Guzar SMS Messages338 messages

Raat bhar aankhon main raha jashan ka sama
tum samne mere they kisi khuaab ki tarah,

Charon taraf phoolon main ek raqs tha bapa
saba bhi ker rahe they gulon sey utkhelean,

Thein titlian fiza main sabhi tairte hue
phoolon ka rang churate thein magar ghare ghare,

Rangon amin ek rang bara shaandaar tha
us amin bhi apne khuaab ke jaisa khumaar tha,

Qadmon main mere phool they aur sar per saibaan
hathon main tera haath tha khush tha yeh kul jahan,

Tha qos-o-qaza rehGuzar apney pyar ke
jannat ka ek baagh tha sapno ki raat thi,

foren hi aankh khul gayi khushboo ke lehar thi
phir neend main kho jaaon mein koshish yehi rahi..!
Hum mai or tum mai
kab yeh teh huwa tha???
k phir milege zindagi k kisi mord par
kab yeh kaha tha k bin tumhare
na jee sakhainge hum
buhat tarpaye ga yeh hijar ka mosam
yeh sawan aur pat jhar ka mosam
kab yeh teh huwa tha
k sar shaam hi
tumhari yaad utar aayegi
is dil k aangan mai
AGAR! yeh sab teh nahi huwa tha tu
barso bad Guzar jaane k bad bhi
meri wehshoton meri yaadon meri tanhiyon mai
sirf TUM hi TUM kyun hon?
Teri Khawish Us Waqt Bahut Tarpati Hai
Sawan Me Koi Boond Jab Bikhar Jati Hai
Meri Ruh Bhi Tarapne Lagti Hai Us Pal
Jab Thandi Hawa Teri Gali Se Guzar Kar Aati Hai
Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq parta hai?waqt ka seel rawan,chahton ko bahata howa,sapnon ko dabota howa,ankhon ko bhigota howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi daikha nhi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye chalta hai aur chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker Guzarti chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka muntazir tha.
Aik aik kar k,dubtay ja rahe hain sitaray,aur chand bhi kahin chup gya hai,main tumhara intizar kerte kerte thak gya hon,chali ao,chali ao k ab zindagi tumharey bin Guzarti hi nhi,chali ao k ab mere seene main chupa,karb angari lay raha hai.!
" YAI DIN !!!!!

Andheri raatein
Andhere din
Yara tere bin !!
Kis tarah guzre gi zindagi
Shayad kise din
Ho takrao hamara tumhara
To mei bhi tum se poucho
Kahan gai wo waday
Kahan gai wo qasmein
Jo tum subah shaam kerte thay
Kis tarah kati kis tarah guzri
Tumhare subah, shaam, raat aur kis tarah
Guzre mere bin tumhare din !
Is aas pay pouchon ge yai sawal
Kay shayad !!!
Tum keh do kay udaas raha sare raat
Sare sham, sara din
To is jawab per mei khush khush Guzaron
Subah, sham, raat
Aur shayad zindagi kay sare din
Bus itna yaad hai
Duaa to na jane kon si thee
Zahen mei nahi
Bus itna yaad hai
Kay do hatelian mile hoi thee
Jis mei aik mere thee aur aik tumhare
mai hawa ka jhonka hun
mujhe pakadne ki koshish mar karna.....
ek khwab hun .....
ik khwab hun is khwab se pyar mat karna......
malum nahi mujhe
kisi or hai meri manzil
bas unhi Guzarta raha unki galiyon me
ek berukh jhonke ki tarah.......
Nazar ki dhoop may sayy ghulay hain shub ki tarhan
May kub udaas nahin tha magar na aub ki tarhan

Phir aaj shehray tamanna ki rehGuzarown say!
Guzar rahay hain kai log rozo shub ki tarha

Tyjhay to may nay bari aarzoo say chaha tha
Yay kia k chor chala tu bhi or sub ki tarhan

Fasurdgi hay magar wajaay ghum nahi maloom
k dil pay bojh sa hay ranjay bay sabab ki tarhan

khilay to aub bhi gulshan may phool hain laikin
Na meray zakhum ki surat na teray lub ki tarhan
dard ke beez mere seene me laga gaye the tum,
apne ashqon se unko main seench raha hu,
shyad jo baat labon se kahna hi mumkin nahi hai,
aise jasbaat ke liye shabd doondh raha hu,
jinki mafi is jahan me mila nahi karti,
muddat se ek aisa gunha kar raha hu,
nadani bhi kaisi ye dile nadan kar raha hai,
ki jin nulkilon patthron ki raha se Guzar aaya,
usi raha par kadmon ke nisan doondh raha hai,
zindgi ki is raha me zindgi kab milegi………,
har gujarte lamhe se bas yahi poonch rah hai
Agar awaz dainy say
Agar wapas bulany say
Agar magmum huny say
Agar ansu bahany say
Bichar kar jany waly lout aaty ,to
Phir hum awaz dy laity
Bohat ansu baha laity
Inhein jany nahi daity
Inhein dil mein basa laity
Samy ko rok laity
Waqt ko qaid kar laity
Magar aaty howay logon ko jana hy
Inhein jitna bhi rooko,inhein ahkir ko jana hy
So hum ny souch rahka hy
K in ko naik bahkti ki duaein dein
Humary pass Guzaray mosamon ki chand yaadein hein
So unki nazar karty hein
Humary pass chand ikhlas mein mehki duaein hein
So unk naam karty hein
Apni Merzi Say Juda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Shayad Ab K Bewafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Dekhna Hum Ek Din Gard-e-Safar Hojayein Gay
Rastoun Say Ashana Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Gardish-e-Halaat Se Bas Kat Gaye Hain Rastay
Qabil-e-Qaid-o-Saza Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Kia Khaber Thi Is Qadar Na’ashana Ho Jayein Gay
Ajj Kal Pechanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Fasaloun Say Bhi Guzarna Phir Zara Sa Dekhna
Aisa Lagta Hai Khafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Ek Dojay Ki Buhat Tareef Kerna Jabaja
Maan Lay Dil Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
kbi moam ban k pigal gaya,

kabi girtay girtay sambhal gay

wo ban k lamha Guzar gaya

meray paas se nikal gaya

usay rota b to kis tarah
k wo shakhs itna ajeeb tha
kabi tarap uta meri aah se
kabi ashk se na pighal saka
sar e rah mila wo aga kabi
to nazar chuka k Guzar Gaya
wo utar Gaya meri ankh se
mere dil se Q na utar saka
wo chala Gaya jahan Chor k
main wahan se phir na palat saka,
wo sambhal Gaya tha magar,
main bikhar k phir na simat saka