh se piyar hota
kismat ka ye shahkar hota
waqt humara gulam hota
teri aankhon main halkore Khata hua
wo aks sirf mera hota
duniya ka na phir koi dar hota
dushman na koi humare beech hota
ye zamana humara meet hota
mere labon pa tera geet hoya
main mar b jaoon to kiya hota
tu zinda hota mera piyar zinda hota......
is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye
Kyu ho humse khafa, bayan to kijiye
Kar dijiye maaf agar ho gaye humse Khata
Yu yaad na karke saza na dijiye
zindagi k kisi mor per khu ko tanha na samjhna,me tere sath hun apne se juda na samjhna,me tujhse jan se badh kar pyar karta hun,meri is muhabat ko bura na samjhna,tum phulon ki tarah khubsurat ho masoom ho,dekho meri is tareef ko bejaan na samjhna,umar bher tera sath dene ka wada kia he,zindagi ne agar sath na dia to bewafa na samjha,ab b tune mere pyar ko thukraya sanam,ise mera muaddar jan na,apni Khata na samajhna..