meri SMS Messages1831 messages

Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta

chahata hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta
suno khudh se mughay tum juda na karo
meri mohabbat ko tum youn ruswa na karo

ye sab khel hain taqdeer ke Milan aur judai
per tum to apni zindagi se mughay juda na karo

mana bohat khudh garz hun aur khush faham bhi main
per tum bhi mere sitam ko youn saha na karo

saza do mughay tum meri berukhi ki zaroor
magar aise mugh se apne mun ko tum mora na karo

janta huun tanha hai sabhi ki sada se ye zindagi
aise khamosh rehker use aur tanha na karo
Mainey Din Raat Apney Jisski Yaad Ke Naam Kiye Hain
Woh To Ikk Pall Bhi Mujhe Sochta Na Hoga


Jiski Tasveer Main Har Aik Shae Main Hoon Dekhti Rehti
Ikk Nazzar Bhi Woh Shaks Mujhe Dekhta Na Hoga


Yeh Labb Jo Sada Usska Naam Ley Kar Mangtey Hain Duaian
Mera Naam Bhi Woh To Kabhi Laita Nahin Hoga


Ussey Sadain Daita Rehta Hey Yeh Pagal Dil Mera
Aik Pukar Bhi Kabhi Dil Uska Mujhe Daita Nahi Hoga


meri Ankhain Dekhti Hain Har Pall Rasta Uska
Woh To Youn Pall Pall Mera Inteezar Karta Na Hoga


Jiskey Liye Mera Bhawla Mann Tarasta Rehta Hey
Shabb-e-Tanhai Main meri Terah Woh Tarapta Nahin Hoga
Kahin Ek Masoom Nazuk Si Larki
Bohat Khoobsurat Magar Sanwli Si
Mujhay Apnay Khabon Ki Banhon Main Pa Kar
Kabhi Neend Main Muskurati Tu Ho Gi
Us Hi Neend Main Kass Masati Tu Ho Gi
Sirhanay Say Takkya Giraati Tu Ho Gi
Chalo Khatt Lekhain Us Nay Socha Tu Ho Ga
Qalam Hath Say Chutta Tu Ho Ga
Unglianan Qalam Phir Othati Tu Hoon Gi
Dupatta Kahein Sir Say Sirak Jata Tu Ho Ga
Kai Khowab Seenay Ki Khamoshyon Main
meri Yaad Say Jhanjhanati Tu Hooon Gi
Kahin K Kahin Paoon Partay Tu Hoon Gi
Kabhi Iqrar Mera Yaad Aya Tu Ho Ga
Kahin Ek Masoom Nazuk Si Larki
Bohat Khoobsurat Magar Sanwli Si
Tumhain abb bhool hi jain to acha hai
Yeh faslay or bhi barh jain to acha hai

Tumhari chahatain hum ko nahi hasil
Too abb ghair hi bun jai to acha hai

Hummari to umer guzri hai teri chahat mein
Too iss aag mai na jalay to acha hai

Barsoon say thi duaa keh too meray sath ho
Kehti hoon kay abb samna na ho tera to acha hai

Rehta tha teri muhabbat ka saya hummaray sath
Abb to apni perchai bhi na ho to acha hai

Raiza raiza hoo chukki hai rooh meri
Keh baddan say abb nikkal hi jaiy to acha hai
Apne ehsas kay sab rang uttar janay do
meri umeed meray khawab bikhar janay do...

Apne angan main charaghon ko jalao na abi,
Meray angan main siya raat utar janay do...

Bari mushkil se mila hai muje mere ghar ka pata
Rassto ab na uljhao muje gher janay do...

