laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle
diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle
kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle
yahi taare t
umhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa t
umhare baam se pahle
h
ui hai shaam j
ungle main parinde la
ut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle
ya saare rang m
urdaa the t
umhaari shakl banne tak
ya saare harf m
uhmal the t
umhaare naam se pahle
h
uaa hai wo agar m
unsif to
u Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle