toot SMS Messages367 messages

Bohat Udas Hai Koi Shaks Tere Jane Se
Ho Sake To Laut Aa Kisi Bahane Se
Tu Laakh Khafa Sahi Magar Ik Bar To Dekh
Koi toot Gaya Hai Tere Rooth Jane Se
Badal sa gaya kuch,

na rahe ab wo hum,

Kho gaye khayal,

toot gayi hai qalam,

Chalte-2 liya wqt ne yoon mod,

Ja rahe the kahin,chal diye kahin hum.
Wo Jo basa Hai Mere Dil Mein Usey Bataon Kese
Dar Bhi Lagta Hai Zamane Se Chupaon Kese
WO Shaks To Panchi Hai Urr jaye Ga
Mein Khud Ko Uske Peeche Uraon Kese
Mein To Uske Liye Duniya Gi Chor Don
Iss Se Zada Mein usey toot ker chahon kese
dil hai jo uss ajnabi ko apna manta hai
iss dil-e-nadan ko mein samjhaon kese
wo shaks mere dil pe hukmurani kerta hai
uske elawa mein kisi aur ko basaon kese
Wo Aam Si Sham Thi Jab Juda Huy Ham
Na toot Ker Pyar Ker Sake Na Ro Sake Ham
Wo Bhi Din Thay Roz Mila Kerte Thay
Yeh Bhi Din Hai K Milne Ko Taras Gaye ham
toot kar choobh Raha hai Aankhon mai





Aaeena To Nahi Tha khuaab Mera
Itna toota Hoon k choone se Bikhar jaonga





Ab Agar aur Dua Doge To marr jaonga
Guzray Waqat Ko Bhula Dena Bhe Aasaan Nahe Hota
Ghamon Ko Hansi Men Chupa Lena Bhe Aasaan Nahe Hota
Zaruri Nahe Ke Poori Ho Har Khahish Lekin
Apni Khahishon Ko Daba Lena Bhe Aasaan Nahe Hota
Maana Ke tootey Huey Phoolon Say Khushboo Nahe Aati
Magar Unhen Kitabon Men Sajaa Lena Bhe Asan Nahe Hota
Tamam Umar Mujhe tootna Bhikarna Tha....

Wo Meherbaan Bhi Kahan Tak Samet Tha Mujhe....
Kia Tum B Roye Ho Kabi..?
.
.
.
Es Qadar toot Kr

Meri Yadon Se Nidhal Ho Kr

Mujh Se Milny Ko Betab Ho Kr
.
.
.
Kia Tum B Roye Ho Kabi.
Tumain iss baat pe hai hyrat

k tuta hai hamara dil...

muqabil jab ho pather tou

sheeshy toot he jaty hain
Taluq toot Jaye Ga Mera Sare Zmane Se

Mere Apne Kahan Hon Ge
Tmhe Apna Bunana Se?

Tumhare Sath Sehne Se
Mujhe Tskeen Milti Hai

Bohat Takleef Hoti Hai
Tumhare Door Jane Se!

Humri JAN Jay Gi To Phir
Tum Jan Jao Ge

K Hasil Kuch Nahi Hota Kisi Ko Azmane se!

Tumhara Naam Kase
Mita Don Apni Kahani Se

Bohat Gehra Taluq Hai Tera Mere Fsane Se.
Kabhi saaya hai kabhi dhoop muqaddar mera
hota rehta hai yoon hi qarz baraabar mera

toot jaate hain kabhi mere kinaare mujh mein
doob jaata hai kabhi mujh mein samandar mera

kisi sehra mein bichhad jaayenge sab yaar mere
kisi jangal mein bhatak jaayega lashkar mera

bewafa tha to mujhe poochhne waale bhi na the
bewafa hoon to hua naam bhi ghar-ghar mera

kitne hanste hue mausam abhi aate lekin
ek hi dhoop ne kumhla diya manzar mera

aakhiri jur''a-e-pur kaif ho shaayad baaqi
ab jo chhalka to chhalak jaayega saagar mera