Jin kay aane ka bohat shor phaila tha her soo,
Inhi lamhon ko chup chap guzar janay do...

meri berbadi ka ilzam na aye kahin tum per,
Meray halat ko khuch or bigar janay do...
zikr-e-shab-e-firaq se vehshat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
rasta badal ke chalane ki aadat use bhi thi

us raat der tak vo raha mahv-e-guftagoo
masroof main bhi kam thaa faragat use bhi thi

sunta tha vo bhi sab se purani kahaniyaan
taza rafaqaton ki zaroorat use bhi thi

mujh se bichar ke shaher main ghul mil gaya vo shaKhs
haalaa ke shahar bhar se raqabat use bhi thi

"KASH"na jan khud ko nakaam kay bad zouq,
woh mana nahi par tujh say mohabbat usay bhi thi,

vo mujh se barh ke zabt ka aadi tha ji gaya
varna har ek saans qayamat use bhi thi
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aogye Jo Aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagao ge, Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushkil Hai meri Rah Se Jaaker Dekho

Bazm Ka meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheron Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho
Sochta Huun k Usay bhi Neend Aati Ho gi
Ya meri Terha Faqat Ashk Bahati Ho ti
Wo meri Shakal Mera Naam bhoolne Waali
Apni Tasweer se ki aaankh milati ho gi
Is Zameen Per bhi hai Sailab Mere Ashko''n Se
Mere Matam Ki Sada Arsh Hilati Ho gi
Shaam Hote Hi Chaukhat pe Jala Ker Shamae''n
Apni Palkon Pe Kai Khuwab Sajati ho gi
Us ne Silwa Bhi Liye Honge Siyah Rung k Libaas
Ab Moharram Ki Terha Eid Manati ho gi
Hoti Hogi Mere Bosay Ki talab Main Pagal
Jab Zulfoon Main Koi Phool Sajati Ho gi
MEre Tareek Zamano Se Nikalne Waali
Roshni Tujh Ko meri Yaad Dilati ho gi
Dil Ki Masoom Ragain Khud hi Sulagti Hongi
Junhi Tasweer Ka Kona wo Jalati Ho gi
Roop De Ker Mujhe Us main Kisi Sehzaade ka
Apne Bachon Ko Kahani Wo Sunaati Ho gi
RaKhTa Hai MuJhe ThAam Ker GiRnE NaHi DeTa
MaIn ToOt BhI JaOoN To BiKhaRnE NaHi DeTa

Is Darr Se KaHiN KaAnta Na ChubH jaYe HaAth MaIn
Wo PhOoL bHi MuJh Ko pAkArNe NaHi DeTa

Wo Is QaDaR HaSsAs HaI MoHaBbaT MaIn meri
K Koi GhaM MeRe SeEnay Main Wo PaLne Nahi DeTa

JiS RaAt Ki TaReEki Se Aata HaI MujHe KhaUf
Us DiN Ko Wo PhIr RaAt MaIn DhAlNe NaHi DeTa........
Kabhi Yun Bhi Aa meri Aagosh Main K meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe ek Raat Nawaz De K Us k baad Seher Na Ho

Wo Bara Raheem-O-Kareem Hai, Mujhe Sift Ye Ataa Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon Aur meri Dua Main asar Na ho

Kabhi Din Ki Dhoop Main Jhoom K Kabhi Shab K Phool Choom K
Yunhi Saath Saath Chalain Sada, Kabhi Khatam Apna Safar Na ho

Mere Paas Mere Mehboob ZAra Aur Dil K Qareeb Aa
Tujhe Dharkano''n Main basa Loon k Bicherne Ka Kabhi Darr na Ho

Kabhi Yun Milain Koi Maslihat Koi Khauf Dil Main Zara Na ho
Mujhe Apni Khabbar Na Ho Tujhe Apna Koi Pata Na ho

Tere Ikhtiyaar Main Kia Nahi, Mujhe Is Terha Nawaaz De
Yun Duaain meri qubool Hoon k Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho
Ak Chand Tanhaa Khila Raha meray Aasman Se Zara Parey
Meray Saath Saath Safar Main Tha meri Manzilon Se Zara Pary

Teri Justuju k Hisaar Say Tere Khawab, Tere Khayal Se
Mai woh Shakhs tha Jo Khara Raha Teri Chahtoun Se Zara Parey

Kabhi Dil ki Baat Kahi Na thi, Jo Kahi Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz Puray to Thay magar, Teri Sama''atoun Se Zara Parey

Tu Chala Gaya meray Humsafar Zara Dekh Murr kay Ek Nazar
meri Kashtian hain Jali Houe Teray Sahilon Se Zara Parey