koi mujh ko aise daleel de
k mei toot kar tere naqsh
ankh ki putlio-on se mita sako
koi mujh ko aise daleel de
k mian dil se teri
rfaqatoo ko bhula sako
koi mujh ko aise daleel de
k main umar bhar
teri yad ka koi jashan b
na mana sako
ager aise koi daleel hai
tu phir azma
jo nahi tu phir
MUJHE YAAD KAR ....MUJHEY YAAD AA
MUJHE YAAD KAR ....MUJHEY YAAD AA
khush rahe ya udaas rahe
zindagi tere aas pas rahe
chand in baadlio se niklega
koi aaye ga dil ko aas rahe
hum muhabat ke phool hai shayad
koi kanta bhi aas pass rahe
mere seene me is tarah bas ja
meri sanson me teri khushbu rahe
aaj hum sab ke saath bahut hase
aur phir deir tak udaas rahe
gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........
Chaha na usne mujhe bas dekhta raha
MERI zindagi se wo is tarha khailta raha
Na utra kabi meri zindagi ki jhel mai
BAS kinaray pr betha pathar phenkta raha.
Jidher bhi jaoon nazar mein us ka chehra rahta hai....
Woh mere dhiyan ke sabhi raastoon mein rahta hai...
Bichadh kar us se pereshan mein to hoon....
Per suna hai wo bhi uljhanoon mien rahta hai...
Uske Nazdeek Gham-E-Tarq-Wafa Kuch B Nahi
Mutmaeen Aise Hain Wo Jese Hua Kuch B Nhai
Ab To haton Ki lakeerain B Miti Jati Hain
Usko Kaho Mere Pass Bacha Kuch B nahi
Mein To Iss Waste Chup Hoon K Tamasha Na Bane
WO Samjhta Hai Mujeh Uss Se Gila Kuch B Nhai Hai
Koi din aisa bita nahi jab yaad tumhari na aati ho,
koi khwaab aise nahi jisme tum nazar na aati ho,
wo soche bhi kaise tumhe bhulane ki,
jiski har dhadkan me tum samati ho