Mein Udas Rasta Hon

Mein Udas Rasta Hon
Mein Udas Rasta Hon Sham ka
Mujeh Aahton ki Talash hai
Ye Sitary Hain sab Bujhy Bujhy
Mujhe jugnuon ki Talash Hai
Her Khushi hai mujhse Khafa Khafa
Mujhe Zindgi ki talash hai
Meri Piyas mein wo talab nahi
Mujhe Tishgini ki talash hai
Ik hajoom sa hai rawan duwan
Mujhe kisi ki talash hai
  

Jun, 03 2010     297 chars (2 sms)     3973 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

wohi mehsoos karte hain tapish dard-e-mohabbat.

jo apne aap se barh kar kisi se piyar karte hain..
Duniya ko jis ki chandni c surat say pyar he..
Mujh ko to us ki soch ki wasaat say pyar he..
Uski muhbatoon ki nahi shart ya talab..
Warna to har kisi ko zarorat say pyar he..
A kash zindagi teray khwaboo me kat.ta..
me kia karo k mujh ko hakikat say pyar he..
Bar kar kisi k husn ada rang o rup say..
Hamko kisi kay tarz e Muhabbat say pyar he..
Manjno-on ka sab khuloos he maray mizag me..
sehra say mujh ko un~s he Wehshat say pyar he
Badla jo Waqt, Gehri Rafaqat Badal Gai.

Suraj Dhala To Saaye ki Soorat Badal Gai.

Ik Umr Tak main Uski Zaroorat Bana raha.

Phir yun Hua k Uski Zaroorat Badal Gai..
mere haathki lakeerain to khafa hain mujh se..sahil"
tum apney he haathon mein mera mukadar dekho.
kitne parvane jale raaz ye pane ke liye
Shamma jalne ke liye hai ya jalane ke liye?

Ronewale tujhe rone ka saliqa bhi nahi
ashq pine ke liye hai ya bahane ke liye?

Aaj kah dunga shab-e-gum ki shararat unse
roz aa jati hai kambaqt satane ke liye

humko maloom tha aap ayenge mere ghar lekin
khud chala aya hoon yaad dilaneke liye .!
Kia Gham hai Kia Khushi Hai Malom Nahi
Wo Apna Hai k Ajnabi Malom Nahi
Jiske begair Ek Pal Nahi Guzerta
Kesy Guzry Gee Umer Malom Nahi
Yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye muJhe
Ke sang tuJhpe gire aur zakhm aaye muJhe
Hua Jo Gam Apko Dard Kisi Aur Ko Hoga,

Haso Jo Aap To Khush Koi Aur Hoga,

Socho To Zara Us Insan K Bare Me,

Wo Akhir Mere Siwa Aur Kaun Hoga
Aya nhi wo lab pe abi raaz-e-muhabat,

Goonj uthi hr traf saaz-e-muhabat,

Dil torte b hen humen chahte b hen,

Ab tak smajh na paye hum ye andaaz-e-muhabat
is ajnabi shahar mein yeh pathar kahan sy aaya sagar..

logon ki iss bheer main koi apna zaror hai..
Kuch apni fiker na apna khayal karta hoon
Tu kya yai kam hai teri dekh bhaal karta hoon


Meri jaga per koi aur ho tu cheekh uthe
Mein apne aap se itne sawaal karta hoon


Ager malaal kisi ko nahi mera na sahi
Mein khud bhi konsa apna malaal karta hoon


Yai chand aur sitare rafeeq hain meray
Mein roz unn se bayaan apna haal karta hoon


Tumhari yaad bhi aati hai abb mujhe kam kam
Tumhara ziker bhi abb khaal khaal karta hoon
Mein To is WastAy Chup Hon

k

TamasHA Na Banay


Tum sAmjhatay Ho Mujhe Tum se Gila kuch B nhi