Ankh SMS Messages1253 messages

ISHQ KARNAY K B KUCH AADAAB HOTAY HEIN..
JAGTI AnkhOON MAY B KUCH KHAWAB HOTAY HEIN..
HAR KOI ROO DAY YA ZARORI TU NAI..
KHUSHK AnkhOON MAY B SAYLAB HOTAY HEIN rizzy
mera bus chale to aapki yaadein khareed loon


apne jeene ke waaste aapki baatein khareed loon


ker sakein ko her waqt deedaar aapka


sub kuch luuta ker wo aAnkhain khareed loon
mera bus chale to aapki yaadein khareed loon


apne jeene ke waaste aapki baatein khareed loon


ker sakein ko her waqt deedaar aapka


sub kuch luuta ker wo aAnkhain khareed loon
Le Kar Sitaron Ko Ye Raat ayi Hy

Ankhon Men Hazaron Khwab Layi Hy

In Khwabon Men Tum Chupky Se Kho Jao

Off Karo Light Or Dheery Se So jao

*GOOD NiGHT
1 Larka Apni Girl Friend k Sath 'GOL GAPPAY' KHA RAHA THA AnkhOON MIEN AnkhIEN DAAL KER
GIRL SHARMA K : ITNEY GHOR SE KIUN DEKH RAHEY HO
BOY : HOLI HOLI KHA PUKHIEY.....!!
Jab aAnkhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhnein lagein
to dil anjaam say andha ho jata hai
Hazrat Ali (A.S)
aisay he nahi roz falak daikhta tujh ko
chehra hai tera chand, sitaray teri Ankhain
Kaash main teri haseen
Ankhon ka kajal hota.
Tere ronay se tere saray
Ansuon ko pi jata.

Raat ko be-khabri me Jo
Tujhe mera khayal aata.
Tu main teri Ankhon me
kuch pehlay se ziada
Tehal jata.

Subha jab tum apne
Naram hathon se saf
karti mujhe.
Tu main tere nazuk
Hathon pe lag sa jata.

To apni Ankhon me
Hamesha pyar se lagati
Mujhe,
Tu na kabhi khud se
Juda kar pati mujhe.

Youn teri rangeen dunya
Me rehta madhosh.
Umar bhar me karta teri
Ankhon ko roshan.

Kash main teri haseen
Ankhon ka kajal hota.

¤KinG Of SmS¤007
Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy..
Shaam dhaly bhi ghar pohanchon to aadhi raat lagy..
Khat mein dil ki batein likhna achi baat nahi,
Ghar mein itnay log hein jaany kis k haath lagy…
Un sy bichray dil ko ujray barson beet gaye,
AAnkhon ka ye hal abhi tak kal ki baat lagy…
Mutthi band kiye baitha hon k koi daikh naa ly,
K chaand pakarny ghar sy nikla “jugnoo” haath lagy
Uski Batein To Phool Hon Jaise
Baki Batein Babool Hon Jaise

Choti Choti Si Uski Do Ankhen
Do Chameli Ke Phool Hon Jese

Uska Hass Kar Nazar Jhuka Lena
Sari Shartein Kabool Hon Jaise

Kitni Dilkash Hai Uski Khamoshi
Sari Batein Fezool Hon Jaise

Uski Batein To Phool Hon Jaise
Baki Batein Babool Hon Jaise.
Wo ojhal meri nigahon se kahan rehta hy
Wo ashk ban kar AAnkhon se rawaan rehta hy

Kisi lamhy tanha honay nahi deti uski yadein
Mere Aangan mein melay ka samaan rehta hy

Her gharri dil ka daricha khula rakhty hain
Her gharri us ke aanay ka gumaan rehta hy

Log kehty hain zakham bhar jatay hain aakhir
Zakham bhar jatay hain lekin nishaan rehta hy

Wo milay to itna bata dena usko
Tujh bin Tera pyar preshaan rehta hy
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta

Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta
Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai

Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta
Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker

Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta
Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar

Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen

Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai

Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi

Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta.