w SMS Messages18904 messages

Mujh se wo Aksar Kehti Thi.

Meri Bus Itni Khuahish Hai.

Kuch Aisay Pehchani Jaon.

Aap K NAAM se Jani Jaon.
Suno Ek Kaam Hy
Tum Se

Agar wo Kaam Tum
Ker Do

Jo Seeney Main
Dharakta Hy

Mujhy wo Dil Na Do
Lekin

Jo Chahat Us k
Andar Hy

wo Mere Naam
Tum Kr Do
Main Logo''n Se Mulaqato''n K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon

Main Baatai''n Bhuul Bhi jao''n
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon

Sar-e-Mehfil Nigahai''n Mujh Pe
Jin Logo''n Ki Parti Hyn

Nigaho''n k Hawaly Se
wo Chehry Yaad Rakhta Hoon

Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa''yat Se

K Jin Pe Bojh Main Daalo''n
wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon
Mere wajud Main wafa
Ki Roshni Utaar De

Phr Itna Pyar De k Mujhy
Chahato''n Main Maar De

Bohat Udaas Tha So Uth
K Tere Paas Aa Gya

Kuch Aisi Baat Ker Jo
Dil Ko Chain-o-Qarar De

Suna Hy Teri Ek Nazar
Sanwarti Hy Zindagi

Jo Ho Saky Tou Aaj Meri
Zindagi Sanwar De
Meri Aankho''n K Jaadu Se
Tum Na-waqif Ho

Main Usay Pagal Kr Deta
Hoon Jis Pe Mujhy Pyar Aa Jaye ...
Judai Say Mara
wo b Nahi Main b Nahi,

Dono Insan hain
Khuda wo b Nahi Main b Nahi,

wo Mujhay,or Main ose Ilzaam daitay hain Magar,

Apne Andar Jhankta wo b Nahi MEin b Nahi,

ZAmanay Ne Ker dia dono mein Paida Ikhtlaaf,

warna Fitrat Ka ßura wo b Nahi MEin b Nahi,
Meri muhabbat mein ik yeh mojza bhi ho raha hai
Jisay mein chah raha hoon wo mujh say juda ho raha hai
Ussay lakh bhulana chah raha hoon bazahir tu mein
Par wohi meri duaon mein sar-e-harf-e-dua ho raha hai
Kya ussay ab zaroorat nahi meri diwangi ki
Kyou aisa ehsaas mujhay k wo be-wafa ho raha hai
hon ajeeb kashmash may hove zindagi paraye,
mary pass tari yadian tary pas bywafayi.
Dil lagta nhi he ab tumhare bina
Khamosh se rehne lage he hm tumhare bina
Jaldi laut aao
Ab yahi chah he
warna ji na sakenge tumhare bina
wo Paas Aate To Hum Baat Kar Lete

wo Saath Rehte To Pyaar Kar Lete

Kya Majburi Rahi Jo wo Chale Gaye

wajah To Batate Hum Intzar Kar Lete
Socha k bhool jayon ussy
Bhula na paya to kia qasoor
Kaha pyar ki sunayo dastan mujhy
Suna na paya to kia qasoor
Dosti to nibhany ka nam hai
Nibha na paya to kia qasoor
Dil me thi uski tasweer
Dikha na paya to kia qasoor
Dil ko jala deeny waly wo khat
Jala na paya to kia qasoor…?
Aa Jata Hai Milne wo Tasawar Mein Hamare
Ek Shakhs Ki Itni Si Inayat Bhi Bohat Hai…

Yeh Bhi Hai Tamanna Ke Use Dil se Bhula Den
Is Dil Ko Magar Uski Zaroorat Bhi Bohat Hai…

Dekhen To Zara Pee Ke Hum Zehr-e-Mohabbat
Sunte Hein Ke Iss Zehr Mein Lazzat Bhi BohatHai.