Baras SMS Messages83 messages

Hum gam ko chupa ke muskurate gaye.
wo had se zyada humko satate gaye.
Meri aankho ki ghata Barasti rahi,
wo sawan samajh kar nahate gaye.
bohat bey chein karta hey mujhey barsat ka mosam..
Barastey motyon wali ghaneri rat ka mosam..

umadd ata hey aise mein ye palkon ki munderon par..
sulagtey, dil jalatey, reshmin jazbat ka mosam..

teri qurbat mein khamoshi ka alam haye kya kehna..
kabhi na keh ke bhi keh janey wali baat ka mosam..

muhabbat lakh rang badley magar badla nahi ab tak..
tumhari jeet ka mosam, hamari maat ka mosam..

teri palkon ka jhukna surmayi se baadlon jesa..
jo uthein to badal dalein ye kaynaat ka mosam
Band sheeshon k parey daikh,dareechon k udher…

Sabz pairon pe,ghani shaakhon pe,pholon pe wahan…

Kaise chup chaap Barasta hai musalsal paani…….!

Kitni awaazain hain,log hain,baatain hain magar……

Zehan k peechey kisi aur hi satah pe kahin……..!!!!!!

Jaise chup chaap Barasta hai tasavvur tera…………..!
Chehray pey meray zulf ko bikhrao kisi din
Kyou roz garajtay ho Baras jao kisi din
Peron ki tarah husan ki barish mein naha lo
Badal ki tarah jhoom k ghar aao kisi din
Khushbo ki tarah guzro meray dil ki gali say
Pholon ki tarah mujh pey bikhar jao kisi din
Guzren jo meray ghar say tu ruk jaen sitaray
Es tarah meri rat ko mehkao kisi din
Mein apni har ek sans usi rat ko day don
Sar rakh k meray senay pay so jao kisi din
Suno ...!!

Tumhay barsti hoi barishain...

Bohat pasand hain na..

To....

Aao dekho...

Aaj mukabala hai...

Rim-jhim Barasti barish ka...

Mere aanson se...!
Us ko mera halka sa ehsaas to hai
be-dard sahi woh meri humraaz to hai

woh aaye na aaye mere paas lekin
shiddat se mujhe uska intezar to hai

abhi nahi to kya hua mil hi jaayegi kabhi
mere dil mein us se milan ki aas to hai

pyaar ki gawahi mere aansuon se na maang
Barasti nahi aankhen magar dil udaas to hai...
Tashnaa nazareen milen "SHOKH" nazarun se jub

Main Barasanay laga "JAAM" bharnay lagaa

Saaqiiyaa aaj tare "ZARUURAT" nahe

Bin piye bin pilaaye "KHUMAR" anay lagaa
Dil-E-Nadan barish Ki Tarh Barasna Chor De
Aise Hee Tere Barasnay Se Koi Pigle Ga Nahi
Wo Naam Tha Badal Gaya
Mein Sham Tha Dhal Gaya
WO Nazar Tha JhuK Gaya
MeiN tehreer Tha Mit Gaya
WO Shama Tha Pigal Gaya
Mein Perwana Tha Jal Gaya
Wo Ashk Tha Beh Gaya
Mein Dard Tha Seh Gaya
WO Chand Tha Chuup Gaya
Mein Badal Tha Baras Gaya
WO Tofan Tha Guzar Gaya
Mein Gulshan Tha Bikher Gaya
Maza Barsaat Ka Chaho To In Aankhon Main Aa Betho


Woh Berson Main Kabhi Bersey Yeh Berson Sey Barasti Hain
mugh per kion istrah se hhansta hai
dil bari mushkalon se basta hai
mery gaon ky sab ghar kachy hain
arey badal kahan Barasta hai
jo kabhi laut ker nhn aye
un se milny ko dil trasta hai
ashqi ka maqam kia ho ga
jahan ulfat ka bhao sasta hai
meri manjzil jisy smgh bethy
meri khwahison ka rasta hai
dost kehti ho kion us ko mahrukh
jo tughy her qadam per dasta hai
Jin pathron ko ham ne ata ki thee dhrkne,


Unko zuban mili to hamee pe Baras parey....