Hum gam ko chupa

Hum gam ko chupa
Hum gam ko chupa ke muskurate gaye.
wo had se zyada humko satate gaye.
Meri aankho ki ghata barasti rahi,
wo sawan samajh kar nahate gaye.
  

Jun, 03 2010     142 chars (1 sms)     3620 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tu jo bichry to mily dard qyamat jesa
tujh se kesa ye ta,luq hy muhabat jesa
jisy chaho usy ehsas-e-khudai dy do
silsila piyar ka rakho to ebadat jesa
hijr mujhay raas ana hi tha,
kisi tarha sahi usay bhulana hi tha!
Rakhty Hain Jo Oroon K Liyeh Pyar Ka Jazba





Woh Log Toot Ker Kabhi Bikhra Nahi Kerty
Kuch Bay Jaan Umeedain Hain Zinda!
Kuch Hasratain Hain Baqi!
Toota Tu Buhat Kuch Hai Mujh Main!
Haan Per Kuch Sambhalna Hai Baqi!
Khusi meri cheen lee usne,
Muskurane bhula diya..
Gam de diya mujhe,
Zindgi bhar rulane ke liye.
abi justaju me hoon uski,to ehsas nahi us ko.

ro ro k pukary ga humein zara mar to jany do,,,,!
main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikalay
usay samajhnay ka koi to silsila nikalay

kitab-e-maazi ke auraaq ulat kay dekh zara
na jaanay kaun sa safah mura hua nikalay

jo dekhanay main bahut hi qareb lagata hai
usi kay baray main socho to fasala nikalay
Woh jo milta hai bhula deta hai
Janay kia bat hai dil usko dua deta hai
Woh mujhay pyar say rotay mein hasanay wala
Yad ata hai tu hanstay mein rula deta hai
Dil ke bazaar mai dowlat nahi dakhi jati
Dosti ho jaye tu sora nahi daikhi jati
Dosti pe luta don apna sab kuch
Kionky pasand ki cheez ho tu qeemat nahi daikhi jati
Jeena Chahte Hian Magar Zindagi Raas Nahi aati !!

Marna Chahte Hain Magar Maut Paas Nahi Aati !!

Udaas Hain Hum Is zindagi Se !!

Us Ki Yaadein Bhi Tu Tarpane Se Baaz Nahi Aati !!
PATA NAHI Q?

Khawb bikhar jate hain dhere dhere,

saray log bichar jate hain dhere dhere,

zabt karo to behtar hay warna,

ansoo zor pakar jate hain dhere dhere,

sab irada ker ke sath chalte hain phir,

raste badal jatay hain dhere dhere,

jitny pas hum kisi ke hote hain,

utne fasle barh jate hain dhere dhere,

MAGAR PATA NAHI Q?
Log badal jatay hay dhere dhere...
*zindagi mein abtak aapka nishaan baki hai,,
aankhon mein na sahi..baaton mein na sahi
dil me...aapka ishq-e-naadaan baki hai*

*iss barbaad mehfil mein raunak bahut hai,,
na dard ki kami,
na nashe ki kami,
khaali hi sahi...par jaam baaki hai*

*meri naakaam mohabatt ka silsila ha yahi,,,
na hai umeedain..na hi saansen
iss pinjar-e-viraan mein abtak jaan baki hai*