Haseen SMS Messages129 messages

Farsh-e-malmal pe sone walo''n,
Eik din Qabr me sona pre ga,
Apne aamal ka jaiza lo,
wrna Qabr me rona pre ga,
Chorh de zindagi ka ye mela,
jaye ga tu yahan se akela,
KHubsurat Haseen ye badan hy,
Isko be-jaan hona pre ga,
4 yaro k kandhe pe jis din,
Tera janaza nikle ga ghar se,
pehan k ik kafan ka jorha,
Jb jnaze pe sona pre ga,
khak se bna ye jism tera,
khak me hi mil jaye ga,
Ek roz yahan pe tu aya,
Ek roz to jana parega ... !!
ik Haseen jheel ke jaisi hain tumhari ankhein
dill ko betaab sa karti hain tumhari baatein

kitna tanha sa karti hain tumhari baatein
kitna tanha sa main rehta hoon shab bhar

raat bhar sone nahi deti tumhari yaadein
tohmatain nto lagti raheen roz he hum per""SAJID""

magar jo subsy Haseen ilzam tha wo uska naam tha...
main apni wafa k badle tum se wafa nahi mang raha...

main tu tum se Haseen raat mang raha hoon jis main tum na thy
na buhla sake hum Haseen wadon ko..

khudi bhool bathe mujhy yaad delane wale..
Barishoon ka mosam hai~
Rooh ki fizaon mein~
Ghamzda hawain hain~
Be~sabab udasi hai~
Es ajeeb mosam mein~
Beqrar raton ki~
Beshumar batain hain~
Un gint lamhon main~
Dil mera jalaaty ho~
lutf k b lamhon ko~
Yaad main ganwaaty ho~
Her Haseen barish main~
~TUM he yaad atay ho.
kis qadar Haseen, kitni shokh lakin bey''wafa
main nay poocha kaun,woh ghabra k boley ZINDAGI
YOoN tO RaaT kA ALaM Haseen HoTa HAi MadHoSh BhI


Magar chand Dekhoon To Meri RatAin BaDal jati Hain . .
Meri manzil ka sfr es lye khatarnaak tha.

k mera humsfr bhut Haseen tha.
Meri manzil ka sfr es lye khatarnaak tha.

k mera humsfr bhut Haseen tha.
ye jo zindagy ki kitaab hai,
ye kitaab bhi kia kitaab hai,
kaheen ik Haseen sa khoaab hai,
kaheen jaan lewa azab hai,
kaheen aansuon ki hai daastaan,
kaheen muskurahaton ka bayan hai,
kai chehre is mein chupe hoe,
ik ajeeb sa ye naqab hai,
kaheen kho dya , kaheen paa lia,
kaheen ro lia , kaheen gaa lia,
kaheen cheen lety hai har khushi,
kaheen meharbaan behisaab hai,
kaheen dhoop hai , kaheen or hi koi roop hai,
kaheen barkaton ki hain barishein,
kaheen tishnagy behisaab hai,
YE JO ZINDAGY KI KITAAB HAI.......
Chahton ki dori bhi,
Torna hi parti hay
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hay
Bhoolna hi parta hay,
Khud say piyaray logon ko
Aur dil kay aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch Haseen lafzon ki,
Kuch Haseen tehreerain
Paaoon jin mein jukrain hon,
Kholna hi parti hain
Khoobrurat aankhon mein basnay walay khawbon ko
Nochna hi parta hay
Dil say milta her rishta torna hi parta hay......
kiun keh......

Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota!!!