koi mujh ko aise daleel de
k mei toot kar tere naqsh
ankh ki putlio-on se mita sako
koi mujh ko aise daleel de
k mian dil se teri
rfaqatoo ko bhula sako
koi mujh ko aise daleel de
k main umar bhar
teri yad ka koi jashan b
na mana sako
ager aise koi daleel hai
tu phir azma
jo nahi tu phir
MUJHE YAAD KAR ....MUJHEY YAAD AA
MUJHE YAAD KAR ....MUJHEY YAAD AA
Ishq k ilaqay mein
Hukm-e-yaar chalta hai
Zaabtay nahin chaltay
Husn ki aadat mein aajzi tu chalti hai
Martbay nahin chaltay
Dosti k rishton ki parwarish zaroori hai
Silsilay taaluq k khud say ban tu jatay hain
Laikin in shagoofon ko
tootnay bikharnay say
Rokna bhi parta hai
Chahton ki matti ko
Aarazo k poday mo
Seenchna bhi parta hai
Ranjishon ki baton ko
Bhoolna bhi parta hai
Kyou k
Ishq k ilaqay mein hukm-e-yaar chalta hai
Zabtay nahi
kuch log khatoot ki tarha hoty hain
k bar bar parhney ko dil karta hai
or kch log ashkon ki tarha hoty hain
k sijdy me sir jhukaty hi ankhon se tapak party hain