piya SMS Messages222 messages

jaatay jaatay wo mujhe achi nishani day gaya
umr bhar dohraaoongi,aysi kahaani day gaya

us say may kuch paa saku?aysi kahan umeed thi
gham bhi wo shayad baraay-e-meherbaani day gaya

sab hawaayen lay gaya mere samandar ki koi
aur mujh ko aik kashti baadbaani day gaya

khayr main piyaasi rahi par us nay itna to kia
meri palko ki qataaron ko wo paani day gaya...
Mera piyar Bhi Mera Hi Mazak Ban Gaya
Loogon Ki Nazroo Main Ye Tamasha Ban Gaya

Mana K Kya Hai Jurum Maine piyar Kar K
Par Dosro Ne Kya piyar To Jeene Ki Waja Ban Gaya
Ye Kon Aansoun ki Saza De Giya Mujhe
Jeeny Ki Jate Jate Dua De gia Mujhe
Aankhon Mein Mere Kab Se Hai Tofan Rakha Hua
Khul K Na Berse Aesi Ghata De Gia Mujhe
Mazi K Roz-O-Shab Ko Bhoolon To Kis Tarah
Khushion ka Karb-Naak Sila De Gia Mujhe
Maqooz Ho Chuka Tha Mera piyar
Kuch Soch Ker Hee Dard-E-Wafa De Gia Mujhe
waqt karta jo wafa ap hamary hoty

hum bhi oroon ki tarha app ko piyary hoty
Mein Udas Rasta Hon Sham ka
Mujeh Aahton ki Talash hai
Ye Sitary Hain sab Bujhy Bujhy
Mujhe jugnuon ki Talash Hai
Her Khushi hai mujhse Khafa Khafa
Mujhe Zindgi ki talash hai
Meri piyas mein wo talab nahi
Mujhe Tishgini ki talash hai
Ik hajoom sa hai rawan duwan
Mujhe kisi ki talash hai
USS ko chaha bhi to izhar na karna aaya

kat gai ummr hamen piyar na karna aaya

uss ne manga bhi "agar" kuch to "judai" mangi

or hum thy kay hamen inkar na karna aaya
Bad mudat usay dekha logo
Wo zara bhi nahi badla logo
Kush na tha muj say bichar kar wo bhi
Uss k chehray pey likha tha logo
Uski ankhein bhi kahay deti hain
Raat bhar woh bhi nahi soya logo
Ajnabi bun k jo guzra hai abhi
Tha kisi waqt woh apna logo
Dost to khair kon kiska hia
Uss ney dushman bhi na samjha logo
Raat wo dard meray dil mein utha
Subho tak chain na aya logo
piyas sehraon ki phir tez hui
Abhr phir toot k barsa logo

piyas Aesi K Pee Jaon Aankain uski
Naseeb Aesa K moyasar Zehar B Nahi
Be-Los Wafain Koi Hum Se Seekey
Jisey Toot K Chaha Usey Khabar Nahi
Wo Aana -parast Sahi Uski Baton mein Ikrar B Tha
Uske Chubtay Huy Lehje Mein Chupa Hua piyar B Tha
Wo Mujhe Likhta Hai K Intizar Na Kero Mera
Lakin Uski Tehreeron Mein Sadiyon se Intizar B Tha
WO Kehta Tha MAt Roko K Manana Nahi Aata
Meri Narazgi Pe lakin Wo Beqarar B tha
Tere khushboo main basay Khat main jalaataa kaise
piyaar main doobe huwe Khat main jalaataa kaise


Jin ko duniyaa kii nigaahon se chhupaaye rakhaa
Jin ko ik umr kaleje se lagaaye rakhaa



Saalahaa-saal mere naam baraabar likhe
Kabhii din main to kabhii raat main uthakar likhe


piyaar main Doobe huwe Khat main jalaata kaise
Tere haathon ke likhe Khat main jalaata kaise
Main Usay Dill Say piyar Karti Hoon Rang Jis Ka Hina Say Milta Hai.
Rangat Main Dilfarareb Hum Bhi Nahin LAKIN Saanwali Si Is Jori Say Zamana Jalta Hai.
Jab lafzoon main bechani hoo
aur piyas bharti chali jay

jub ankhain rasta takti hoon
aur aas bharti chali jay

jub neend main khuab na hoon
aur raat bharti chali jay

jub pal pal dil dharkta hoo
aur muhabat bharti chali jay

jub sard shamain tanha hoon
aur....
yaad bharti chali jaye

Tab chupkey sey Dil ko bata dena Key muhbat bhari hawaein chalney lagi hain