laho SMS Messages83 messages

Hussain teray lahoo ki khusbo falak k daaman say arhi hay

ye khoon-e-nahaq hay khun chupay ga?

jissay ye dunia chupa rahi hay
Ashoor ka dhal jana, Sughra(A.S) ka wo guzar jana,
Akber(A.S) teray seenay main, berchi ka utar jana,
Aye khoon-e-Ali Asghar(A.S) medan-e-qiamat main,
Shabir(A.S) ke chehray per kuch aur nikher jana,
Sajad(A.S) yeh kehtay thay, masoom Sakina(A.S) se,
Abbas(A.S) ke lashay se chup chap guzar jana,
nanhay se mujahid ko man nay ye nasihat ki,
Teeron ke muqabil bhi, bay khauf-o-khatar jana,
Ali ko rulaye ga ta hashr lahoo aksar
Zahra(AS) teri kaliyon ka sehra main bikhar jana
Gali gali Main Usi Ka Parcham
Usi Ka Sajda Jabeen Jabeen hey
Qadam Qadam Pey Sabeel Us Ki
Nazar Nazar Main Wohi Makeen Hai
Hawa Hawa Main Usi Kay Nohay
Wohi Tasveer Khla Nasheen hey
Usi Ka Matam hey Aag Per Bhi
Usi Ka Gham Khuld Ka Ameen Hai
Falak Falak Pay lahoo Usi Ka
Usi Ki Majlis Zameen Zameen Hai
Hussainiat Ko Mitanay Walo
Hussainiat Ab Kahan Nahee HAi
Khanna e rab me imamat ka ka ujala utra
daikh kar shahkle ali chand ka chehra utra
Aaj bhi kaabay k chaker me hy masroof jahan
Ajj tak mola ali taira na sadqa utra

Sadaqaton ki nishani hussain hay
duniya me inqilab ka bani hussain hy
dushman ko jis nay apney lahoo say shikast di
Woh mard e haq woh haider e sani hussain hay
Jaam rag rag mein kamino ka laho ho jae
dard ke mare zamane se rafoo ho jae
Aal-e-Ahmed(A.S) se jala karte hein jin ke seene
mere Allah unhein "Bird Flu" ho jae
Aashoor ko diye se hawa bool rahi ha,
bujh kar bhi tum main rooh e baqa bool rahi ha,
aawaz di chiragh e imamat k noor ney,
Imran k lahoo ki zia bool rhi ha
jin kay sajdaon say manover hay jabeen-e-aftab meary harfoon ki ibadet un khuda waloon kay nam meari shah rag ka lahoo nazary shaheedanay wafa mary jazboon ki aqeedat karbala waloon kay nam
Kareeb AHLEBAYT k Aao toh koi Baat bane
Imaan phir se Jaga''o toh koi baat bane

lahoo jo Beh gaya Sahie-e-KARBALA ka
Unke MAQSAD ko samjho toh koi baat bane
mein sahil pe likhi hui ebaarat nahein
jo lehroon sey mit jaati hai
mein baarish ki baarasti boond nahein
jo baras kar tham jati hai
mein khuaab nahein
jisey dekhaa aur bhula diya jaye
mein shama nahein
jisey phoonka aur bhuja diya jaye
mein hawa ka jhonka nahein
jo aya aur guzar gaya
mein chaand bhi nahein
jo raat k baad dhal jaata hai
mein to woh ehsaas hoon jo
tujh mein lahoo bun kar gardish karay
mein to woh rang hoon jo
teray dil par
chahray aur kabhi naa utray
mein to woh parwana hoon jo
jalta rahay aur fana naa hoga
khuaab, ibaaarat, hawak ki tarhaan
chaand, boond, shama ki tarhaan
meray mitnay ka sawaal hi nahein
KIYON K MEIN TO MOHABBAT HOON
AUR MOHABBAT KO KOI ZAWAAL NAhi
Q : Baadshah Akbar ke zamnay main Darayaye (river) ravi main zabardast Salab aya tha .. lahore sheher ko zabardasht Nuksaan Pooncha Lekin baad shah Masjid jo Drayeaye Ravi ke pass hai woh nahi doobi bataye kyoon???


Ans : Badshah Akbar Ke Zamanay Mai Baadshahi Masjid Bani Hi Nahi Thi :)
63 SAAL mein Pehli martaba apni
Salamti k liye aap sab se
Sirf DUA ki Request kar raha hon
YE SMS fwd zaroor karain

Duaaon ka Talib Apka Apna





*"lahoRE"*
Haathon Ki Lakeeron Main Ussko Dekha Hey Mainey
Kabhi Bhi Mujhe Woh Shaks Aisey Talaash Karta Na Hoga


Usska Ehsas Beh Raha Hey Mujh Main laho Ki Manidd
Mujhe Woh Apney Ansoun Main Bhi Pata Nahin Hoga


Apney Naam Ko Main Usske Naam Se Jor Daiti Hon
Merey Aur Usske Rishtey Ka Ussey Kheyal Bhi Ata Nahi Hoga


Jissko Mana Hey Mainey Sabab Mussarat-e-Zindagi
Woh To Mujhe Apna Dukh Bhi banata na hoga