Guzar SMS Messages338 messages

"LO Sham HOty H HasrT_E_UmiD K Diye B Bujh Sy Gaye"
"Viraaniyon Sy Wabista Meri Aik Or EID Guzr Ga'E" 2@|~>q<~t\/£v
Guzar jayege aapke pas se hawa
bankar,
beh jayege ankho se aansu bankar,
aaj to aapke pas fursat nahi,
yaad karoge jab reh jayege dil ki yaad
bankar

'Log apne kapro ke style pr kitna paisa barbad kar dete hain,,


Jab k zindgi ke sab se haseen lamhe bina kapro ke Guzarty hain,,
.
.
.
.
.
.
Yahan per main Bachpan ki baat kar raha hoon janab.'
lamha lamha waqt Guzar jaye ga
kuch hi dino main tera result aa jaye ga..
dua ker ley .
.
.
..
.
tu koi amir khan nahi jo



all is well keh kr top kr jaye ga...:P
dedicate to all students..
Muddat se jin ki aas thi, Woh milay b tou kuch youn milay,

Hum Nazar utha kar tarrap uthay, Woh nazar jhuka kar Guzar gaye...
Kash main keh sakoon kabhi tm se
Dil ki har bat ankahi tm se.......... ...
Kash main keh sakoon kabhi ye bhi
bari mushkil hai dil lagi tm se
Kash ke main keh sakoon ke tm kya ho
Hai mere dil main chandni tm se
Kash main keh sakoon kabhi ke mujhe
Baat karni hai zaroori tm se
Kash ke ye bhi kabhi pooch sakoon
kaise hoti hai berukhi tm se
Kash wo waqt bhi ajaye ke ho
meri duniya main roshni tm se
Kash ye raz keh sakoon main kabhi
Hai ahseen meri shairi tm se
Kash lafzon main kabhi keh paoon
Mil ke hoti hai jo khushi tm se
Kash ye umr yoon Guzar jaye
meri yadain rahain saji tm se.
Tere IsHQ ne Bakhshi Hai Ye Soghat Musalsal,

Tera zikar Hamesha Teri Baat Musalsal,

Ek Muddat Hoi Tere Baam O dar se Nikle,

Rehti Hai phir B Tujh se Mulaqat Musalsal,

DiL Lagi, DiL ki Lagi Ban jati Hai,

jab Tasawwur Main Guzarti Hai Raat Musalsal,

jab saY dekha zulf e preshan ka Aalam,

UljhaY Howe Rehte Hain Mere Din Raat Musalsal,

Main Muhabbat Main Us Mqaam pe pohncha Hon jahan,

Meri zaat Main Rehti Hai teri zaat Musalsal...
Main Lauton ga December main


December Jab bhi ata hai
wo pagli...
phir se beety mosumo'n ki
talkhion ko
yad karti ha
purana card perhti hai
k jis main os ne
likha tha
Main Lauton ga December main


Nai Kapry bnati hai
wo sara ghar sjati hai
December k her ik din ko
wo gin gin ker bit'tati hai
junhi 15 Guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hai
magar phir bi
purani albumo'n ko khol ker
mazi bulati hai !!!
nahi maloom ye osko
k beety waqt ki khushian
Bohat takleef deti hain
mehaz dil ko jalati hain...
yunhi din beet jaty hain
December laut jata hai
magar wo Khush feham larki...
dobara se calendar main
December k maheeny k safhy ko
mord ker, phir se
Phir se
December ke sahar main
Doob jati hai
k akhir os ne likha tha....

Main Lauton ga December main
Lot aaye...


Usey kehna December aa gaya hai..
December k Guzartay hi..
Baras ek aur mazi ki ghupa mein doob jaaye ga..
Usey kehna December laut aaye ga..
Magar jo khoon so jaayega jismon mein na jaaye ga..
Usey kehna hawayen sard hain..
Aur zindagi k kohray deewaroN main larzaan hain..
Usey kehna shagoofay tehniyon mein so rahay hain..
Aur un par barf ki chadar bichi hai..
Usey kehna agar sooraj na niklay ga..
To kaisay barf pighlay gi...
Usey kehna..
KI...
Lot Aaye...!
Tera dard tha, teri yad thi,
Main jahan raha,
Main jidhar gya,
Mera din too yunhi Guzar gya,
Hui shaam too main bikhar gya, Is abr ka mere yaar se......
Bara milta julta mizaj hai,
Kabi toot kr baras gya, kabi berukhi se Guzar gya,
Jab main chhor jaunga wo gali,
Use yaad aye gi tub meri,
Khoje ga jab wo idhar udhar,
To khabar mile gi main mar gia.....!
Meri Maut Hai Meri Hamsafar Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai
Meray Charo'n Tarrf Hai Jalwa Garr Teri Be Rukhi Bhi Ajeeb Hai

Mera Dard Hai Lab E Aashna Teri Ranjisho'n K Azaab Say
Meray Shair Hain Meray Chara Garr Meri Dil Lagi Bhi Ajeeb Hai

Jo Hai Ta'ana Zann Meri Zaat Par Mujhay Unsay Koi Gila Nahee'n
Mujhay Jaan Say Hain Azeez Tarr Meri Dosti Bhi Ajeeb Hai

Mai Lahoo Jigar Say Guzar Kar, Tujhay Naql Karta Hoo'n Warq Warq
Hai Qalam Ki Nauk Say Mukhtasar Teri Aagahee Bhi Ajeeb Hai

Mai Peher Ki Tapti Hawao'n Say, Karhi Dhoop Mai Kharha Be Khabar
Saray Reh-Guzar Tera Muntazar, Meri Be Basi Bhi Ajeeb Hai
Main K Phir Dasht-E-Rafaqat Ka Safar Kar Aaya
Kia Kahoon Kaisi Aziyat Say Guzar Aaya!!