kis qadar haseen,

kis qadar haseen,
kis qadar haseen, kitni shokh lakin bey''wafa
main nay poocha kaun,woh ghabra k boley ZINDAGI
  

May, 28 2010     95 chars (1 sms)     2422 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

phir yahan kya maray hone ka jawaz!!!!

gahr nahein koi muntazir mera,,,,
Agar Ham Dost Hotey
To Karam Ki Inteha Kartey
Tumhen Palkon Pey Rakhtey Ham
Tumhen Dil Men Basatey Ham
Agar Tum Rooth Jaatey To
Tumhen Kitna Manatey Ham
Jo Milney Tum Nahi Aatey To
Aa kar Khud Tumhen Miltey
Tumhari Larhzishon Ko Bhi
Hansi Main Ham Ura Detey
Agar Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detey
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Agar Ham Dost Hotey To
tumko hum dil me basa lenge, tum aao to sahi
saari duniya se chupa lenge tum aao to sahi

ek waada karo ab humse na bicHDoge kabhi
naaz hum saare utha lenge tum aao to sahi

bewafa bhee ho sitamgar bee jafa pesha bhee
hum khuda tumko bana lenge tum aao to sahi

raah taarikh hai aur door hai manzil lekin
dard ki shamme jala lenge tum aao to sahi
mujhay fursat hi fursat ha..
mujhay fursat hi fursat ha..
saweirey jald uthna ha..
na shab ko deir se sona..
kahein baahir nahi jana..
kisi se bhi nahi milna..
na koi fikr laahaq ha..
na koi YAAD baaqi ha..
magar ye aakhri misraa..
zara sa jhoot lagta hai..!!
Chehra Wo Hatho Se Chupate Q Hai,

Sharmate Hai To Samne Aate Q Hai,

Kahte Hai Wo Hme Mar-2 Ke Na Jine Ko,

Fir Aate Hai To Laut K Jate Q Hai.
Roti Hoi Aankhon Se Tujhe Muskan Kese Doon

Anjaan Hoon Khud Se Tujhe Pechaan Kese Doon

Tu Hi To He Jan Meri...

Tu He Bata Tujhe Apni Jaan Kese Doon . . . ;->
Na Janay Kub Say Ho Gay Itnay Shiddat Psand Hum Ali.



Jab Tk Zakham Na Khayain Tassali Nehi Hoti.
jhoot bool kar tu ne use apna mahwar tu bana laya hai"ami"

kal wo teri zindgi ka ek hisa bna tu kaya ho ga soch le..
Abhii Iss Taraf Na Nigaah Kar Main Ghazal KiiPalke'n San'vaar Luu
Meraa Lafz Lafz Ho Aaina Tujhe Aaine Mein Utaar Luu

Main Tamaam Din Ka Thakaa Hua Tu Tamaam Shab Kaa Jagaa Hua
Zaraa Thahar Jaa Isii Mor Par Tere Saath Shaam Guzaar Luu

Agar Aasamaa'n Kii Numaisho'n Me.N Mujhe Bhii Izn-E-Qayaam Ho
To Main Motiyo'n Kii Dukaan Se Terii Baaliyaa'n Tere Haar Luu

Kaii Ajanabi Teri Raa'h Ke Mere Paas Se Yuun Guzar Gaye
Jinhe'n Dekh Kar Ye Tarap Hui Tera Naam Leke Pukaar Luu
ye dsrd key tukry hen,ashaar nahi saghar.

ham kaanch k dhagy me zakhmon ko paroty hen.
Narahe Koi Gila Is Qadar Wafa Denge
Apki Ek Khushi Ki Khati Anso Tak Baha Denge
Kabhi Na Bholenge Apki Dosti Ko Hum
Dor Reh Kar B Apko Dil Se Dua Denge
kon ujra ho ga bhari duniya mai hamari tarha.

tu b na mila humko aur khud ko b ganwa bethe.