Mu
safir to bichadte hain , rafaqat kab badalti hai
Mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hai
Tumhi ko chahte hain hum ,tumhi
se pyar karte hain
Yehi bar
son ki aadat hai aur aadat kab badalti hai
Tumhe jo yaad rakha hai yehi apni ibadat hai
Jo paththar par likhi jaaye ,ibarat kab badalti hai
Kali ka phool banna aur bhikhar jaana
Yehi qaanoon -e- fitrat hai to fitrat kab badalti hai
Jo dil pe naq
sh kar jaaye aur aankhon mein
simat aaye
Alaamat hai yeh chaahat ki to chaahat kab badalti hai
U
se chaaha u
se pooja yehi tauqeer hai apni
Hamein gumrah mat
samjho ibaadat kab badalti hai
Purane zakhm ko ab Bhula dein yahi achcha hai
Na chaahe aap hi koi to qi
smat kab badalti hai