w SMS Messages18904 messages

shishA Dil to jur nA Paey Ga

kis lhay kaanch ab youn Chunte Ho

koi tabeer he nhi inki

Bewaja ..ali khwab bunte ho
Hum hum na rahe,
wo wo na rahe,
Pyar pyar na raha,
Dost dost na raha,
Kya kare khudane dil chiz hi aisi banayi hai
Ke apna apna na raha…
Na chaho itna hame, chahaton se dar lagta hai,
na aao itna karib ke judaise dar lagta hai,
Tumahri wafaon pe bharosa hai,
Magar apne nasibse dar lagta hai…
Chaha Na Us Ne Bas Dehkta Raha,

Meri Zindgi Se wo Is Tera Khlta Raha,

Na Utra Kabhi Meri Zindgi Ki Jheel Me,

Bas kinray Pey Behta Pathar Phainkta Raha..
Meri Zindgi Aik Band Kitab Hai,

Jisay Aj Tak Kisi Ne Khola Nahi,

jis Ne Khola Us Ne Parha Nhi,

Jis Ne Parha wo Samjha Nhi..
Sulaah ke zamany mein..

Mujh ko aysa lagta hai..

wo agar bechar jaye..

Tu sirf itna dukh ho ga..

Jitna aankh khulney par..

Khawab toot janey ka..

Par ajab tamasha hai..

wo agar kabhi mujh say..

Yoon hi ruth jati hai..

To kainaat ki har shey..

Toot phoot jati hai..!
Usay maine hi likha tha


Usay maine hi likha tha
k lehjey barf ho jayein
to phir pighla nahi kartey
parinday dar k urr jayein
to phir lota nahi kartey
usay maine hi likha tha
yaqeen uth jaye to shayed
kabhi wapis nahi aata
hawaon ka koi toofaan
kabhi barish nahi lata
usay maine hi likha tha
k sheesha toot jaye to
kabhi phir jurr nahi pata
jo rastey se bhatak jaye
wo wapas murr nahi pata
usay kehna woh be''maani adhoora khat
usay maine hi likha tha
usay kehna k deewanay
mukammal khat nahi likhtey...!
wo to majborioon main lipti hain
Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan bewafaa nahi hoti Per
Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hot
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!
jaatay jaatay wo mujhe achi nishani day gaya
umr bhar dohraaoongi,aysi kahaani day gaya

us say may kuch paa saku?aysi kahan umeed thi
gham bhi wo shayad baraay-e-meherbaani day gaya

sab hawaayen lay gaya mere samandar ki koi
aur mujh ko aik kashti baadbaani day gaya

khayr main piyaasi rahi par us nay itna to kia
meri palko ki qataaron ko wo paani day gaya...
Humsafar ne ki bewafai humse
To ashiyan bhi amnoon ho gayi
Ab apne khayalon ke safar me dil tute
To hume gumnaami ke raste mil gayi
Aj un aafsanon ki arzoo me dharkane gum ho gayi
To yeh badnaseeb asra un sarkonme kahin kho si gayi
Aj un badnaam gali me kahin kho gaye humari alfaaz
Yeh badnaami ke ajeeb ittefaq hain unki humse aitraaz
Yeh badnaseeb zarhanawazi kare us chehre ki armaan
Sau chehreke ek chehrese juri hay humari dastaan
Us chirag ki kasam aj ruswayi liye mohabbat ke saaz
wah kismat! itmaam humsafar ke bewafai huye raaz
Ja aj batade us bewafase ki humne jala diye woh paygaam
Kasam us bewafai ki, manzoor hay hume jhute ilzaam.
is sadagi pay kon na mar jaye ay KHUDa
waar karte hain aur hath main talwar bhi nahi,

Chup chup ke humara deedar karte hain woh,
aur poocho to kehte hain ki pyar bhi nahi....
Jinhe dhoondte hain sapno main
woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
woh hamare sapno main nahi hai

Jo Dil main hai hamare
woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
woh hamare Dil main nahi hai

Jis se Pyaar karte hain hum
woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain
"intezaar"
Hum jinka "muntazar" karte hain
woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka "muntazar" hum karte nahi hain
"intezaar"