Guzar SMS Messages338 messages

Aisa Nahi K Humne Usay Yaad Na Kya Ho

FARAZ

Roz Rath Guzarte Thay Hum TOM nd JERRY Dekh Kar
Aj Mainy Osy Dekha Hai
Barsoon Bad
Dil Kuch Nae Andaz Se Dharka Hai
Barsoon Bad
Dil Chaha! K Barh Kar Roke Lo
Lakin
Zamane Ke Nigahoon Ne Saath Na Chora
Barsoon Bad
Dil Chaha! K Tery Rah Guzar ko Dekhta Hi Raho
Jany To Phir Kab Ay Barsoon Bad
Har ek lamhe ka hisaab liya,

zindagi ko yun benaqaab kiya.

tanha-tanha jo pal Guzare they,

teri yaadon se unhe phir aabad kiya.
Hum Har Roz Udas Hote Hain,
Aur Shaam Guzar Jaati Hai,
Kisi Roz Shaam Udaas Hogi,
Aur Hum Guzar Jaayenge....
Is Rah-e-MOHABBAT Ki Tum Baat Na Poocho

Kis Tarha Guzarte Hyn Din Raat Na Poocho

Anmol Jo Insan Hyn, Bemol Bikey Hyn

Dunia K Is BAZAR Ki Tum Auqaat Na Poocho
Ik pahar din ka teri yaad mein Guzar dete hain
Pura din us pahar k intzar mein Guzar dete hain
Us pahar ko jete hai lamha lamha
Us pahar mein puri zindagi Guzar dete hai
Jis dor say Guzar raha hon main
Too bhi meri yadon main tarpati to ho gi

So nahi paya main tujh say bicharnay k baad
Too bhi raaton ko aksar jaagti to hogi

Jo poocha kisi nay teri udaasi ka maqsad
Too hazaron bahanay banati to ho gi

Jis tarah rothi hain mujh say khushian meri
Too bhi tanhai main aksar roti to ho gi

Milay thay jub hum barson baad
Too un dino ko yaad karti to ho gi

Ya Rub mila hum ko iss dunia main or us dunia main
Meri tarha too bhi duwayain mangti to ho gi

Yon humain beqarar dekh kar SAHIL
Khuda ki qudrat josh main ati to ho gi
Ab Kahuf Nahi Koi Mjhe Rah-e-Guzar Se
Main Duur Nikal Aaya Hoon Us Kanch K Nagar Se
Ye Log B Ache Hyn Makan B Bht Ache
Bas Main Hon Bezaar Un Achon K Nagar Se
Ek Mor Pe Hum Ajnabi Ban K Milenge
Ye Baat Tou maloom Thi aaghazz-e-Safar Se
Jesa Bhi Hoon Acha Hoon ya Bura Apne Liye Hon
Main Khud Ko Nahi Dekhta Auro''n Ki Nazar Se
Guzar jain ge un k wo pal achey,

jinay hum intizar aur wo waqt kehty hain,

kia pata kon bhool jaye ye muhabbat,

jisay hum zindagi aur wo 1 lafz kehte hain
Ab k Mujh Ko Dekh K Wo Dekhta Reh Jayega

Is Qadar Badlainge K Sochta Reh Jayega

Mere Chehre Pe Bhi Honge Be-rukhi K Zawiye

Aisa Hy k Wo Mujh Main MujhKo Dhundta Reh Jayega

Ab K Us Ki Gali Se Mera Guzar Mumkin Nahi

Apne Ghar Ki Khirkio''n Se Wo Jhankta Reh Jaye Ga

Kyun Aansuo''n Ki Dhuul Main Zindag Jhonk Doon

Dil Ka Kia Hy Ye Tou Tuta Raha Hy Aur Tuta Reh Jaye Ga
Aasan to nahi apni hasti se Guzar jana
Utra jo Sumandar mein to dariya bohat roya

Jo Shaksh na roya tapti rahonmein
Dewar ke saaye mein betha to bohat roya

Bari mushkil se zinda rah raha hon
Bari Mushkil se ye aadat pari ha.
Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say
Ummar Guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say
Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say
Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana’nay say
Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say
Meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say
Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say…!!!