Chehray pey meray

Chehray pey meray
Chehray pey meray zulf ko bikhrao kisi din
Kyou roz garajtay ho baras jao kisi din
Peron ki tarah husan ki barish mein naha lo
Badal ki tarah jhoom k ghar aao kisi din
Khushbo ki tarah guzro meray dil ki gali say
Pholon ki tarah mujh pey bikhar jao kisi din
Guzren jo meray ghar say tu ruk jaen sitaray
Es tarah meri rat ko mehkao kisi din
Mein apni har ek sans usi rat ko day don
Sar rakh k meray senay pay so jao kisi din
  

Jun, 03 2010     433 chars (3 sms)     2391 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ar wo lamha jo tuj sey juda hota hai. Chalti saanon k liye aik saza hoti hai. kaise samjaoon jahan walon ko ahdaab-wafa. Duniya rakoon tho mera ishq kaza hota hai.
USay Ye Kon Samjhaye ??

Wo Dasht-e-Khamoshi Mein

Ungliyo''n Mein Seepiya''n Pehne

Kisi Sookhey Samandar Ki Adhoori Pyaas Ki Baatei''n

Bohat Chup Chaap Sunta Hy

Bohat Khamosh Rehta Hy

Usay Kon Ye Samjhaye ??

Khushi k Ek Aansuu Se

Samandar Bhar Bhi Jaty Hyn

Bohat Khamosh Rehny Se

Ta''aluq Marr Bhi Jaty Hyn ...
Kitna Chahte Hyn Tumhain Hum Kabhi gaur Tou Ker

Itne Tou Kabhi Hum Apne Talbgaar Na Thay ...
Door hi sahi,
kinara to hai,

timtimata hi sahi,
sitara to hai..

Hojati hai tumhari yaad se hi tasalli…
tinka hi sahi.. Sahara to hai..
Zindagi Mein Hamesha Naye Log Milenge
Kahin Zyada To Kahin Kam Milenge
Aitbaar Zara Soch Kar Karna
Mumkin Nahin Har Jagah Tumhe Hum Milenge..
Mohabt Dilo Ko Awara Bana DetiHe,

Gardish Me Rehne Wala Sitara Bna Deti He.

Ye Apni Hadd Me Rahe To Thik Wrna,

KisiKo VEER Kisiko ZAARA Bna deti he
Phira Hun Sare Zamane main dar-b-dar Kaisa,
Main tere baad bhi zinda Raha magar kaisa.

Wo janta Tha ke kuch Roz wo nahin tha to main,
Pukarta Raha usko aedhar odhar kaisa.

Main jiske Hijr main Roya hun pagalon ki tarah,
Wo kal mila to hasna mere hall par kaisa.

Aziz tarr thi jise nend sham vasl main bhi,
Wo tere hijr main jaga umir bhar kaisa


Buss aik Shaks ki khatir buss aik dil ke lye,
Waatan ko chor dia diwangy main gher kaisa.

Kahan ki dosti''
Kaisa firaq
Kuon faraz??

Main khud ko bhol gaya hun tujhe bhol Kar kaisa...!
Mera us sy taa''luq sirf itna hai

k us k naam par

seeney main dharkan rukne lagti hai

magar aansoo nahi rukte.....
Koi tum se pooche kon hoon main,

tum keh dena koi khas nahi,

ik dost hai kacha paka sa,

ik jhoot hai aadha sacha sa,

jazbaat ko dhanpye ik parda sa,

bus aik bahana acha sa,

jeevan ka aisa sathi hai,

jo door na ho kar pas bi nahin,

koi tum se poochye kon hoon main,

tum keh dena k koi khas nahin.....!
payas ki betabyon ko kis terha samjhe ga.
jis ne sahra khareed kar aik samnder beach daya.
tu ne acha hi kua pathron k shahr main ane se pahle.
kanch ka gaher baech kar.
tere hath se mere hath tk ye jo hath bhar ka he fasla....
ise napte ise kat'te meri sari umer guzar gai
ye mujhy chain kayon nahi ata.

aik hi shakhs tha jahan main kya?