Baras SMS Messages83 messages

**mohabat kar nehi paaya**
december k maheenay ka,
wo shaayad aakhri din tha..
Baras guzray kaii,
main nay "mohabat" lafz likha tha..
kisi kaaghaz k tukray par!
achaanak yaad aaya hay,
Baras guzray kaii,
mujh ko kisi say baat karni thi..
usay kehna tha..
"jaan-e-jaan!
mujhay tum say mohabat hay.."
magar main keh nehi paaya..
wo kaaghaz aaj tak,
lipta para hay dhool main lekin..
kisi ko day nehi paaya,
dobaara chah kar bhi main,
mohabat kar nehi paaya...!!
kahan aa kar rukay thay rastay..kahan mour thaa ussay bhool ja
woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja

woh teray naseeb ki barish kisi aur chhat pay Baras ghaee
dil-e-baykhabr mere baat sun ,ussay bhool ja ussay bhool ja

main tou gum thaa teray dhiyaan main,tere aas main teray ghuman main
saba keh ghaee meray kaan main ,meray paas aa ussay bhool ja..

kisi ankh main nahin aske-eghum,teray baad nahin kuch bhee kam
tujhay zindaghee nai bhula diya,tu bhee muskara, usaay bhool ja...

na woh ankh he tere ankh thee, na woh khawab he tera khawab thaa
dil-e-muntazir tou yeh kis liyay,tera jaghna ussay bhool ja..
DECEMBER kay mahinay ka wo shaid akhri din tha
Baras guzray kai
main nay "MUHABAT" lafz likha tha
kisi kagaz kay tukray per!
Achanak yaad aya hay
Baras guzray kai
muj ko kisi say bat kerni thi
usay kehna tha
jaan-nay jaan! "MUJHY TUM SE MUHABAT HY"
magar main keh nahi paya
woh kagaz aaj tak lipta para hay dhool main lakain
kisi ko day nahi paya
dobara cha ker bhi main mohabat ker nahi paya!
dil zakham zakham hai toh ankhein be ashqbaar hein
kitna fareb khaye mohabat o pyar mein

ankhein dasht dasht hein dil bi dukha houa
guzra tha aj wo be humein dekhta houa

hontoon pe muskurahat ankhoon mein hai nami si
wo samney hai phir be hai kuch kami si

tum moonh se na bolo ankhein toh batati hein
kya jee mein tumarey hai hum khoob samajtey hein

ankhein hazar sabar ki koshish ke bawjood
ruk ruk ke baar baar Barasti hein ajj bi

khushk ankhoon ki lakeerein pata deti hein
karwan_e_gham ka isi rah se guzr hoga!!.
Kahin Baarish Baras Jaye

Kahin Darya Taras Jaye

Kahin Aa Kar Ghata Thehrey

Tumhare Aur Maire Darmiyan

Aa Kar KHUDA Thehrey

Tou . . . !

Us Lamhay Maire Jeevan Main

Tum KHUDA K Baad Aate Ho

Mujhe Tum Yaad Aate Ho. . .
Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din
Kyaa roz garajte ho Baras jaao kisii din

Raazon ki tarha utro mere dil mein kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din

Pedon ki tarah husn ki baarish mein nahaa loon
Baadal ki tarha jhoom ke ghirr aao kisi din

Khushboo ki tarha guzro mere dil ki gali se
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa ki
Phir lutf-e-shab- a-vasl ko dohraao kisi din

Guzrein jo mere ghar se to ruk jaayein sitaare
Iss tarha meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni har ik saans usi raat ko de doon
Sarr rakh ke mere seene pe so jaao kisi din
Zindagi roz naye rang mein dhal jati hai,
kabhi dusman toh kabhi dost nazar ati hai.
Kabhi Baras jaye ghata bemausam,
kabhi ek boond ko rooh taras jati hai
Zindagi roz naye rang mein dhal jati hai,
kabhi dusman toh kabhi dost nazar ati hai.
Kabhi Baras jaye ghata bemausam,
kabhi ek boond ko rooh taras jati hai
Chaha hai maine bohat shiddat se tum ko
Main tumhain bohat shiddat se yaad aaonga

Yun sakoon se tum kabhi bhi so na sakoge
Ban ke Dil ki kasak raat bhar jagaoonga

Ab ke Baras sawan Dil main aag lagaye ga
Bhigo gi tum jab bhi baarish main main yaad aaonga

Her shair her nazam main nazar aayengi meri baatein
Parhoge jab bhi koi shairi main yaad aaonga
Wo Mujh se Meri Udasiyon ki Waja puchti hai

Kitni Pagal hai Raat k Sannate ki Waja puchti hai

Wo Mujh se Mere Aanso''on ki Waja puchti hai

Kitni Pagal hai Barish k Barasne ki Waja puchti hai

Wo Mujh se Meri Pasand puchti hai

Kitni Pagal hai Khud apne hi barey mai puchti hai

Wo Mujh se Meri Wafa ki intihaa puchti hai

Kitni Pagal hai Sahil per Khara Samandar ki Gehrai puchti hia.....;->
Aankhon Main Jal Raha Hai Kio Bujhta Nahi Dhuhaan
Uthta To Hai Ghata Sa Barasta Nahi Dhuhaan

Aankhon K Ponchne Se Laga Aanch Ka Pata
Yun Chehra Peher Lene Se Chuhpta Nahi Duhaan

Aankhon Se Aanso’on K Marasim Poorane Hain
Mehmaan Yeh Ghar Main Aayen To Chubhta Nahin Duhaan
Tumhari hr ada hai monsoon jaise,
kab aaoge kab jaoge na kisiko hai khabar hoti,
pata nahi kab aake garjo ge aur kab aake barso ge,
agr pata hota pehle se ke aaj tum online garaj ne aur Barasne wale ho to kab se computer ko khula asman
samjh ke,
internet ko bijli ka ehsas samajh ke aur web.cam. on karke barish ka maza lene ka intezar karte aapko dikhla
dete