Alon SMS Messages366 messages

WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne wAlon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil wAlon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
haath kaaNTon se kar liye zaKhmii
phuul baAlon mein ik sajaane ko

aas kii baat ho ki saaNs ''Ada''
ye Khilaune hain TuuT jaane ko
Aur kya kahooN kya hey uska mujh sey parda karna
wo jaanti hey mujh pey kayaamatoN ko barpa karna

uski soorat rahey aaNkhoN meiN aur dekhooN meiN
us ki kurbat meiN ajeeb tarz sy dil ka dharrka karna

hy munkashif mujh pey usey khaab meiN dekhoN to
mery khayaAlon ka phooloN ki tarhaN mehka karna

kaasa-e-ishq meiN deedaar ki bheek sy guraez us ko
jaany lagta hooN to ada-e-khaas sey mujhy roka karna

sunooN jo us ki to zaahir ho, magar ba-nakaab-e-rukh
us pey bohat jach’ta hey ye maasoom sa dhoka karna

accha lagta hy jo mehfil meiN usey ik tak dekhoN to
sharbati aaNkhoN ka ishaaroN sey mujhy toka karna
ik dil wAlon ki basti thee,

jahan chand oor suraj rehtay thay,

kuch suraj mann ka pagal tha,

kuch chand bhi shokh chanchal tha,

basti basti phirtay thay,

har pal hanstay rehtay thay,

phir ek din dono rooth gaye,

oor saray sapnay tout gaye,

ab chand b uss waqt aata hai,

suraj jab soo jaata hai,

badal sab se kehte hey suraj uljha sa rehta hai,

chand k sath sitaray hain,

par suraj tanha rehta hai,...........
Kabhi Koi Apna Anjan Ho Jata Hy

Kabhi Kisi Anjan Se Pyar Ho Jata Hy,

Zaruri Nahi Jo Khushi De Usi Se Pyar Ho,

Dil Torne WAlon Se Bhi Aksar Pyar Ho Jata Hai
jab kisi sey koi gilah rakhna
samney apney ik aiena rakhna

Yon ujAlon sey wasta rakhna
Shama key paas hi hawa rakhna

Jab kisi sey Koi gilah rakhna

Ghar ki tameer chahey jaisey ho
Iss mai rooney ki kuch jaga rakhna

Masjidein hain namaziyon key lye
apney ghar mai kahin khuda rakhna

Milna julna jahan zaroori ho
Milney julney ka honsla rakhna

Samney apney ik aiena rakhna
Jab bhi kisi sey koi gilah rakhna
khushnuma lamhon ko kaise ghrahan laga diya tumne
khilkhilaati masarton ko kaise tanha bana diya tumne
tumhe to sab kuch tha pata kya kuchh hain hone waala
kuchh na bataya raaz apna benoor chhod diya tumne
hum to laaye the jalti mashAlon ki lou dhundkar
kar daala andhera mashAlon ko bujha diya tumne
mousam ki tarah rang badalte rahe tum baar baar
jab bhi jaanna chaha chehra laga diya tumne
tumhara har gunaah chhupa liya dost bankar
kahe kise humhari vafa ka achha sila diya tumne
bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud naseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud guman shahron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhny dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dalain
saath chalnay wAlon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dalain
raston ki marzi hay

Kyun yaad tum itna aate ho...?
Kyun hum ko tum tarpaate ho...?

Gum sum gum sum hain aaj sahar se hum...
Kyun itna hamain sataate ho...?

Aadi hogaye hain us sitam ke hum...
Jo aadatan humpe dhaate ho.

Tumhain khayaAlon se gar nikaal bhi dain...
To khwaabon main aajaate ho.

Hum lab se nahin karte izhaar-e-mohabbat...
Tum aankhain hii nahin parh paate ho.
YE MUMKIN HAI HAMAREY DERMIYAN KOI
GHALAT FEHMI BHI NAHEE REHTI
JO APNY DIL MEIN CHOOTI SI KHALISH HAI
KHATAM HO JATI
BATA DETI KY MUJH KO AAJ BHI
USS KI ZARORAT HAI
JO IS JEEWAN KA HASIL HAI
TOH BAS USKI MUHABBAT HAI
BATA DETI KY LOGO KI
SAB HE BAATAIN FASANEY HAIN
SAB HE QISSEY PURANY HAIN
MAIN KEH DETI ZARA SI BAAT PER
YUN ROOTHNA ACHA NAHEE HOTA
MUHABBAT KERNY WAlon MEIN
GHALAT FEHMI TOH HOTI HAI
MAGAR JHAGRA NAHEE HOTA
MAIN HER AIK BAAT KEH DETI
KHALISH BHI DOOR HO JATI
MAIN USKA HATH PAKREY YUN HE
USKI HUM QADAM REHTI
WOH AAGEY HATH TOH KERTA
WOH MUJH SY BAAT TOH KERTA
Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi
Din Raat Daudti Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi

Saare Naam Mobile Mein Hain
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi
Gairon Ki Kya Baat Karen
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Aankhon Me Hai Neend Badee
Par Sone Ka Waqt Nahi
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi

Paison Ki Daud Me Aise Daude
Ki Thakne Ka Bhi Waqt Nahi
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi

Tu Hi Bata E Zindagi
Iss Zindagi Ka Kya Hoga
Ki Har Pal Marne WAlon Ko
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi
Tujhe Kiya Khabar Teri Yaad Ne, Mujhe Kis Tarah Se Satha Diya,
Kabhi Khilwaton Mein Hansa Diya, Kabhi MehfAlon Mein Rula Diya,
Kabhi Yun Huwa Teri Yaad Mein,Mere Kaee Sajde Qaza Huwe,
Kabhi Yun Huwa Teri Yaad Ne,Mujhe Mere Rab Se Malaa Diya