Meri manzil ka sfr es ly

Meri manzil ka sfr es ly
Meri manzil ka sfr es lye khatarnaak tha.

k mera humsfr bhut haseen tha.
  

May, 28 2010     76 chars (1 sms)     2785 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tashnaa nazareen milen "SHOKH" nazarun se jub

Main barasanay laga "JAAM" bharnay lagaa

Saaqiiyaa aaj tare "ZARUURAT" nahe

Bin piye bin pilaaye "KHUMAR" anay lagaa
Sun li jo khuda nay wo dua tum to nahin ho
Darwazay pay dastak ki sada tum to nahin ho

Simti hoye, sharmae hoye, raat ki rani
Soye hoye kalyon ki haya tum to nahin ho

Mehsos kiya tum ko to geeli hoye palken
Bheegi hoye mosam ki ada tum to nahin ho

In ajnabi rahon main nahin koye bhi mera
Kis nay mujhe yon apna kaha tum to nahin ho
Saath rehete rehete waqt unhi guzar jayega,
door hone ke baad kaun kise yaad aayega,
jee lo yeh pal jab hum saath hai,
kal ka kya pata waqt kaha le jayega.
Shayad Iss Nay Mujh ko Tanha Daikh Lya Hey
Dukh Nay Meray Gher ka Rasta Daikh Lya Hey

Apnay Aaap Say Ankh Churata Phirta Hoon
Aaiinay Mein Kiss Ka Chehra Daikh Lya Hey

Us Nay Mujhay Darasal Kabhee Chaha Hee Nahin Tha
Khud Ko Day Ker Yeh Bhi Dhoka! Daikh Lya hey

Uss Say Miltay Waqt Ka Rona Kuch Fitree Thaa
Uss Say Bicchar Janay Ka Nateeja Daikh Lya Hey

Rukhsat Kernay Kay Adab Nibhanay They
Band Ankhon Say Us ko Jata Daikh Lya Hey
kisi kamzor lamhey mein
agar mein tum se ye keh doon
mujhey tum se MUHABBAT hey
to ye mat samjh lena
k mein ne sach kaha ho ga...
aisy dil nashee''n bato''n ko
pairaye mein kehna
mujhey bachpan se aata hey...
meri aankhein, mera chehra
mera ye bey saakhta lehja
ye sab jhoot kehta hey..
par is jhoot mein ek sach bhi hey...
MUJHEY TUM SE MUHABBAT HE..!!!
aj ehsas ke daman mein aansu gira ke dekhiye
pyar kitna sachcha hai dil laga ke dekhiye
aapko bhul ke kya hogi is dil ki halat
kisi aaine pe paththar gira ke dekhiye
Mere Din Raat Mushkil Mein,
Sukoon Ek Pal Nahi Mujh Ko...
.
Mohabbat Taras Kha Mujh Par Mohabbat Chorh Ja Mujh Ko....
Kash k hum sambhal jate aaghaz-e-ishq se pahle.

dil tu bacha hai wo kub kisi ki sunta hai...
THora tHora sacH
THora tHora jHoot
Yun
Hamare piyar ki
bunyaad rakHi gai
THori si
GHaLat feHmi
THora sa kHauf-e-zamana
Yun Hamare piyar ki
PHir saakH tori gai..

(Nuzhat Shah)
Meri Rooh Meri Zindagi Tere Naam
Meri Har Ik Saans Tere Naam
Gar Tu Nahin To Kuch Nahin
Mere Din Meri Shaam Tere Naam
Eik "Diya" Hai Jala Tere Naam Ka
Chahe To Aa Ker Is Ko "Roshni" De
Chahe To Is Ko Bujha De
Is Ki Zindagi Hai Tere Naam
kahan kahan na chiri daastan-e-jurm-e-wafa
hamaray eshq ka charcha kahan kahan na hua
Thi Is Qadar Ajeeb Musafat K Kuch Na Pooch

Aankhai''n Abhi Safar Main Theen Aur Khwab Thak Gaye